Best Dard Shayari in Hindi | अध्याय 1


Best Dard Shayari in Hindi

अब ये न पूछना की..
ये अल्फ़ाज़ कहाँ सेलाता हूँ,


कुछ चुराता हूँ दर्द दूसरों के,
कुछ अपनी सुनाता हूँ|


Ab Ye Na Poochhana Kee..
Ye Alfaaz Kahaan Selaata Hoon,


Kuchh Churaata Hoon Dard Doosaron Ke,
Kuchh Apanee Sunaata Hoon|



Mohabbat Mangi Thi Mohabbat Ke Badle,
Tum Woh Bhi Humko De Na Sake,


Dil Ko Chaha Jab Kahin Aur Bahlana,
Is Baat Ko Bhi Tum Sah Na Sake,


Hum Kisi Ko Apna Banayein Yahan,
Shyad Yeh Kismat Ko Manjoor Nahi Tha,


Aapka Is Kadar Ruthna Humse,
Shayad Yeh Mohabbat Ka Dastoor Nahi Thaa.



Meri Chahat Ne Use Khushi De Di,
Badle Mein Usne Mujhe Khamoshi De Di,


Khuda Se Dua Maangi Marne Ki To,
Usne Bhi Tadapne Ke Liye Zindagi De Di.


मेरी चाहत ने उसे खुशी दे दी,
बदले में उसने मुझे सिर्फ खामोशी दे दी,


खुदा से दुआ मांगी मरने की लेकिन,
उसने भी तड़पने के लिए जिन्दगी दे दी!



तडप के देख किसी की चाहत मे,
तो पता चले के इंतज़ार क्या होता है,


यु मिल जाए अगर कोई बिना तडप के,
तो कैसे पता चले के प्यार क्या होता है…


Tadap K Dekh Kisi Ki Chahat Mein,
To Pata Chale Intzaar Kya Hota Hai,


Yu Mil Jaaye Agar Koi Bina Tadap Ke,
To Kaise Pata Chale Pyar Kya Hota Hai.



हर सितम सह कर कितने ग़म छिपाये हमने,
तेरी खातिर हर दिन आँसू बहाये हमने,


तू छोड़ गया जहाँ हमें राहों में अकेला,
बस तेरे दिए ज़ख्म हर एक से छिपाए हमने|


Har Sitam Seh Kar Kitne Gham Chipaye Humne,
Teri Khatir Har Din Aansu Bahaye Humne,


Tu Chhod Geya Jaha Humein Raahon Mein Akela,
Bas Tere Diye Zakhm Har Ek Se Chipaye Humne.



Jivan Ka Har Panna Rangin Nahi Hota,
Har Rone Wala To Gamgin Nahi Hota,


Ek Hi Dil Ko Koi Kab Tak Todega,
Ab To Koi Jaalta Bhi He To Yakin Nahi Hota.



Khuli Jo Aankh To Wo Tha Na Wo Zamanaa Tha,
Dehakati Aag Thi Tanhayi Thi Fasanaa Tha,


Ye Kya Ki Chand Hi Kadmon Pe Thak Ke Baith Gaye,
Tumhein To Saath Mera Door Tak Nibhanaa Tha.



Mohabbat Ki Baat Na Karo,
Mujhe Acha Nai Lagta,


Kisi Ki Pyar Par Etbaar Karna,
Ab Mujhe Acha Nai Lagta,


Gujar Gaye Jo Din Wo Wapas Laut Kar Nahi Aate,
Lekin Un Dino Ko Yaad Karna Ab Mujhe Acha Nai Lagta,


Mujhe Maloom Hain Ki Wo Shaqs Bewafa Tha,
Magar Mujhe Kisi Ko Bewafa Kahna Acha Nahi Lagta,


Zakhm Bahut Diye Hain Usne Es Dil-E-Nadan Ko,
Zakhm Hum Bhi Dete Per Hume Badla Lena Acha Nahi Lagta.



Dil Tutega To Fariyad Karoge Tum Bhi,
Ham Na Rahe To Hame Yad Karoge Tum Bhi.


Aaj Kehte Ho Hamare Paas Waqt Nahi,
Par Ek Din Mere Liye Waqt Barbad Karoge Tum Bhi.


दिल टूटेगा तो फरियाद करोगे तुम भी,
हम न रहे तो हमने याद करोगे तुम भी,


आज कहते हो हमारे पास वक़्त नहीं हैं,
पर एक दिन मेरे लिए वक़्त बर्बाद करोगे तुम भी।



Kabhi Laga Wo Mujhe Sata Rahe Hai,
Kabhi Laga Ke Wo Karib Aa Rahe Hai,


Kuchh Log Hote Hai Ansuon Ki Tarah,
Pata Hi Nahi Lagta Sath De Rahe Hain,
Ya Chhod Kar Jaa Rahe Hain !



Saza Na Do Muje Bekasur Hoon Main,
Tham Lo Mujh Ko Gamon Se Choor Hoon Main,


Teri Doori Ne Kar Diya Pagal Sa Mujhe,
Aur Logon Ka Kehna Hain Ke Magroor Hoon Main.



Khushion Se Naraz Hai Meri Zindagi,
Pyar Ki Mohtaz Hai Meri Zindagi,


Has Leta Hoon Logon Ko Dikhane Ke Liye,
Varna Dard Ki Kitaab Hai Meri Zindagi.



Mohabbat Ki Mujhse Fariyaad Mat Karna,
Ho Sake To Mujhe Kabhi Yaad Mat Karna,


Sab Kuch Luta Diya Mohabbat Me Maine,
Ho Sake To Mujhe Or Barbaad Mat Karna.



Har Raahi Ko Mann Chaha Mukaam Nahi Milta,
Jisko Jee Bhar Pyar Kar Sake Wo Insaan Nahi Milta,


Aasma Ke Sitaron Ki Tarah Hamare Armaan Bhi Bikharte Rehte Hain,
Jo Apne Dil Mein Hamein Jagah De Sake Wo Meharbaan Nahi Milta.



Mein Ne Poocha Rooh Nikalti Hai Jisam Se Kis Tarhan???
Hath Usne Hathon Se Chura Kar Dikha Dia!!


Mein Ne Poocha Mehshar Se Pehle Qayamat Hay Kya???
Zindagi Se Usne Meri Ja Kar Dikha Dia!!


Mein Ne Poocha K Ye Hasad Hay Kia Cheez???
Usne Kisi Aur Ko Apna Bana K Dikha Dia!



Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De,
Tera Mujrim Hoon Mujhe Dub Ke Mar Jaane De,


Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko,
Sochta Hoon Kahoon Tujhse,
Magar Jaane De



Har Aag Bujh Jati Hai Barsat Mein,
Magar Dil Ki Aag Na Bujh Saki,


Aansu Ka Paani Girta Raha,
Phir Bhi Dekho Yahan Jalti Rahi.



टूटा हो दिल तो दुःख होता है,
करके मोहब्बत किसी से ये दिल रोता है,


दर्द का एहसास तो तब होता है,
जब किसी से मोहब्बत हो और उसके दिल में कोई और होता है।


Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai,
Karke Mohabbat Kisi Se Ye Dil Rota Hai,


Dard Ka Ehsaas To Tab Hota Hai,
Jab Kisi Se Mohabbat Ho Aur Uske Dil Mei Koi Aur Hota Hai.



Cigarette Pina Shok Hai Mera Adat Nahi,
Ye Jazbat Jagati Hain Tabhi Peeta Hoon,


Aadhi Raat K Waqt Main Pagal Toh Nahi,
Teri Yaad Satati Hain Tabhi Peeta Hoon,


Es Cigarette Mein Fazeelat Toh Koi Nahi,
Ye Fikar Mitati Hain Tabhi Peeta Hoon,


Main Janta Hu Muje Kuch Nahi Milna Esse,
Ye Meri Umar Ghatati H Tabhi Peeta Hoon.



Sabhi Ko Sab Kuchh Nahi Milta,
Nadi Ki Har Lehar Ko Sahil Nahi Milta,


Yeh Dil Walo Ki Duniya Hain Dost,
Kisi Se Dil Nahi Milta To Koi Dil Se Nahi Milta.



Tera Pyar Pane Ke Liye,
Kya Kya Na Bana Main,


Kabhi Tujhse Hara,
Kabhi Her Bet Per Jita Main,


Main Har Kar Bhi Hara,
Jeet Ker Bhi Hara,


Tere Pyar Ka Hu Main Mara,
Mila Main Tujh Se Bar Bar,
Magar Mil Na Saka Khud Se Dobara.



Lutf Hum Ko Aata Hai Ab Fareb Khane Mein,
Aajmaye Logon Ko Roj Aajmane Mein,


Do Ghadi Ke Saathi Humsafar Samjhate Hain,
Kis Kadar Purane Hain Hum Naye Zamane Mein,


Tere Paas Aane Mein Aadhi Umar Gujri Hai,
Aadhi Umar Gujregi Tujh Se Door Jane Mein,


Ehtiyat Rakhne Ki Koi Had Bhi Hoti Hai,
Bhed Humne Khole Hain Bhed Ko Chhupame Mein,


Zindagi Tamasha Hai Aur Is Tamashe Mein,
Khel Hum Bigadenge Khel Ko Banane Mein,


Kaarwa Ko Unka Bhi Kuchh Khyal Aata Hai,
Jo Safar Mein Bichhde Hain Rasta Banane Mein.



Sabhi Karte Hain Pyar Jeevan Mein,
Jo Humne Bhi Kiya Toh Kya Hua,


Sabhi Karte Hain Haasil Khusiyan Magar,
Jo Humne Gham Liya Toh Kya Hua.



Na Jaane Yeh Kaisa Hai Mola,
Dastoor E Mohabaat,


Woh Door Rahkar Bhi Dil Ke Karib Rahta Hai,
Har Koi Jaanta Hai Milenge Ismein Jakham,


Fir Bhi,
Har Koi,
Yaar Ka Diya Dard,
Hans Kar Sahta Hai.



Har Shakhs Mujhe Zindagi,
Jeene Ka Tarika Batata Hai,


Unhe Kaise Samjhau Ki,
Ek Khawab Adhura Hai Mera,


Warna Jeena Toh,
Mujhe Bhi Aata Hain !



Mujhe Tohfe Diye Har Kadam Khuda Ne,
Bhale Hi Dukhon Se Meri Jholi Bhari Hai,


Na Jaane Kaisi Likhi Hai Meri Takdeer,
Har Mod Par Ek Nayi Musibat Khadi Hai.



ताबीर जो मिल जाती तो एक ख्वाब बहुत था
जो शख्स गँवा बैठे है नायाब बहुत था

मै कैसे बचा लेता भला कश्ती-ए-दिल को
दरिया-ए-मुहब्बत मे सैलाब बहुत था.

Taabeer Jo Mil Jaatee To Ek Khvaab Bahut Tha

jo Shakhs Ganva Baithe Hai Naayaab Bahut Tha

mai Kaise Bacha Leta Bhala Kashtee-E-Dil Ko
dariya-E-Muhabbat Me Sailaab Bahut Tha.



Mere Zakhamo Ko Hawa De Rahe Ho,
Kis Baat Ki Yeh Saja De Rahe Ho,


Humne Toh Yaar Koi Gustaakhi Nahi Ki,
Phir Kyon Marne Ki Baddua De Rahi Ho.



Laut Jaati Hai Duniya Gam Hamare Dekhkar,
Jaise Laut Jaati Hai Lahre Kinare Dekhkar,


Tu Kandha Na Dena Mere Janaje Ko,
Kahi Phir Jinda Na Ho Jaun Tera Sahara Dekhkar.



Apno Ko Apno Ke Jazbaat Se Khelta Dekha Hai,
Jhoot Sun Sun Ke Sach Ka Katl Hote Dekha Hai,


Nahi Fark Padhta Unhein Kya Kya Gujregi Kisi Par,
Unko Toh Humne Bas Armano Ko Kuchlate Dekha Hai,


Lamha Lamha Door Hone Ka Gham Satata Rahta Hai,
Us Duri Ka Hamne Unhe Fayda Uthate Dekha Hai,


Kar Ke Sitam Fir Khate Hain Apno Ki Jhuti Kasam,
Un Kasmo Ko Humne Hamesha Tutate Huye Dekha Hai,


Farebi Nahi Hain Hum Fir Bhi Kahlaate Hain Farebi,
Farebi Kahke Hamein Us Ko Humne Hansate Huye Dekha Hai,


Sambhali Apni Har Khusi Uski Sachhi Ibadat Ke Liye,
Khusiyan Bantate Humne Unhe Gairon Ke Sath Dekha Hai.



Aaj Tak Hai Uske Lout Aane Ki Umeed,
Aaj Tak Thehri Hai Jindagi Usi Jageh,


Laakh Ye Chaha Ki Usko Bhul Jaayun,
Hosla Apni Jageh Bebasi Apni Jageh.


आज तक है उसके लौट आने की उम्मीद,
आज तक ठहरी है ज़िंदगी अपनी जगह,


लाख ये चाहा कि उसे भूल जाये पर,
हौंसले अपनी जगह बेबसी अपनी जगह।



Zindagi Maie Ek Sapna Dekha,
Jise Ham Haqiqat Samajh Baithe,


Maine Jise Pyar Kiya,
Wo Majak Samajh Baithe.



Wade Wafa Kar K Kyu Mukar Jate Hai Log,
Kisi Ke Dil Ko Kyu Tadpaate Hai Log,


Agar Dil Lagakar Nibha Nahi Sakte To Fir,
Kyu Dil Ko Dil Se Itna Lagaate Hain Log.



Abhi Jameer Mein Thodi Si Jaan Baki Hai,
Abhi Hamara Ko Imtehaan Baki Hai,


Hamare Ghar Ko Toh Ujde Huye Jamana Hua,
Magar Suna Hai Abhi Woh Makan Baaki Hai,


Hamari Unse Jo Thi Baat Woh Khatam Huyi,
Magar Khamosh Sa Kuchh Darmiyan Baaki Hai,


Hamare Jahan Ki Basti Mein Aag Aisi Lagi,
Ki Jo Tha Khak Hua Ik Dukan Baaki Hai,


Woh Jakham Bhar Gaya Arsa Hua Magar Ab Tak,
Jara Sa Dard Jara Sa Nishaan Baaki Hai,


Jara Si Baat Jo Faili Toh Dastan Ban Gayi,
Woh Baat Khatm Huyi Daastan Baaki Hai.



Aisa Nahi Ke Mujh Ko Aarju Nahi Hai Khusiyo Ki,
Magar Ise In Dard Mein Bhi Ek Ajib Sa Maja Aata Hai,


Yeh Isliye Bhi Badhana Chahta Hai Apne Dard Ko Dosto,
Kyunki Kahte Hain Badh Jaane Par Dard Dava Ban Jata Hai.



Wo Sab Hai Mere Paas,
Jiski Duniya Ko Hasrat Hai,


Bs Ek Wo Nahi Hai,
Jiski Hasrat Mujhe Hai..



Bin Aapke Samjhta Hai Kon Yahan Mujhko,
Baad Aapke Sara Jahan Begana Sa Lagta Hai,


Kya Samjhega Tu Eh Dost Saatir Jahan Ko,
Yeh Sagar Khud Se Hi Anjana Sa Lagta Hai.



नया दर्द एक और दिल में जगा कर चला गया,
कल फिर वो मेरे शहर में आकर चला गया,


जिसे ढूंढ़ता रहा मैं लोगों की भीड़ में,
मुझसे वो अपने आप को छुपा कर चला गया।


Naya Dard Ek Aur Dil Mein Jaga Kar Chala Gaya,
Kal Phir Woh Mere Shehar Mein Aakar Chala Gaya,


Jise Dhoondta Raha Main Logon Ki Bheed Mein,
Mujh Se Woh Apna Aap Chhupa Kar Chala Gaya,


Main Uski Khamoshi Ka Sabab Poochti Rahi,
Woh Kisse Idhar Udhar Ke Suna Kar Chala Gaya,


Yeh Sochti Hoon Kaise Bhulaungi Ab Usse,
Ek Shaks Woh Jo Mujh Ko Bhula Kar Chala Gaya.



कभी रो के मुस्कुराए, कभी मुस्कुरा के रोए,
जब भी तेरी याद आई तुझे भुला के रोए,

एक तेरा ही तो नाम था जिसे हज़ार बार लिखा,
जितना लिख के खुश हुए उस से ज़यादा मिटा के रोए.


Kabhi Ro Ke Muskuraye Kabhi Muskura Ke Roye,
Jab Bhi Teri Yaad Aayi Tujhe Bhula Ke Roye,


Ek Tera Hi To Naam Tha Jise Hazaar Bar Likha,
Jitna Likh Ke Khush Hue Uss Se Jyada Mita Ke Roye.



Dil Ke Jakhmon Ki Dava Mahboob Hi Hota Hai,
Aashiq Ke Labo Ki Dua Mahboob Hi Hota Hai,


Dil Ki Khusiyon Ki Barat Mahboob Hi Hota Hai,
Aashiq Ke Sar Ka Kafan Mahboob Hi Hota Hai.



Ik Mulaqat Thi ..
Jo Dil Ko Sada Yad Rahi,


Main Jise Umer Samajhta Tha ..
Woh Ik Pal Nikla.



Aap Jaise Hi The Sabhi,
Aur Bhi Jo Mile Mujhko,


Fir Kaise Unmein Se
Kisi Ko Apna Bana Lete,


Ek Aap Hi Ka Pyar
Na Raas Aaya Hai Humko,


Fir Un Se Kaise
Eh Dost Aur Jakham Kha Lete.



Zindgi Hai Akeli Dil Ye Nadaan Hai,
Kya Safar Hai Aur Kya Samaan Hai,


Kisi Tanha Ke Gum Ko Samajh Kar To Dekho,
Tukura Dena Bahota Aasan Hai.



Tut Jaye Khwab To Judne Ki Aas Kya Rkhna,
Palko Ke Bhigne Ka Hisab Kya Rakhna,


Bas Isliye Muskura Dete Hain Hum,
Ki Apni Udasi Se Kisi Ko Udas Kya Rakhna.



Na Jaane Kya Dikhaya Jamane Ko Toone,
Ki,
Hamesha Hi Isne Hai,
Mujhko Sataya,


Jo Aisa Hi Karna Tha Hashar Mera,
Moula,
Toh Kya Thi Jarurat,
Kyu Mujhko Banaya.



Zindgi Ham Tujhe Thokar Maar Dete,
Agar Main Akela Hi Tera Hakdar Hota,


Ham Khushi Ko Gale Laga Lete,
Agar Nai Hume Ghamon Se Pyar Hota.



Tumse Mila Aur Milkar Laga Ki Milna Hi Bas Apna Tha,
Duriyan Badhi Fasle Badhe Aur Laga Ki Fasle Hi Manzile Thi,


Chhitiz Ko Dekh Aakash Ko Laga Ki Na Mil Pana Ki Uska Mukam Hai,
Subah Ki Krno Ke Dekh Nisha Ko Laga Ki Bhor Hi Uska Anjaam Hai,


Anjamen Gulishtan To Dekho Ki Phoolon Se Khushboo Chali Gaye,
Badnaam Shaam To Dekho Ki Saaz Se Awaz Chali Gaye,


Jana Hi Uski Fidrat Thi Par Aisa Laga Ki,
Jaate Jaate Meri Sansar Chali Gaye.



Koi Pakar To Koi Khokar Juda Hota Hai,
Koi Hanskar To Koi Rokar Juda Hota Hai,


Magar Juda Hone Ka Dard Tab Hota Hai,
Jab Koi Kisi Ka Hokar Juda Hota Hai.



Khulte Hain Mujh Pe ..
Raaz Kaai Is Jahan Ke,


Us Ki Haseen Aankhon ..
Main Jab Jhankta Hoon.



Alfaazon Me Mohabbat Barsaane Ka Ab Naam Na Lo ..
Dost ..
Ye Mohabbat Ki Shohbat Hai,
Jo Kalam Dard Likhti Hai.



Jisne Bhi Ki Mohabbat Wo Roya Jarur Hoga,
Wo Yaad Me Kisi Ki Khoya Jarur Hoga…।


Deewar Me Sahare,
Ghutne Me Sir Dabakarwo Khyalon Me Kisi Ke Khoya Jarur Hoga…।


Aankhon Me Aanshu Aane Ke Baad,
Usnedheere Se Unko,
Usne Poncha Jarur Hoga…!
Jisne Bhi Ki Mohabbat,
Wo Roya Jarur Hoga….?



आज फिर ए तन्हाई लग जा गले,
के तुझसे लिपट के रोने का बहुत दिल है,


एक तू ही तो है हमसाया जिंदगी का मेरी..
वरना यहां तो हर रिश्ता,
मेरी रूह का कातिल है!


Aaj Phir E Tanhaee Lag Ja Gale,
Ke Tujhase Lipat Ke Rone Ka Bahut Dil Hai,


Ek Too Hee To Hai Hamasaaya Jindagee Ka Meree..
Varana Yahaan To Har Rishta,
Meree Rooh Ka Kaatil Hai!



एक दिन हम भी कफ़न ओढ़ जाएँगे,
हर एक रिश्ता इस ज़मीन से तोड़े जाएँगे,


जितना जी चाहे सतालो यारो,
एक दिन रुलाते हुए सबको छोड़ जाएँगे,


Ek Din Hum Bhi Kafan Odh Jayenge,
Har Ek Rishta Is Zameen Se Tode Jayenge,


Jitna Ji Chahe Satalo Yaaro,
Ek Din Rulate Hue Sabko Chod Jayenge.



Humare Aansu Wo Jaan Na Sake,
Mohobbat Ki Kahani Wo Maan Na Sake,


Kaha Tha Unhone Marne K Baad B Yaad Karenge,
Jeete Jee To Wo Yaad Kar Na Sake.



Dil Se Aapka Khayal Jata Nahi,
Aapke Siva Koi Yaad Aata Nahi,


Ji Chahta Ki Aapko Roj Dekhu Par,
Wo Waqt Kabhi Aata Nahi.



Jab Tere Shaher Me Raha Karte The,
Hum Bhi Chup Chaap Jiya Karte The,


Aankho Me Pyas Hua Karti Thi,
Dil Me Toofaan Utha Karte The,


Log Aate The Shayeri Sunne Hamse,
Hum To Faqat Teri Baat Kiya Karte The,


Ghar Ki Deewaar Sajaane Ki Khaatir,
Hum Tera Naam Likha Karte The,


Aaj Teri Tasveer Dekhi To Yaad Aaya,
Kabhi Hum Bhi Mohabbat Kiya Karte The.



जिन्हीने बदली थी हमारे ख्वाइशों की जिंदगी..
आज वहो बदले बदले नज़र आते है..


उड़ गए उन परिंदों का मलाल क्या करे..
जब अपने भी औरो की छत पर नज़र आते है..


रातो के ख्वाबो का इंतजार क्या करू..
जब दिन मै भी डरावने सपने आत्ते है.


Jinheene Badalee Thee Hamaare Khvaishon Kee Jindagee..
Aaj Vaho Badale Badale Nazar Aate Hai..


Ud Gae Un Parindon Ka Malaal Kya Kare..
Jab Apane Bhee Auro Kee Chhat Par Nazar Aate Hai..


Raato Ke Khvaabo Ka Intajaar Kya Karoo..
Jab Din Mai Bhee Daraavane Sapane Aatte Hai.



बिन बात के ही रूठने की आदत है,
किसी अपने का साथ पाने की चाहत है,


आप खुश रहें,
मेरा क्या है..
मैं तो आइना हूँ,
मुझे तो टूटने की आदत है।


Bin Baat Ke Hi Roothne Ki Aadat Hai,
Kisi Apne Ka Saath Paane Ki Chahat Hai,


Aap Khush Rahe,
Mera Kya Hai..
Mai To Aaina Hu,
Mujhe Tootne Ki Aadat Hai.



बेनाम सा यह दर्द ठहर क्यों नही जाता,
जो बीत गया है वो गुज़र क्यों नही जाता,


वो एक ही चेहरा तो नही सारे जहाँ मैं,
जो दूर है वो दिल से उतर क्यों नही जाता।



मुहब्बत में सच्चा यार न मिला,
दिल से चाहे हमें वो प्यार न मिला।


लूटा दिया उसके लिए सब कुछ मैने,
मुसीबत में मुझे मददग़ार न मिला।


Muhabbat Mein Sachcha Yaar Na Mila,
Dil Se Chaahe Hamen Vo Pyaar Na Mila.


Loota Diya Usake Lie Sab Kuchh Maine,
Museebat Mein Mujhe Madadagaar Na Mila.



Upar Waale Ne Shayad Galti Se,
Khusiyon Ki Jagah Bhi Likh Diye Hain Gham,


Lagta Hai Mout Se Hogi Mulakat Jaldi,
Shayad Zindagi Ke Din Rah Gaye Hain Kam.



Jab Bikhare Tut Kar Toh Ehsaas Hua,
Har Kisi Se Itna Dil Lagaya Nahi Karte,


Yaha Masum Chehre Bhi Loot Lete Hai,
Har Ek Pe Yuhi Etbaar Kiya Nahi Karte,


Koyi Aur Bhi Muntezir Hai Tera Kahi,
Ik Shakhs Ki Talab Hi Kiya Nahi Karte,


Pal Bhar Me Badal Jaate Hai Log Yaha,
Aise Logo Se Mohabbat Kiya Nahi Karte.



Kya Karoge Jaankar Hamaare Baare Mein,
Hum Toh Bas Yun Hi Jiye Jaate Hain,


Log Dete Ja Rahe Hain Gham Humko,
Hum Toh Bas Unko Siye Jaate Hain.



Jane Duniya Me Aisa Kyun Hota Hain,
Jo Sab Ko Khushi De Wahi Rota Hai,


Umar Bhar Jo Sath Na De Sake Wahi,
Zindagi Ka Pahla Pyar Kyu Hota Hai.



Hamne Na Jana Tha Yeh Aaj Tak Kabhi,
Ki Koi Raah Mein Aise Bhi Chhod Deta Hai,


Koi Apne Dil Ko Bahlane Ke Baad,
Dusre Ke Dil Ko Aise Tod Deta Hai.



Yeh Shayari Jo Likhta Hun Main Dosto,
Shayari Nahi Hai Mere Dil Ka Haal Hai,


Yeh Khata Nahi Unki Jo Mujhe Gham Dete Hain,
Ghamon Se Toh Mera Janmon Ka Haal Hai.



Intzar Ki Aarzu Ab Kho Gayi Hai,
Khamoshiyo Ki Aadat Ho Gayi Hai,


Na Sikwa Raha Na Shikayt Kisi Se,
Agar Hai To Ek Mohabbat,
Jo In Tanhayion Se Ho Gayi Hai..



Mera Sahara Toh Sharab Ka Pyala Hai,
Jakhmon Ne Mujhe Dard Dekar Pala Hai,


Thokar Marker Giraya Khusi Ne Mujhe,
Toh Haath Badhakar Ghamon Ne Sambhala Hai.



दिल से रोये मगर होंठो से मुस्कुरा बेठे,
यूँ ही हम किसी से वफ़ा निभा बेठे,


वो हमे एक लम्हा न दे पाए अपने प्यार का,
और हम उनके लिये जिंदगी लुटा बेठे!


Dil Se Roye Magar Honto Se Muskura Beithe,
Yunhi Hum Kisi Se Wafa Nibha Beithe,


Wo Hame Ek Lamha Na De Paye Apne Pyar Ka,
Aur Hum Unke Liye Apni Zindagi Gawa Beithe.



दिल का हर राज दे दिया उनको मैहरबान समझ कर,
लगाया मौत को गले से हमने,
उनका फरमान समझ,


कर ,
वो नादान क्या जाने मेरी दीवानगी कि हद को,
कि हर सितम को सहा है हमने उसका अहसान समझकर|


Dil Ka Har Raaj De Diya Unako Maiharabaan Samajh Kar,
Lagaaya Maut Ko Gale Se Hamane,
Unaka Pharamaan Samajh,


Kar ,
Vo Naadaan Kya Jaane Meree Deevaanagee Ki Had Ko,
Ki Har Sitam Ko Saha Hai Hamane Usaka Ahasaan Samajhakar|



Suna Hai Aaj Kal Wo Pareshan Rehta Hai,
Usse Kehna Be-Fikar Main Bhi Nahi Hu.!


Suna Hai Wo Raaton Ko Jaga Karta Hai

usse Kehna Soti Main Bhi Nahi Hu….!

Suna Hai Wo Chhup Chhup Ke Rota Hai

usse Kehna Hansti Main Bhi Nahi Hoon.!

Suna Hai Wo Mujhe Yaad Bahut Karta Hai,
Usse Kehna Bhooli Main Bhi Nahi Hoon.!


Suna Hai Usne Wafa Ka Daawa Kiya Hain,
Usse Kehna Bewafa Main Bhi Nahi Hoon..



Wo Sagar Nahi Aansu The Mere,
Jis Par Wo Kashti Chalate Rahe,


Manzil Mile Unhe Yeh Aarzu Thi Meri,
Is Liye Hum Aansu Bahate Rahe.



Musafir Hoon Yahan Se Kal Chala Jaunga Main,
Jaane Kis Kis Rahguzar Ki Thokren Khaunga Main,


Chalte Chalte Thak Gaya Hoon Khoob Sone Do Mujhe,
Aansuon Se Zindaghi Ke Daagh Dhone Do Mujhe,


Aish O Isharat Apna Khota Hoon Toh Khone Do Mujhe,
Zindaghi Ki Khoj Mein Paagal Hone Do Mujhe,


Kyunki,
Musafir Hoon Yahan Se Kal Chal Jaunga Main.



Aaye Khuda Kiya Cheez Mohabbat Tu Ne Banai Hai,
Kisi Ko Yeh Mil Jati Hai Aur Koi Sehta Umar Bhar Ki Tanhai Hai,


Saath Chalne Ke Khawab Dekhte Hain Jo Log Mohabbat Main,
Koi Paa Leta Hai Apni Manzil Ko Aur Koi Sehta Umar Bhar Ki Judaai Hai.



Apne Pyar Mein Woh Hamein Badnaam Samjhate Hain,
Unpar Hum Fida Huye Toh Apna Gulaam Samjhate Hain,


Mann Ke Pujaari Ki Unko Kuchh Bhi Kadar Nahi,
Tann Ke Pujaari Ko Woh Apna Bhagwan Samjhate.



वो साथ थे तो
एक लफ़्ज़ ना निकला
लबों से,
दूर क्या हुए
कलम ने क़हर मचा दिया..

Wo Sath The To
Ek Lafj Na Nilkala
Laboo Se,
Dur Kya Huye
Kalam Ne Keher Macha Diya..



Aaj Ke Daur Mein Pyar Ki Kimat Hi Nahi,
Jinda Rahne Ke Liye Kitni Baar Maut Sahta Hai,


Wahi Dete Hain Sada Aakhir Mein Dhokha Usko,
Jinki Khatir Umar Bhar Woh Tadpata Rahta Hai.



Khwaab Itne To Dagabaaz Na The Mere Kabhi,
Khwaab Itni To Meri Neend Nahi Chhalte The,


Raat Ki Baat Kya Ik Daur Me Ye Khanabdosh,
Din Nikalte Hi Mere Saath Saath Chalte The.



Kya Bhala Dhundhate Ho Seene Me,
Jaan Se Bhi Guzar Gaya Hain Dil,


Ab Wo Pagalpan Hai Na Wo Wehshat Hai
Chot Kha Kar Sudhar Gaya Hain Dil.



Aapke Pyar Mein Payi Hain Aisi Sajayein,
Ke Khud Ke Saath Mein Ho Gaye Hum Paraye,


Aapne Toh Apne Halaat Bataa Diye Mujhe,
Magar Hum Kiske Saamne Yahan Aansu Bahayein.



Uski Bate Bar Bar Yaad Karke Roye,
Uske Liye Rabb Se Faryaad Karke Roye,


Uski Khushi Ke Liye Choord Diya Use,
Phir Uski Hi Kami Ka Ehasas Karke Roye !



रोते रहे तुम भी,
रोते रहे हम भी,
कहते रहे तुम भी और कहते रहे हम भी,


ना जाने इस ज़माने को हमारे इश्क़ से क्या नाराज़गी थी,
बस समझाते रहे तुम भी और समझाते रहे हम भी।


Rote Rahe Tum Bhee,
Rote Rahe Ham Bhee,
Kahate Rahe Tum Bhee Aur Kahate Rahe Ham Bhee,


Na Jaane Is Zamaane Ko Hamaare Ishq Se Kya Naaraazagee Thee,
Bas Samajhaate Rahe Tum Bhee Aur Samajhaate Rahe Ham Bhee.



Nibha Sakta Hun Main Tamam Umar Saath Tera,
Magar Aapni Zindagi Par Mujhe Yaqeen Nahi,


Mere Marne Par Bhi Rahogi Tum Pass Mere,
Magar Hunga Us Waqt Bhi Main Tumhare Saath Nahi.



Zindagi Bahut Kuch Sikhati Hai,
Kabhi Hasati Hai Kabhi Rulati Hai,


Khud Se Bhi Jyada Kisi Par Vishwash Mat Karna,
Kyuki Andhere Mein To Parchai Bhi Saath Chod Jati Hai.



Is Dil Ki Mohabbat Jan Nahi Paye,
Ek Din Chale Jayenge Is Duniya Se,


Or Wo Kahenge ..
Lout Aao Hum Aapko Pahchan Nahi Paye.



Ab Toh Hansna Bhi Raaas Nahi Aata,
Hanste Hanste Bhi Aansu Chhalak Aate Hain,


Main Khud Nahi Jaanta ,
Kyun Mere Mola,
Mujhe Gham Hi Kyun Sada Itne Bhate Hain.



Na Jaane Us Par Itna Yakeen Kyun Hai..
Uska Khayal Bhi Itna Haseen Kyun Hai..


Suna Hai Pyar Ka Dard Meetha Hota Hai..
To Aankh Se Nikla Aansu Namkeen Kyun Hai..



Pee Hai Sharab Har Gali Har Dukan Se,
Ek Dosti Si Ho Gai Hai Sharab Ke Jaam Se,


Guzre Hain Hum Ishq Mein Kuchh Aise Mukam Se,
Ke Nafrat Si Ho Gai Hai Mohabbat Ke Naam Se.



Uske Naa Hone Se Kuch Bhi Nahi Badla Mujh Main,
E-Dost
Bas Jahan Pehle Dil Rehta Tha.
Wahan Ab Sirf ‘Dard’ Rehta Hai,



Zuki Palko Se Uska Didar Kiya,
Sab Kuch Bhulakar Uska Intzar Kiya,


Vo Jan Hi Na Paya Jazbat Mere,
Jise Duniya Mein Mene Sabse Jyada Pyar Kiya..



Taqdeer Ke Aaine Me Meri Tasveer Kho Gyi,
Aaj Hamesha Ke Liye Meri Rooh So Gyi,


Mohabbat Karke Kya Mila Mujhe,
Woh Kal Meri Thi..
Aaj Kisi Aur Ki Ho Gyi.



बहुत आसान है जमाने में जनम लेना,
बड़ी मुश्किल है एक उम्र तक जीवन जीना,


हम तो खामोश हैं तेरी ही खामोशी से,
तुमसे ही सीखा है हमने आंसू पीना.


Bahut Aasaan Hai Jamaane Mein Janam Lena,
Badee Mushkil Hai Ek Umr Tak Jeevan Jeena,


Ham To Khaamosh Hain Teree Hee Khaamoshee Se,
Tumase Hee Seekha Hai Hamane Aansoo Peena..



Tumhari Duniya Mein..
Hum Jaise Hazaaron Hai,


Hum Hi Pagal The..
Jo Tumhe Paa K Itraane Lage.



Tere Gham Me Tadap Kar Mar Jayenge,
Mar Gaye To Tera Naam Le Jayenge,


Rishwat De Ke Tujhe Bhi Upar Bulayenge,
Tum Upar Aaoge To Saath Baith Ke Kurkure Khayenge.



दर्द से हाथ न मिलाते तो और क्या करते,
गम के आंसू न बहते तो और क्या करते,


उसने मांगी थी हमसे रौशनी की दुआ,
हम खुद को न जलाते तो और क्या करते!


Dard Se Hath Na Milate To Aur Kya Karte,
Gham Ke Aansoo Na Bahate To Aur Kya Karte,


Usne Maangi Thi Humse Roshni Ki Dua,
Hum Khud Ko Na Jalate To Or Kya Karte



Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hai,
Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain,


Pata Hai Majbur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi,
Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain.



Mujhe Kisi Ne Bewafa Ka Naam Diya,
Sathi Ne Jaise Jahar Ka Jaam Diya,


Jo Kabhi Kaha Karte The Bhula Mat Dena,
Unhone Hi Bhul Jane Ka Paigam Diya.



Zakham Jab Mere Seene Ke Bahar Jayenge,
Aansu Bhi Moti Bankar Bikhar Jayenge,


Ye Mat Puchhna Ki Kis Ne Dard Diya,
Warna Kuchh Apno Ke Chehre Bhi Utar Jayenge.


ज़ख़्म जब मेरे सीने के भर जाएँगे,
आँसू भी मोती बनकर बिखर जाएँगे,


ये मत पूछना किस किस ने धोखा दिया,
वरना कुछ अपनो के चेहरे उतर जाएँगे।



Zindagi Hasin Hai Zindagi Se Pyaar Karo,
Hai Rat To Subah Ka Intzar Karo,


Wo Pal Bhi Ayega Jiska Intzaar Hai Aap Ko,
Rab Pr Bhrosa Or Waqt Pe Aitbar Rakho.



Main To Apni Tanhaiyo Se Tang Aa Kar
mahobbat Ki Talash Me Nikali Thi..!

Par..
Mujhe To Mahobbat Bhi Aise Mili Jo Aur Tanha Kar Gai!


TAG:

dard bhari shayari, shayari, hindi shayari, dard shayari, sad shayari, bewafa shayari, breakup shayari, heart touching shayari, sad shayari in hindi, love shayari, urdu shayari, sad love shayari, dard, hindi sad shayari, romantic shayari, rula dene wali shayari, shayari hindi, shayari video, sad shayari video, daily shayari, pyar bhari shayari, shayari sad, dukh dard shayari, broken heart shayari, heart broken shayari, dard e tanhai