Heart Touching Miss You Shayari | Miss You Shayari in Hindi | Miss You Shayari 2 Line Hindi


Miss You Shayari 2 Line Hindi

Laakh Karta Hun Koshish Ki Yeh Na Aaye,
Aa Hi Jaati Hai Kambhakt Yaad Aapki,
Sari Sari Raat Fir Na Deti Hai Sone,
Mere Sanam Pyari Si Baat Aapki.


Miss You Shayari in Hindi

Har Waqt Tum Ko Yaad Karta Hu,
Ha Main Tumsein Pyaar Karta Hu,
Kyun Tum Mujhse Khafa Ho,
Main Tumhi Per To Marta Hu.


Heart Touching Miss You Shayari

Tumhari Har Ada Har Baat Pe Fida Hu Mein,
Tumse Bahut Kareeb Hoke Bhi Judaa Hu Mein,
Tumhare Chale Jaane Pe Bhi Zindaa Hu Mein,
Bas Isi Baat Pe Aaj Sharmindaa Hu Mein.



Udaas Hai Dil Aur Ankho Me Nami Hai,
Jaise Rutha Hai Aasman,
Our Khamosh Ye Zami Hai,
Yaad Na Karne Ki Koi To Wajah Batao,
Naaraaz Ho Humse Ya Wakt Ki Kami Hai.



Kash Hum Aapse Mil Paate,
Aapko Apne Gale Se Laga Paate,
Najare Tarasti Hai Aapke Didar Ko,
Kuch Pal Hi Sahi,
Par Kash Hum Aapki Sirf Ek Jalak Bhi Dekh Paate.



Mehfil mein kuch to sunana padta hai,
Gum chupakar muskurana padta hai,

kabhi ham bhi dost the aapke,
Aaj kal aapko yad dilana padta hai.

महफ़िल मैं कुछ तो सुनाना पड़ता हैं,
गम छुपाकर मुस्कुराना पड़ता हैं,

कभी उनके हम थे दोस्त,
आजकल उन्हें याद दिलाना पड़ता हैं।


Dil Lagta Nahi Hai ab Tumhare Bina
Khamosh Se Rehne Lage Hein Tumhare Bina

Jaldi Laut Aao Ab Yahi Chaah Hai
Warna Ji Na Payenge Tumhare Bina.

दिल लगता नहीं है अब तुम्हारे बिना,
खामोश से रहने लगे है तुम्हारे बिना,

जल्दी लौट के आओ अब यही चाह है,
वरना जी ना पाएँगे तुम्हारे बिना।


Wasta Nahi Rakhna to..
phir mujh pe..
nazar kyu rakhta hai.main kis haal me jinda hu..
tu ye sab kahabr kyu rakhta hai

वास्ता नही रखना तो..
फिर मुझपे..
नजर क्यूं रखता है?
मैं किस हाल में जिंदा हूँ…तू ये सब..
खबर क्यूं रखता है..


Har baat ko yaad karte hai,
Kabhi chahat kabhi judai ki aah bharte hai,
Yun to roz aap se phone me baat karte hai,
Phir bi mulakat ki intazzr karte hai.



Main Is Liye Chhod Aaya Tha Woh Tera Sahar,
Ki Shayad Teri Yaad Na Fir Aayengi Mujh Ko,
Magar Kya Maalum Tha Ki Aisa Bhi Hoga Kabhi,
Pahle Se Bhi Jyada Yeh Tadpayengi Mujhko.



Har Subah Teri Muskurati Rahe,
Har Sham Teri Gungunati Rahe,
Meri Dua Hai Ki Tu Jis Se Bhi Mile,
Har Milne Wale Ko Teri Yaad Aati Rahe.



Beete pal phir la nahi sakte,
Sukhe phul phir khila nahi sakte,
Kabhi kabhi lagta hai aap hume yaad nahi karte,
Par dil kehta hai aap hame bhula bhi nahi sakte..



Tere Sahar Tera Naam Kyu Teri Baatein Yaad Rakhun,
Jo Hamne Ki Thi Tumse Kyu Mulakatein Yaad Rakhu,
Dil Ko Mere Todkar Ghamon Ka Sagar Hai Diya,
Jo Saath Thi Gujari Kyun Barsaatein Yaad Rakhun.



Yaadon ko teri hum pyar karte hai,
Saat janam bhi tum par nisaar karte hai.Fursat mile to kuch likh bhejna yaar,
Ek tere hi sms ka intezar karte hai!
Good Night



Bheegi Palkon Ke Sang Muskurate Hain Hum,
Pal Pal Dil Ko Kuch Aur Behlate Hain Hum,
Tu Door Hai Humse To Kya Hua Mere Dilbar,
Har Saans Mein Teri Aahat Paate Hain Hum.


Tujhe Chahte Hain Be-Inteha Par Chahna Nahi Aata,
Ye Kaisi Mohabbat Hai Ki Humein Kehna Nahi Aata,
Zindagi Mein Aa Jao Hamari Zindagi Ban Kar,
Ki Tere Bin Humein Zinda Rehna Nahi Aata.


Kyon Tujhi Ko Dekhna Chahati Hain Meri Aankhein,
Kyon Khamoshiyaan Karti Bas Hain Teri Baatein,

Kyon Itna Chahane Laga Hoon Tujhko Main,
Ki Taare Ginte Huye Kat-ti Hain Meri Raatein,

Tu Hi Kuchh Bata De Kya Main Karoon Inka,
Har Pal Jo Mujhe Tadpaati Hain Teri Yaadein.


Nasha hum karte hain,
ilzaam sharaab ko diya jaata hai,
magar ilzaam sharab ka nahi unka hai,
jinka chehra hume har jaam me nazar aata hai.

नशा हम करते हैं,
इलज़ाम शराब को दिया जाता है,
मगर इल्ज़ाम शराब का नहीं उनका है,
जिनका चेहरा हमें हर जाम में नज़र आता है!


Kaha kho gaye hai aap,
Ya so gaye hai aap,
Bewafa to lagte nahi the pehle,
Kya ab ho gaye hai aap !


कहाँ खो गए हैं आप ,
या सो गए हैं आप,
बेवफा तो लगते नहीं थे पहले,
क्या ?
अब हो गए हैं आप.


खता हो गयी तो सजा बता दो,
दिल में इतना दर्द क्यों है वजह बता दो,
देर हो गयी है याद करने में ज़रूर,
लेकिन तुमको भुला देंगे ये ख्याल दिल से मिटा दो।


Khata Ho Gayi To Saja Bata Do,
Dil Me Itna Dard Kyu Hai Wajah Bata Do,
Der Ho Gayi Hai Yaad Karne Me Jarur,
Lekin Tumko Bhula Denge Ye Khayal Dil Se Mita Do!


Aaj Tak Hai Uske Lout Aane Ki Umeed,
Aaj Tak Thehri Hai Jindagi Usi Jageh,
Laakh Ye Chaha Ki Usko Bhul Jaayun,
Hosla Apni Jageh Bebasi Apni Jageh.

आज तक है उसके लौट आने की उम्मीद,
आज तक ठहरी है ज़िंदगी अपनी जगह,
लाख ये चाहा कि उसे भूल जाये पर,
हौंसले अपनी जगह बेबसी अपनी जगह।
 



Logon Ki Bheed Mein Toh Maalun Nahi Hota,
Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,
Aap Toh Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai.



वो कह कर गई थी कि लौटकर आऊँगी,
मैं इंतजार ना करता तो क्या करता,
वो झूठ भी बोल रही थी बड़े सलीके से,
मैं एतबार ना करता तो क्या क्या करता।



Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,
Dur Hone Se Ehsas Nahi Marte,
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nzhi Jab Hum Apko Yaad Nahi Krte..


Chupke Se Jo Mangi Hai,
Un Duao Me Tum Ko Pana Hai,
Tum Rooth Ke Mujse Na Jao,
Mujhe Sath Tumhara Pana Hai,
Tum Laut Ke Wapis Aa jao,
Mujhe “Hamsafar” Tumhe Bnana Hai.



Humne To Kaha Tha Aapse Eh Mere Dost,
Ki Aap Humse Dosti Nibha Na Paaoge,
Aap To Shayad Bhool Bhi Jaaoge Hamein,
Magar Humko Ko Aap Hamesha Yaad Aaoge.



Tere Sagar Par Moula Yeh Jahan Julm Dha Raha Hai,
Tu Bhi Door Baitha Kaise Muskura Raha Hai,
Ab Puchhta Bhi Nahi Hai Koi Baad Uske Mujhe,
Aaj Bichhuda Yaar Mujhe Yaad Aa Raha Hai.



Hamaare Toh Kuchh Hi Din Baaki Hain Zindagi Ke,
Aapki Yaadon Ke Sahaare Yeh Kat Hi Jaayenge,
Magar Itna Yaad Rakhna Eh Dagaa Karne Waalon,
Ki Aap Bhi Kisi Se Dhoka Jarur Khayenge.



Raat kya hui Roshni ko Bhool gaye,
Chand kya nikla suraj ko bhool gaye,
Maana kuch der hum ne aap ko SMS nahi kiya,
To kya aap hamein yaad karna bhool gaye.Good Night

रात क्या हुयी रौशनी को भूल गये,
चाँद क्या निकला सूरज को भूल गये,
माना कुछ देर हमने आपको SMS नही किया,
तो क्या आप हमे याद करना भूल गये.Good Morning



रात का चाँद आसमान में निकल आया है.साथ में तारों की बारात लय है.ज़रा आसमान की ओर देखो वो आपको..
मेरी और से गुड नाईट कहने आया है.

Raat ka CHAND aasman me nikal aaya hai.Sath me taron ki barat laya hai.Zara aasman ki or dekho wo aapko..
meri or se good night kehne aaya hai.



Saans Tham Jati Hai Per Jaan Nahi JaatiDard Hota Hai Per Aawaz Nahi AatiAjeeb Log Hai Is Zamaane MeinKoi Bhul Nahi Pata Aur Kisiko Yaad Nahi Aati !
!



Kaise woh lot aye ke fursat usse nahi,
Duniya samajh rahi hai Mohabbat usse nahi,
Lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main,
Kafi dinon se Mujh se shikayet usse nahi,
Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye,
Jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahi.



दूरियों की ना परवाह कीजिये,
दिल जब भी पुकारे बुला लीजिये,
कहीं दूर नहीं हैं हम आपसे,
बस अपनी पलकों को आँखों से मिला लीजिये।


Duriyon Ki Na parwah Kijiye,
Dil Jab Bhi Pukare Hume Bula Lijiye,
Hum Zyada Dur Nahi Aapse,
Bas Apni Aankho Ko Palko Se Mila Lijiye.



Woh Khwabo Mein Aakar Rulate Hain,
Hakikat Mein Na Aakar Tadpaate Hain,
Jinko Hum Samjhaya Karte The Kabhi,
Woh Log Aaj Humko Samjhate Hain.



Aaj bhigi hai palke kisi ki yaad me,
aakash bhi simat gaya hai apne aap me,
oas ki boonde aisi giri hai jameen per,
maano chand bhi roya ho unki yaad me..



Jo bani ho Mere liye,
Jis ke liye main Jee raha hoon,
Jo kahe Hum saath hain tere,
Jise dekhne ke liye Tarap raha hoon,
Ek aisa hi Dildaar chahiye,
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye.



Dil me aap ki yaaden ne kar liya hai makaam,
Umar bhar aapki yaad rahegi paigham,
Aap ki is dosti ne kar diya hame ghulam,
Are jaathe jaathe usthaadon lelo hamari salaam.



Dil Ki Awaz Koi Pehchanta Nahi,
Kisko Kya Dard Hai Koi Janta Nahi,
Hum Bhi Nahi Chahte Aapko Pareshan Karna,
Magar Kya Kare Dil Hai Ki Manta Nahi.



Yaad karenge to din se raat ho jayegi,
aaine mein dekhiye khud ko hamase baat ho jayegi,
shikava na kariye hamase milane ka,
aankhe band kariye mulakat ho jaayegi.

याद करेंगे तो दिन से रात हो जायेगी,
आईने में देखिये खुद को हमसे बात हो जायेगी,
शिकवा न करीये हमसे मिलने का,
आँखे बंद करीये मुलाकात हो जायेगी.



यूँ पलके बिछा कर तेरा इंतज़ार करते है,
यह वो गुनाह है जो हम बार बार करते है,
जलकर हसरत की राह पर चिराग,
हम सुबह और शाम तेरे मिलने का इंतज़ार करते है.

Yun palke bicha kar tera intezar karte hai,
Yeh wo gunah hai jo hum baar baar karte hai,
Jalakar hasrat ki rah par chirag,
Hum subah aur sham tere milne ka intezar karte hai.



गम ने हसने न दिया,
ज़माने ने रोने न दिया!
इस उलझन ने चैन से जीने न दिया!
थक के जब सितारों से पनाह ली!
नींद आई तो तेरी याद ने सोने न दिया!


Gham ne hasne na diya,
jamane ne rone na diya,
Is uljhan ne chain se jeene na diya,
Thak ke jab sitaaro se panaah lee,
Neend aayi to teri yaad ne sone na diya.



Dekhte Hi Dekhte Yeh Zindagi Gujar Jaayegi,
Jo Ghadiya Beet Chuki Hain Dubara Nahi Aayengi,
Kah Toh Diya Ke Bhool Jaayenge Tum Ko,
Jaanta Hun Magar Unki Yaad Bahut Tadpayengi.



Tu dil se na jaye to main k‍ya karu,
Tu kh‍yalon se na jaaye to main k‍ya karu,
Kehte hai khwabo mein hogi mulakat unase,
Par neend na aaye to main k‍ya karu.

तु दिल से ना जाये तो मैं क्‍या करू,
तु ख्‍यालों से ना जाये तो मैं क्‍या करू,
कहते है ख्‍वावों में होगी मुलाकात उनसे,
पर नींद न आये तो मैं क्‍या करू।
 



Nikli Mohabbat Ki Baat To Tum Yaad Aa Gaye,
Uthe Dil Mein Wo Zazbat To Tum Yaad Aa Gaye,
Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko,
Hui Jab Pyaar Ki Barsat To Tum Yaad Aa Gaye.



Logon Ki Bheed Mein To Maalum Nahi Hota,
Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,
Aap To Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai.



Aapke Saath Bitaaye Woh Pal,
Hamare Dil Ko Bahlayenge Hamesha,
Aap Bhale Hi Paas Na Ho Hamare,
Magar Yaadon Mein Hamari Aayenge Hamesha.



Tujhe dekhe bina teri tasvir bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon.

​तुझे देखे बिना तेरी तस्वीर बना सकता हूँ,
तुझसे मिले बिना तेरा हाल बता सकता हूँ,
है मेरी दोस्ती में इतना दम,
तेरी आँख का आँसू आपनी आँख से गिरा सकता हूँ।



Jaane us shakhs ko kaisa ye hunar aata hai,
Raat hoti hai to ankhoo main utar aata hai,
main us ke khyaal se niklu to kahan jaau,
wo meri soch ke har raste pe nazar aata hai.

जाने उस शख्स को कैसे ये हुनर आता है,
रात होती है तो आँखों में उतर आता है,
मैं उस के खयालो से बच के कहाँ जाऊं,
वो मेरी सोच के हर रस्ते पे नजर आता है।



Ek Jurm Hua Hai Hum Se Ek Yaar Bana Baithe Hain,
Kuch Apna Sa Us Ko Samajh Kar Sab Raaz Bata Baithe Hain,
Phir Us Ke Pyaar Ki Raah Mein Dil-o-Jaan Gawa Baithe Hain,
Woh Yaad Bahut Aate Hain Jo Hum Ko Bhula Baithe Hain.



Kash K Wo Lout Aaye Mujh Se Ye Kehne..
..
.K Tum Kon Hote Ho Mujh Se Bicharne Wale.



वो नहीं आती पर निशानी भेज देती हैख्वाबो में दास्ताँ पुरानी भेज देती हैकितने मीठे हे उसकी यादो के मंज़र।
कभी कभी आँखों में पानी भेज देती है!


Wo nahi aati par nishani bhej deti hai,
khwabon mein dastan purani bhej deti hai,
kitne mithe hain uske yadon ke manzar,
kabhi kabhi ankhon mai pani bhej deti hai.



Har Roz Mujhe Yeh Khayal Aata Hai,
Ghamon Se Mera Bahut Purana Nata Hai,


Har Roz Teenka-Teenka Marte Hain Hum,
Chah kar Bhi Tera Chehra Nahi Bhulaya Jata Hai.



आपसे दूर रेहके भी आपको याद किया हमने,
रिश्तों का हर फ़र्ज़ अदा किया हमने,
मत सोचना की आपको भुला दिया हमने,
आज फिर सोने से पहले आपको याद किया हमने.Good Night

Aapse dur rehke bhi aapko yaad kiya humne,
Rishto ka har farz ada kiya humne,
Mat sochna ki aapko bhula diya humne,
Aaj fir sone se pehle aapko yaad kiya humne.Good Night.



Betaab se rehte hain teri yaad mein aksar,
Raat bhar nahi sote teri yaad mein aksar.Bedard zamaane ka bahana sa bana kar,
Hum toot ke rote hain teri yaad mein aksar.

बेताब सा रहते हैं तेरी याद में अक्सर,
रात भर नहीं सोते हैं तेरी याद में अक्सर,
जिस्म में दर्द का बहाना बना के,
हम टूट के रोते हैं तेरी याद में अक्सर।
 



उल्फत का अक्सर यही दस्तूर होता है,
जिसे चाहो वही अपने से दूर होता है,
दिल टूटकर बिखरता है इस कदर,
जैसे कोई कांच का खिलौना चूर-चूर होता है!


Ulfat ka aksar yahi dastur hota hai.Jise chaho wahi humse dur keyo hota hai.Dil tut kar keyo bikharta hai is kadar.Jaise kanch ka khilauna chur chur hota hai.



तेरी आवाज़ तेरे रूप की पहचान है,
तेरे दिल की धड़कन में दिल की जान है,
ना सुनूं जिस दिन तेरी बातें,
लगता है उस रोज़ ये जिस्म बेजान है।
i



Ek ajeeb dastan hai Mere afasane ki,
Maine pal pal koshish ki tere pas aane ki,
Kismat thi meri ya sazish jamane ki,
Dur huye itana jitani..
Umeed thi kareeb aane ki..
!


एक अजीब दास्तान है मेरे अफसाने की..
मैने पल पल कोशिश उसके की पास जाने की,
किस्मत थी मेरी या साजिश थी ज़माने की,
दूर हुई मुझसे इतना जितनी उमीद थी करीब आने की



Kitni Zaalim Hoti Hai,
Ye Pal Do Pal Ki Pehchan..
Na Chate Huye Bhi,
Dil Ko Kisi Ka Intezaar Sa Rehta Hai…



इस दिल की दास्ताँ भी बड़ी अजीब होती है,
बड़ी मुस्किल से इसे ख़ुशी नसीब होती है,
किसी के पास आने पर ख़ुशी हो न हो,
पर दूर जाने पर बड़ी तकलीफ होती है!



बहुत चाहा उसको जिसे हम पा न सके,
ख्यालों में किसी और को ला न सके.उसको देख के आंसू तो पोंछ लिए,
लेकिन किसी और को देख के मुस्कुरा न सके.

Bahut chaha usko jise hum pa na sake,
Khayalon me kisi aur ko la na sake.Usko dekh ke aansoo to ponchh liye,
Lekin kisi auor ko dekh ke muskura na sake.



Wo na aaye unki yaad aakar wafa kar gayi.Unse milne ki tamanna sukoon tabah kar gayi,
Aahat hui socha asar duaa kar gayi,
Darwaja khola to dekha majak humse hava kar gayi!


वो न आए उनकी याद वफ़ा कर गई,
उनसे मिलने की चाह सुकून तबाह कर गई,
आहट दरवाज़े की हुई तो उठकर देखा,
मज़ाक हमसे हवा कर गई!



Aaj unhe fursat nahi humse baat karne ki,
Ye zindagi gujar gayi unki fariyaad kar k,
Wo aaye humari mout pe,
to keh dena,
Abhi soye hai aapko yaad kar k.

आज उन्हे फुर्सत नही हमसे बात करने की,
ये जिन्दगी गुजर गई उनकी फरियाद करके,
वो आए हमारी मौत पे,
तो कह देना अभी सोया है आपको याद करके.



Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,
Dur Hone Se Ehsas Nhi Marte,
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Apko Yaad Nhi Karte.



Zuban Khamosh Aankhon Me Nami Hogi,
Yahi Bas Ek Dastan-E-Zindagi Hogi,
Bharne Ko To Har Zakham Bhar Jayega,
Kaise Bhariegi Wo Jagah Jaha Teri Kami Hogi.



Wo din din nahi,
wo raat raat nahi,
wo pal pal nahi,
jis pal teri yaad nahi,
teri yaadon se maut hame alag kar sake,
maut ki bhi ye aukat nahi.



हकीकत जान लो जुदा होने से पहले,
मेरी सुन लो अपनी सुनाने से पहले,
ये सोच लेना भूलने से पहले,
बहुत रोई हैं ये आँखें मुस्कुराने से पहले.

Haqikat jaan lo juda hone se pahle,
Meri sun lo apni sunane se pahle,
Ye soch lena bhulane se pahle,
Bahut royi hain ye aankhen muskurane se pahle.



इस दिल को किसी की आस रहती है,
निगाहों को किसी सूरत की प्यास रहती है,
तेरे बिना किसी चीज़ की कमी तो नही,
पर तेरे बेगैर जिन्दगी बड़ी उदास रहती है..


Iss dil ko kisi ki aas rehti hai,
Nigaah ko kisi soorat ki pyaas rehti hai,
Tere bina zindagi mein kami toh nahi,
Phir bhi tere bina zindagi udhaas rehti hai.



Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hai,
Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain,
Pata Hai Majbur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi,
Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain.



Jab jab yaad karogi apani tanhaiyo ko,
ek jalata charaag sa nazar aauga mainraah se rahaguzar ban ke bhi gujar jaogi,
ek mil ka patthar sa khada nazar aauga main..


जब जब याद करोगी अपनी तन्हाईयो को,
एक जलता चराग सा नज़र आऊगा मैंराह से रहगुज़र बन के भी गुजर जाओगी,
एक मिल का पत्थर सा खड़ा नज़र आऊगा मैं..



Woh Mousam Pyar Ka Eh Mere Dost,
Na Jaane Kyu Hardam Yaad Aata Hai,
Jab Bhi Hota Hai Akela Kabhi Hum,
Na Jaane Kyu Isko Bahut Rulata Hai.



Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.



Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar..


Oh Shakti Bhare,
Anurakti Bhare,
Nas Nas Ke Pahle Javaar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar,


Pavas Ki Pahli Fuharon Se,
Jisne Mujhko Kuchh Bol Diye,
Mere Aansu Muskano Ki,
Kimat Par Jisne Tol Diye,
Jisne Ahsas Diya Mujhko,
Main Ambar Tak Uthh Sakta Hu,
Jisne Khud Ko Bandha,
Lekin,
Mere Sab Bandhan Khol Diye,
Mere Geeton Ke Saar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar,


Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar.



Aasuon ki bunde hai ya ankhon ki nami hain,
Na upar aasma hai na niche zamee hain,
Ye kaisa mod hai zindagi ka,
Uski hi zarurat hai aur uski hi kami hain!



Album to meri hai magar tasveer teri hai,
Aadhi khali hai aur aadhi bhari hai,
Teri tasveer khojta hun magar nahi milti,
Shayad aadhi ko jis ki talas hai,
Dost wo tasveer teri hai.



Kyo yaad aati hai teri,
Kyu plake bheeg jaati hain meri,
Jaha-jaha bhi gire mere aanshu,
Kyun tasveer ban jatti hai teri..



डरते है आग से कही जल न जाये,
डरते है ख्वाब से कहीं टूट न जाये,
लेकिन सबसे ज़्यादा डरते है आपसे,
कहीं आप हमे भूल न जाये.

Darte hai aag se kahi jal na jaye,
darte hai khwab se kahin toot na jaye,
lekin sabse ziyada darte hai aapse,
kahin aap hume bhool na jaye.



Sagar Main Gehraayi Hoti Hai,
Yaadon Main Tanhayi Hoti Hai,
Is Busy Life Main Kaun Kisko Yaad Karta Hai,
Aur Agar Karta Hai To Uski Yaado Main Sachhayi Hoti Hai.



Tanhai Mein Hum Teri Taakte Hain Raahein,
Tumhe Dekhne Ko Tarsati Hain Nigahein,
Bekhudi Ka Yeh Aalam Hai Kaisa,
Tumhe Yaad Karke Nikalti Hain Aahein.



Dil se dil ki bs yahi duaa hain,
Aaj fir humko kuchh hua hai,
Sham dhalte hi aati hai yaad aapki,
Lagta hain pyar aap se hi hua hain.



Pyar ne ye kaisa tohfa de diya,
Mujhko gumo ne pathar bana diya,
Teri yaadon main hi kat gayi ye umar,
Kehta raha tujhe kab ka bhula diya.

प्यार ने ये कैसा तोहफा दे दिया,
मुझको गुमो ने पत्थर बना दिया.तेरी यादों मैं ही कट गयी ये उमर,
कहता रहा तुझे कब का भुला दिया!



Tum na aao to bechain rehta hai dil mera,
Dekh ker tumko chain khota hai dil mera,
Kaise aayega mere dil ko karar pata nahi,
Ki teri yaad mein pal pal dil rota hai mera.



Kab Unki Palkon Se Izhaar Hoga,
Dil K Kisi Kone Mein Hamare Liye Pyar Hoga,
Guzar Rahi Hai Raat Unki Yaad Me,
Kabhi To Unko Bhi Hamara Intezar Hoga.

कब उनकी पलकों से इज़हार होगा,
दिल के किसी कोने में हमारे लिए प्यार होगा,
गुज़र रही है हर रात उनकी याद में,
कभी तो उनको भी हमारा इंतज़ार होगा।



Sirf Yaad Ban Kar Na Rah Jaye Pyar Mera,
Kabhi Kabhi Kuch Waqt Ke Liye Aya Karo,
Meri Dolat He Jo Sambhal Ke Dil Main Rakhta Hu,
Mere Agar Aap Nahi Aap Sakte To Kuch Yaden Hi De Jaya Karo.



Dil se teri yaad ko juda toh nahi kiya,
Rakha jo tujhe yaad kuchh bura toh nahi kiya,
Hum se tu naraaj hai kis liye bata jaraa,
Humne kabhi tujhe khafa toh nahi kiya.

दिल से तेरी याद को जुदा तो नहीं किया,
रखा जो तुझे याद कुछ बुरा तो नहीं किया,
हम से तू नाराज़ हैं किस लिये बता जरा,
हमने कभी तुझे खफा तो नहीं किया।



Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai,
Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai,
Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai,
Neend aati nahin aur raat guzar jaati hai!


कितनी जल्दी ज़िन्दगी गुज़र जाती है,
प्यास भुझ्ती नहीं बरसात चली जाती है,
तेरी याद कुछ इस तरह आती है,
नींद आती नहीं मगर रात गुज़र जाती है।



Umar Ki Raah Mein Raste Badal Jate Hai,
Waqt Ki Aandhi Me Insan Badal Jate Hai,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare Lekin,
Ankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hai.

उम्र की राह में रास्ते बदल जाते हैं,
वक़्त की आंधी में इंसान बदल जाते हैं,
सोचते हैं तुम्हें इतना याद ना करें लेकिन,
आँख बंद करते ही इरादे बदल जाते हैं।



खुश नसीब होते हैं बादल,
जो दूर रहकर भी ज़मीन पर बरसते हैं,
और एक बदनसीब हम हैं,
जो एक ही दुनिया में रहकर भी..
मिलने को तरसते हैं.

Khush naseeb hote hain badal,
Jo dur rehkar bhi zameen par baraste hain,
Aur ek badnaseeb hum hain,
Jo ek hi duniya mei rehkar bhi..
Milne ko taraste hain.



Ek tu teri aawaz yaad aayegi,
Teri kahi huwi har baat yaad aayegi,
Din dhal jayega raat yaad aayegi,
Har lamha pahli mulakat yaad aayegi.

एक तु तेरी आवाज़ याद आएगी,
तेरी कही हुई हर बात याद आएगी,
दिन ढल जायेगा रात याद आएगी,
हर लम्हा पहली मुलाकात याद आएगी।



Shaam ka ye haseen sama hain,
Suraj bhi ab dhalne lagaa hain,
Thandi hawa bhi chalne lagi hain,
Par tu naa jane kanha hain.



Aapki kami se dil mera udaas hai,
Par mujhe to aapse milne ki aas hai,
Zakhm nahi par dard ka ehsaas hai,
Aisa lagta haiJaise dil ka ek tukda aapke paas hai.

आपकी कमी से मेरा दिल उदास हैं,
पर मुझे तो आपसे मिलने की आस हैं,
जख़्म नहीं पर दर्द का एहसास हैऐसा लगता है..
जैसे दिल का एक टुकड़ा आपके पास हैं।



Yaad Aane Wale Yaad Aaye Ja Rahe Hain,
Mere Khayalon Kee Duniya Par Chaye Ja Rahe Hain,
Hum Kuch Keh Rahe Hain Par Wo Chup Hain,
Bas Mera Khat Padh Kar Muskuraye Ja Rahe Hain.



Waqt guzrega hum bikhar jayenge,
kaun jane k hum kidhar jayenge,
Hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge.



Logo ko aksar kehte suna hai ki..
Zinda rahe to fir milenge.

Magar is dil ne mahsoos kiya ki..
Milte rahoge to zinda rahenge.



Har mulakat par waqt ka takaza hua,
Jab jab use dekha dil ka dard taza hua,
Suni thi sirf ghazal mein judai ki bate,
Ab khud par biti to haqiqat ka andza hua.

हर मुलाकात पर वक्त का तकाज़ा हुआ..
हर याद पे दिल का दर्द ताजा हुआ..
सुनी थी सिर्फ हमने गज़लों मे जुदाई की बातें..
अब खुद पे बीती तो हकीकत का अंदाजा हुआ..
!



Jo Pal Gujare Saath Unke,
Woh Pal Bahut Yaad Aate Hain,
Jab Bhi Hum Tanha Hote Hain,
Yeh Humko Bahut Rulate Hain.



Taras gaye aapke deedar ko,
Phir bhi dil aap hi ko yaad karta hai,
Humse khush naseeb to aapke ghar ka aaina hai,
Jo har roz aapke husn ka deedar karta hai.

तरस गये आपके दीदार को,
दिल फिर भी आपका इंतज़ार करता है,
हमसे अच्छा तो आपके घर का आईना है,
जो हर रोज़ आपका दीदार करता है।



Door Hain Aapse Toh Koi Gam Nahi,
Door Rehkar Bhulne Waale Hum Nahi,
Roj Mulaqat Na Ho To Kya Hua,
Aapki Yaad Aapki Mulaqat Se Kam NahI.



Ek roj jab wo mujhse miley to kehne lage ki,
Tum yu udaas na raha karo mujhe achha nahi lagta,
Yaaro,
Main to us se itna bhi na keh saka,
Ye udaasi to kab ki chali gayi hoti…Jo mujhe tera saath mil gaya hota…



आरज़ू होनी चाहिए किसी को याद करने की……!
लम्हें तो अपने आप ही मिल जाते हैं,
कौन पूछता है पिंजरे में बंद पंछियों को,
याद वही आते है जो उड़ जाते है…!



Dhalti Shaam Ka Khula Ehsaas Hai,
Mere Dil Mein Teri Jagah Kuch Khaas Hai,
Tu Nahi Hai Yahaan Malum Hai Mujhe,
Par Dil Ye Kehta Hai Tu Yahi Aas-Paas Hai.

ढलती शाम का खुला एहसास है,
मेरे दिल में तेरी जगह कुछ खास है,
तू नहीं है यहाँ मालूम है मुझे पर,
दिल ये कहता है तू यहीं मेरे पास है।
 

Miss You Shayari,Miss You Shayari अध्याय,
heart touching miss you shayari, miss you shayari in hindi, Miss You Shayari 2 Line Hindi