Best Dard Shayari in Hindi


Best Dard Shayari in Hindi


Oh Hote Nahi Phir Bhi Unke
Hone Ka Bharam Hota Hai,

Ye Dile Nadan Yah Kya Karam Hota Hai

Agar Mile Oh Ghari Bhar Ke Liye Humse,

To Yeh Unka Hum Pe Raham Hota Hai,
Unke Milne Ki Khushi To Hoti Hai,


Par Mil Ke Bichhar Jane Ka Gaam Hota Hai,
Oh Hote Nahi Phir Bhi Unke

Hone Ka Bharam Hota Hai,
Ye Dile Nadan Yeh Kya Karam Hota Hai.


Khula Hai Dar Magar Tera Intezaar Jata Raha,
Pyar Toh Hai Magar Aitbaar Jata Raha,


Kisi Ki Aankh Mein Masti Toh Aaaj Bhi Wohi Hai,
Magar Kabhi Jo Hamein Tha Khumar Jata Raha,


Kabhi Jo Seene Mein Ek Aag Thi Woh Sard Huyi,
Kabhi Nigah Mein Jo Thi Chingari Jati Rahi.


Ab Wafa Se Mukar Gaya Hai Dil,
Ab Mohabbat Se Dar Gaya Hai Dil,


Ab Saharon Ki Baat Mat Karna,
Ab Dilason Se Bhar Gaya Hai Dil,


Jab Bulate The Zinda Dil The Hum,
Ab Na Aao Ke Marr Gaya Hai Dil.


Yaad Aa Gayi Fir Humko,
Kuchh Bhuli Huyi Baatein Yaaro,


Royenge Jinmein Kuredkar Jakham,
Aa Gayi Fir Woh Baatein Yaaro.


हद से ज्यादा खुशी और हद से ज्यादा गम
कभी किसी कौ मत बताऔ!

जिंदिगी मे लोग हद से ज्यादा खुशी पर“नजर”

और हद से ज्यादा गम पर “नमक” जरुर लगाते है!

Had Se Jyaada Khushee Aur Had Se Jyaada Gam

kabhee Kisee Kau Mat Bataau!

Jindigee Me Log Had Se Jyaada Khushee Par“Najar”

Aur Had Se Jyaada Gam Par “Namak” Jarur Lagaate Hai!


Tu Bhi Hai Sangdil Bewafa Eh Dost,
Yeh Sochkar Dil Ghabrata Hai,


Ab Karun Bhi Kya Ke Bin Tere,
Mujh Se Jiya Nahi Jata Hai.


Aap Kyu Sarminda Hote Ho Apni Bewafayi Par,
Hamein Maalum Tha Ki Gham Ko Hamara Hona Tha,


Bas Aap Muskarate Rahein Yeh Dua Hai Humari,
Humari Kismat Mein Toh Likha Hi Rona Tha.


Tere Ishq Mein Sab Kuchh Luta Baitha,
Main Toh Zindagi Bhi Apni Ganva Baitha,


Ab Jeene Ki Tamanna Na Rahi Baki,
Saare Armaan Main Apne Dafna Baitha.


Sochta Hun Milunga Jab Tujhse,
Tujhe Seene Se Apane Lagaunga,


Chhupa Lunga Dil Mein Main Tujhko,
Kahin Door Na Fir Kabhi Jaaunga.


Dekhna Wafa Ka Jab Bhi Sawal Aayega,
Tab Usko Mera Hi Khyal Aayega,


Magar Zindagi Ki Kabhi Woh Sham Hogi,
Tab Mujhko Us Khuda Par Malal Aayega.


Aapke Saath Bitaaye Woh Pal,
Hamare Dil Ko Bahlayenge Hamesha,


Aap Bhale Hi Paas Na Ho Humare,
Magar Yaadon Mein Hamari Aayenge Hamesha.


Ae Khuda Salaamat Rakhna Unko,
Jo Humse Nafrat Karte Hain,


Pyar Na Sahi Nafrat Hi Sahi,
Kuchh To Hai Jo Wo Sirf Humse Karte Hain.


Phool Bantata Hai Jaise
Sabko Hi Khusboo,
Aise Hi Tu Sab Ko Khusiyan Deta Ja,


Yeh Na Soch Koun Tera Apna Koun Begana,
Bas Sab Ke Hi Diye Gham Chup Chap Leta Ja.


Dil Ka Dard Ek Raaz Banke Reh Gaya,
Mera Bharosa Mazak Banke Reh Gaya,


Dilo Ke Saudagar Se Dillagi Kar Bethe,
Shayad Is Liye Mera Pyaar Mazak Ban Ke Reh Gaya.


दिल का दर्द एक राज बनकर रह गया,
मेरा भरोसा मजाक बनकर रह गया,


दिल के सोदागरो से दिललगी कर बैठे,
शायद इसीलिए मेरा प्यार इक अल्फाज बनकर रह गया।


Sab Kuchh Bhulaya Uski Yaad Mein,
Khud Ko Bhi Mitaya Uski Yaad Mein,


Agar Hai Kuchh Baki Toh Sirf Yaad Uski,
Khud Ko Kabar Mein Sulaya Uski Yaad Mein.


Kaif Mein Duba Hua Hoon Aalam E Tanhayi Hai,
Phir Teri Yaad Dabe Paanv Chali Aayi Hai,


Shab E Taarik Pe Chhayi Huyi Ranayi Hai,
Yeh Teri Zulf Ke Saaye Hain Ke Parchhayi Hai,


Tere Deevane Ko Itna Bhi Ab Hosh Nahi,
Yeh Tera Aaghosh Hai Ya Ghausha E Tanhayi Hai.


Zindagi Ke Har Lamhon Mein Unhi Ko Paate Hain,
Bhool Jayein Khud Ko Par Unhe Nahi Bhulate Hain,


Jane Kya Baat Hai Unme Ae Khuda,
Jitna Bhulate Hain Wo Utna Yaad Aate Hain.


ज़िन्दगी के हर लम्हो में उन्ही को पाते हैं,
भूल जाएं खुद को पर उन्हें नहीं भुलाते हैं,


जाने क्या बात है उनमे ऐ खुदा,
जितना भूलते हैं वो उतना याद आते हैं


Hum Jee Lenge Aapke Diye Ghamon Ke Sahare,
Aap Khus Raho Sada Dil Se Dua Hamari Hai,


Ek Rah Gayi Hamare Paas Amanat Aapki,
Jab Chaaho Mang Lena Yeh Jaan Bhi Tumhari Hai.


न वो सपना देखो जो टूट जाये,
न वो हाथ थामो जो छूट जाये,


मत आने दो किसी को करीब इतना,
कि उसके दूर जाने से इंसान खुद से रूठ जाये।


Na Wo Sapna Dekho Jo Toot Jaye,
Na Wo Hath Thamo Jo Choot Jaye,


Mat Aane Do Kisiko Itna Karib Ke
Uske Dur Jane Se Insaan Khud Se Ruth Jaye.


Koi Toh Bataye Itna Mujhko,
Kyu Bewafa Ho Jaate Hain Sab,


Saya Bhi Nahi Hai Saath Rahta,
Gham Ke Badal Chhate Hain Jab.


Unki Akhon Se Peete The Hum May Ke Pyale,
Suna Tha Woh Bhi He Hamko Chahne Wale,


Haseen Dastan Ki Umer Choti Hoti He Aksar,
Aaj Bethe He Veerane Main Yaddon Ko Sambhale.


Hamne Bhi Pyar Dekar Sanam Se Pyar Manga Tha,
So Bar Nahi Bas Ek Bar Iqrar Manga Tha,


Jab Giri Bijli Inqar Ki Hum Par Uske To Fir Se,
Khud Ki Numaish K Liye Gham Ka Darbar Manga Tha.


Jo Vaada Kiya Usne Humse,
Dekhna Nibha Kar Dikhayenge Hum,


Na Naam Uska Aayega Hoton Par,
Magar Bhula Bhi Na Paayenge Hum.


Nigahon Par Nagahon Ke Pher Hoten Hai,
In Nigahone Ke Ghav Bhi Gehare Hoten Hai,


Jane Kyon Kosten Hain Hum Badsurato Ko,
Barbad Karne Wale To Haseen Chehare Hi Hote Hai.


Maine Usko Chaha Dil Se,
Mere Dil Ko Woh Jaan Na Paayi,


Maine Khud Ko Uska Banaya,
Fir Bhi Meri Woh Ban Na Payi,


Usne Mujhko Apna Kar Bhi,
Begana Hi Toh Bana Diya,


Pahle Mujhko Woh Jaan Na Paayi,
Ab Mujhko Pahchan Na Paayi,


Jo Pal Mere Saath Bitaaye,
Un Palon Ko Bhi Usne Bhula Diya,


Mujh Ko Na Pahchan Kar Usne,
Mere Dil Ko Bhii Rula Diya,


Main Jab Us Se Milne Pahuncha,
Woh Boli Tum Kon Ho Bhai,


Pahle Mujhko Woh Jaan Na Paayi,
Ab Mujhko Pahchan Na Paayi.


Mannato Mein Manga Jise Khuda Sey,
Kyon Aaj Wo Baddua Ho Gay,


Kal Tak Tha Jo Dard Mera,
Kaise Kisi Ki Dawa Ho Gaya,


Ab Do Sawalo Mein Atki Hai Meri Zindgi,
Ab Ye Khuda Bhi Mujh Sey Khafa Ho Gaya.


Her Raah Ek Nayi Manzill Hai,
Kaddmo Ko Shambhalna Zara Musqil Hai,


Dost Ager Saath Naa Dey Toh,
Dhoop Toh Kyaa Chhaanv Mein Bhee Challna Musqil Hai.


Khusiyan Humko Koi Deta Nahi Hai Yahan,
Gham Apne Kisi Ko Dena Nahi Chahte,


Kahte Hain Paas Rahne Se Pyar Kam Hota Hai,
Isliye Kisi Ke Paas Bhi Rahna Nahi Chahte.


Talash Uski Karo Jo Kisi Ke Paas Na Ho,
Bhula Do Use Jis Par Bharosa Na Ho,


Hum To Apne Gamo Par Bhi Hass Padte Hain,
Wo Isliye Ki Samne Wala Udas Na Ho.


Na Jaane Kaise
Dard E Dil Chhupa Lete Hain Log,


Na Jaane Kaise
Gham Mein Bhi Muskura Lete Hain Log,


Meri Zindagi Toh Ek Khuli Kitab Hai,
Na Jaane Kaise
Chehre Par Chehra Chadha Lete Hain Log.


Apne Dil Ke Gham Ab Kisko Sunayein Hum,
Aapke Baad Ab Paas Kisko Bithayein Hum,


Bin Aapke Toh Ab Ek Bhi Pal Nahi Katata,
Padi Hai Saari Umar Bataao Kaise Bitayein Hum.


Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,
Dur Hone Se Ehsas Nhi Marte,


Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Apko Yaad Nhi Karte.


छोटी सी ज़िन्दगी में अरमान बहुत थे,
हमदर्द कोई न था इंसान बहुत थे,


हम अपना दर्द बताते भी तो किसे बताते,
इस दिल का हाल जानने वाले अनजान बहुत थे


Chhotee See Zindagee Mein Aramaan Bahut The,
Hamadard Koee Na Tha Insaan Bahut The,


Ham Apana Dard Bataate Bhee To Kise Bataate,
Is Dil Ka Haal Jaanane Vaale Anajaan Bahut The


Gham Hi Mile Itne Jeevan Mein,
Ki Khusiyon Ko Bulana Bhool Gaye,


Huya Teri Judai Mein Aisa Aalam,
Ki Hum Apna Hi Thikana Bhool Gaye.


Aankhen Khuli To Nazara Ajeeb Tha..
Dard Tha Magar Koi Dil Ke Kareeb Tha..


Jise Dhundte Rahe Hum Apne Haatho Ki Lakeero Main..
Pata Chala Wo Kisi Aur Ka Naseeb Tha..


Jonoon_E_Ishq Tha To ..
Kat Jate The Din Baaton Me,


Ab Saza E Ishq Hai ..
Toh Har Lamha Sadiyo Sa Lagne Laga Hai.


Apni Mohabbt Par Aitbaar Na Tha Unhe,
Ke Chodh Gayi Rah Mein…
Ye Keh Kar Ki Hume Kisi Aur Ki Talash Hai.


Tum Se Juda Hokar Dil Ko Ujaad Bana Diya,
Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Luta Diya,


Jakham Dil Ke Bharne Mein Abhi Vakt Kafi Hai,
Tere Aane Jaane Ki Raahon Mein Humne Khud Ko Bichha Diya.


Kyon Mere Dil Ko Diye Hain Jakham Aapne,
Kyon Mere Pyar Ko Aapne Aise Bhula Diya,


Wada Toh Kiya Tha Saath Nibhane Ka Magar,
Kyun Sagar Ko Fir Aise Hai Daga Diya.


Aisa Nahi Hai Ki Ab Teri Mujhko Zaroorat Nahi Rahi,
Bas Toot Toot Kar Ab Bikhrne Ki Himmat Nahi Rahi;,


Aisa Nahi Hai Ki Tere Peeche Teri Yaad Aati Nahi,
Bas Ab Foot Foot Kar Rone Kee Himmat Nahi Rahi.


वफ़ा पर हमने घर लुटाना था लेकिन,
वफ़ा लौट गयी लुटाने से पहले,


चिराग तमन्ना का जला तो दिया था,
मगर बुझ गया जगमगाने से पहले।


Wafa Par Hamne Ghar Lutana Tha Lekin,
Wafa Lout Gai Lutane Se Pehle,


Cheerag Tamanna Ka Jala To Diya Tha,
Magar Bujh Gaya Jagmagane Se Pehle.


Na Jane Kaun Si Baat Aakhri Hogi,
Na Jane Kaun Raat Aakhri Hogi,


Karni Ho To Kar Lo Ji Bhar Ke Bat,
Na Jane Kaun Si Sans Aakhri Hogi.


Ehsaan Kiya Usne Mujhe Pyaar Sikha Kar,
Kya Hoti Hai Chahat Ye Mujh Ko Bata Kar,


Judai Hi Hota Hai Pyaar Ka Asli Matlab,
Chhod Diya Mera Saath Bas Itna Bata Kar.


Har Dard Ko Toh Mitana Mushkil Hota Hai,
Gujri Yaadon Ko Bhulana Muskil Hota Hai,


Aur Baaton Ko Toh Hum Bhula Sakte Hain Sagar,
Magar Pahle Pyar Ko Bhulana Muskil Hota Hai.


Talash Hai Ek Aise Shakhs Ki,
Jo Aankhon Mein Us Waqt Dard Dekh Sake,


Jab Sab Log Mujse Khete Hain,
Kya Yaar Hamesha Hansti Rehti Ho.


Meri Zindagi Ghamon Se Ho Gayi Hai Taar,
Khushiyan Bhi Mere Kareeb Nahi Aaati,


Zamane Bhar Ka Zeher Pee Liya Humne,

Jaan Hai Ki Kambhaqt Nikal Nahi Jaati.


Alfaaz To Bahut Hai Mere Dard Bayaan Karne K Liye..
Mere Dostpar Jo Meri Khaamoshi Ko Nahi Samajh Saka..
Wo Mere Alfaaz Ko Kya Samjhega..


Woh Kehte Hai Dil Pe Bharosa Itna Nahi Karte,
Hum Kehte Hai Mohabbat Mein Socha Nahi Karte,


Woh Kehte Hai Nazro Se Door Par Dil Ke Paas Hoon,
Humne Kaha Sapno Se Dil Ko Behlaya Nahi Karte.


Tere Jaane Ke Baad Sanam Mere,
Sochta Hun Ke Kaise Jiyunga Main,


Tujhse Kiya Hai Isi Liye Wada,
Yeh Judai Ka Zahar Bhi Piyunga Main.


छोड दो तन्हाई मे मुझको यारो..
साथ मेरे रहकर क्या पाओगे..


अगर हो गई आपको भी मोहब्बत कभी..
मेरी तरह तुम भी पछताओगे.


Jab Maalum Hai Tujhko Ki Yeh Duniya Matlabi Hain,
Toh Fir Bata Kyu Tu Inse Dil Apna Lagata Hai,


Jab Auron Ke Dil Mein Nahi Hota Tere Liye Dard Kabhi,
Fir Tu Kyu Auron Ke Liye Apna Dil Tadpata Hai.


एक अरसा बीत गया..
खुलकर मुस्कुराए हुए..


एक अरसा बीत गया..
गीत कोई गाए हुए..


मेरी नज़रों को तेरा इन्तज़ार आज भी है..
एक अरसा बीत गया..
कोई रिश्ता नया बनाए हुए.


Ek Arasa Beet Gaya..
Khulakar Muskurae Hue..


Ek Arasa Beet Gaya..
Geet Koee Gae Hue..


Meree Nazaron Ko Tera Intazaar Aaj Bhee Hai..
Ek Arasa Beet Gaya..
Koee Rishta Naya Banae Hue.


टुट जाये ख्वाब तो जुङने की आस क्या रखना,
पलकों के भिगने का हिसाब क्या रखना,


बस इसलिए मुसकुरा देते हैं हम,
अपनी उदासी से किसी को उदास क्या रखना|


Toot Jaye Khawab To Judne Ki Aas Kya Rakhna,
Palko Ke Bheegne Ka Ab Hisab Kya Rakhna,


Bas Isliye Muskura Dete Hai,
Apni Udasi Se Kisi Ko Udas Kyu Rakhna.


Hume Mohabbat Mein Judayi Manjoor Thi,
Par Bewafayi Nahi,


Par Jab Judayi Huyi To Jana,
Judayi Bewafai Se Jyada Dard Deti Hai.


कुछ लोग कहते है की बदल गया हूँ मैं,
उनको ये नहीं पता की संभल गया हूँ मैं,


उदासी आज भी मेरे चेहरे से झलकती है,
पर अब दर्द में भी मुस्कुराना सीख गया हूँ मैं|


Kuchh Log Kahate Hai Kee Badal Gaya Hoon Main,
Unako Ye Nahin Pata Kee Sambhal Gaya Hoon Main,


Udaasee Aaj Bhee Mere Chehare Se Jhalakatee Hai,
Par Ab Dard Mein Bhee Muskuraana Seekh Gaya Hoon Main|


Dil Se Khelna Humein Aata Nahi,
Isiliye Ishq Ki Baji Hum Haar Gaye,


Sayad Meri Jindagi Se Unhe Baht Pyaar Tha,
Isiliye Jate Jate Humein Jinda Maar Gaye.


दिल से खेलना हमे आता नहीं,
इसलिये इश्क की बाजी हम हार गए,


शायद मेरी जिन्दगी से बहुत प्यार था उन्हें,
इसलिये मुझे जिंदा ही मार गए.


Shaam Hoti Hai Toh,
Palkon Pe Sajaata Hai Mujhe,


Wo Chiragon Ki Tarah Roz,
Jalaata Hai Mujhe,


Main Hoon Yeh Kam Toh Nahi Hai,
Tere Hone Ki Daleel,


Mera Hona Tera Ehsaas Dilaata Hai Mujhe,
Ab Kisi Shakhs Mein,


Sach Sunne Ki Himmat Hai Kahaan,
Mushkilon Se Hi Koi,


Paas Bitthata Hai Mujhe,
Kaise Mehfooz Rakhun Khud Ko Ajaayab Ghar Main,


Jo Bhi Aata Hai Yahaa Haath Lagata Hai Mujhe,
Jaane Kya Ban Na Hai Tujhko,


Meri Gili Mitti,
Kuzaagar Roz,
Banata Hai,
Mitaata Hai,
Mujhe,
Aab O Daana Kisi Bigde Huve Bachche Ki Tarah,


Main Jahaan Shaakh Par Baitthun,
Udaata Hai Mujhe.


Na Dil Hota Na Lagate Yaaro,
Yeh Jeevan Hans Kar Bitate Yaaro,


Hansane Par Aa Jaate Hain Aansu,
Hamein Aise Toh Na Tadpaate Yaaro.


Yun Toh Bahut Hain Dost Mere,
Koi Apna Najar Nahi Aata,


Mujhe Is Jeevan Mein Sach Hota,
Koi Sapna Najar Nahi Aata,


Apno Ka Humko Dagaa Dena,
Yeh Toh Bas Ek Bahana Hai,


Sach Toh Yeh Hai Ke Har Gham Ko,
Mere Ke Paas Hi Aana Hai.


Chand Utra Tha Hamare Aangan Mein,
Ye Sitaro Ko Gwara Na Huaa,


Hum Bhi Sitaro Se Kaise Gila Kare,
Jab Chand Hi Hamara Na Huaa.


Yeh Maana Ke Fursat Nahi Hai Aapko Magar,
Hamare Liye Do Pal Toh Nikaal Sakte The Tum,


Yeh Mana Ke Khusiyan Bantana Nahi Chahte The,
Magar Apne Ghamon Mein Toh Pukaar Sakte The Tum.


Guzar Jayege Aapke Pas Se Hawa Bankar,
Beh Jayege Ankho Se Aansu Bankar,


Aaj To Aapke Pass Fursat Nahi,
Yaad Karoge Jab Reh Jayege Dil Ki Yaad Bankar.


इतनी बदसलूकी ना कर ऐ जिदंगी,
हम कौन सा यहाँ बार बार आने वाले है,


सुना है जिदंगी इम्तहान लेती है,
यहाँ तो इम्तहानों ने जिदंगी ले रखी है|


Itanee Badasalookee Na Kar Ai Jidangee,
Ham Kaun Sa Yahaan Baar Baar Aane Vaale Hai,


Suna Hai Jidangee Imtahaan Letee Hai,
Yahaan To Imtahaanon Ne Jidangee Le Rakhee Hai|


Phoolo Ke Aanchal Main Kuch Kami Si Hai,
Teri Aankho Main Kuch Nami Si Hai,


Meri Mohabbat Ko Thukra Kar Jane Vale Ye To Bta De ..
Ki Meri Mohabbat Main Kya Kami Si Hai.


Aise Na Muskaraao Aise Na Tadpaao,
Meri Halat Par Sanam,
Kuchh Toh Raham Khaao,


Jale Hain Hum Ek Chirag Ki Tarah,
Apni Judai Se Hamein Ab Aur Na Tadpaao.


Khuda Ek Bar Use Ye Ehsas Dila De,
Kitna Intjar Hai Zara Use Bata De,


Har Pal Dehkte Hai Rasta Usi Ka,
Na Intjar Karna Pade Mujhe Aisi Neend Sula De.


Tujh Ko Paa Kar Bhi Kabhi To Khona Tha,
Ye Hadsa Mere Saath Kabhi To Hona Hi Tha,


Wo Tod Kar Aksar Dil Mera Mujhe Jodta Raha,
Jaise Main Us Ke Haath Ka Koi Khilona Tha.


Tere Liye Khudko Majboor Kar Liya,
Zakhmo Ko Apne Nasoor Kar Liya,


Mere Dil Mein Kya Tha Ye Jaane Bina,
Kune Khudko Humse Kitna Door Liya.


तेरे लिए खुद को मजबूर कर लिया,
ज़ख्मो को अपने नासूर कर लिया,


मेरे दिल में क्या था ये जाने बिना,
तुने खुद को हमसे कितना दूर कर लिया!


कितना दर्द है दिल में दिखाया नहीं जाता,
गंभीर है किस्सा सुनाया नहीं जाता,


एक बार जी भर के देख लो इस चहेरे को,
क्योंकि बार-बार कफ़न उठाया नहीं जाता|


Kitna Dard Hai Dil Me Dikhaya Nahi Jata..
Gambhir Hai Kisa Sunaya Nahi Jata..


Ek Bar G Bhar Ke Dekh Lo Is Chehre Ko,
Kiyon Ki Bar-Bar Kafan Uthaya Nahi Jata..


In Aankho Me Aansoo Aaye Na Hote,
Woh Jo Mud Kar Muskuraye Na Hote,


Unke Jane Ke Baad Ye Gam Hota Hai,
Kash Woh Jindgi Me Aaye Na Hote!


इन आंखो मे आंसू आये न होते,
अगर वो पीछे मुडकर मुस्कुराये न होते,


उनके जाने के बाद बस यही गम रहेगा,
कि काश वो हमारी ज़िन्दगी मे आये न होते।


Mujhe Apnana Na Kabhi Tum Yaaro,
Mani Bahut Hi Badnaseeb Hun Yaaro,


Mere Paas Kuchh Nahi Hai Ghamon Ke Shiwa,
Bas Mout Ke Hi Kareeb Hun Yaaro.


Bahut Ho Chuka Intezaar Unka,
Ab Aur Zakham Sahe Jaate Nahi,


Kya Bayaan Karein Unke Sitam Ko,
Dard Unke Kahe Jate Nahi.


Aaj Kisi Duwa Ki Kami Hai,
Tabhi To Hamari Ankho Mein Nami Hai,


Koi To Hai Jo Bhul Gaya Humein,
Par Hamare Dil Mein Unki Jagah To Wahi Hai.


एक अजीब सा मंजर नज़र आता है,
हर एक आँसूं समंदर नज़र आता हैं,


कहाँ रखूं मैं शीशे सा दिल अपना,
हर किसी के हाथ मैं पत्थर नज़र आता हैं|


Ek Ajeeb Sa Manjar Nazar Aata Hai,
Har Ek Aansoon Samandar Nazar Aata Hain,


Kahaan Rakhoon Main Sheeshe Sa Dil Apana,
Har Kisee Ke Haath Main Patthar Nazar Aata Hain|


Mom Ki Tarah Pighalti Ja Rahi Hai Zindagi,
Kyu Es Tarah Hath Se Fisal Rahi Hai Zindagi


Hum Tumhe Pana Chahte Hain,
Apne Dil Mein Chupana Chahte Hain,


Per Kyu Unchahe Sadmo Se Gujar Rahi Hai Zindagi,
Har Pal Dekhna Chahti Hai Ye Nigahe Tumhe,


Taras Rahi Hai Ujalo Me Machalne Ko Zindagi,
Na Jane Kyu Beet Rahi Hai Andhero Me Ye Zindagi.


Tumhari Yadon Se Koi Nata Nahi Tha,
Pr Tumhe Bhool Jana Hame Aata Nahi Tha,


Yu To Umar Gujri Hai Tumse Pehle Bhi Tanha Meri,
Magar Tab Akelapan Hume Yu Satata Nahi Tha.


Bhahut Roya Tha Jab Mera Janam Hua Tha,
Aur Hans Rahi Thi Ye Duniya,


Magar Doston Ek Din Badala Lunga,
Hansta Hua Jaunga Aur Royegi Ye Duniya.


Taqdir Banane Wale Tune Bhi Had Kar Di,
Taqdir Mein Kisi Aur Ka Naam Likha,
Aurdil Mein Chahat Ek Farebi Ki Bhar Di.


अजीब था उनका अलविदा कहना,
सुना कुछ नहीं और कहा भी कुछ नहीं,


बर्बाद हुवे उनकी मोहब्बत में,
की लुटा कुछ नहीं और बचा भी कुछ नहीँ!


Ajeeb Tha Unka Alvida Kehna ,
Suna Kuch Nahi Aur Kaha Bhi Kuch Nahi,


Kuch Yu Barbaad Huye Unki Mohbbat Me,
Ke Loota Kuch Nahi Par Bacha Bhi Kuch Nahi.


मज़बूरी में जब कोई जुदा होता है,
ज़रूरी नहीं कि वो बेवफ़ा होता है,


देकर वो आपकी आँखों में आँसू,
अकेले में वो आपसे ज्यादा रोता है।


Majburi Mein Jab Koi Juda Hota Hai,
Zaruri Nahi Ke Wo Bewafa Hota Hai,


De Kar Wo Aapki Aankho Me Aansu,
Akele Me Aapse Bhi Zyada Rota Hai.


Zindagi Toh Yun Hi Kat Jaayegi Magar,
Teri Yaad Hamein Bahut Tadpaayegi Magar,


Sabkuchh Hoga Yun Toh Bas Ek Tere Shiwa,
Teri Kami Kami Hi Rah Jaayegi Magar.


Main Khusiyan Bantata Firta Hu,
Fir Gham Kyu Sabhi Mujhe Dete Hain,


Main Sabko Samjhata Hun Apna,
Fir Mujhko Begana Kyu Kahte Ho.


Khafa Hokar Humse Fir Maan Jana,
Yahi Ada To Humko Bahut Bhati Hai,


Baaki To Sabkuchh Bhool Chuke Hain Hum,
Magar Humko Wo Bewafa Bahut Yaad Aati Hai.


Na Toh Dua Hi Kaam Aayi Mere,
Na Hi Dawaon Ne Asar Kiya,


Har Zakham Naasur Hota Raha Mera,
Yeh Zeevan Ro-Rokar Basar Kiya.


Raat Gumsum Hai Magar Chan Khamosh Nahi,
Kaise Keh Du Aaj Fir Hosh Nahi,


Aisa Duba Teri Aakho Ki Gehrai Main,
Haath Mein Jam Hai Magar Pine Ka Hosh Nahi.


Kabhi Usne Bhi Hume Chahat Ka Paigam Likha Tha,
Sab Kuch Usne Apna Humare Naam Likha Tha,


Suna Hai Aaj Unko Humare Jikar Se Bhi Nafrat Hai,
Jisne Kbhi Apne Dil Par Humara Naam Likha Tha.


कभी उसने भी हमें चाहत का पैगाम लिखा था,
सब कुछ उसने अपना हमारे नाम लिखा था,


सुना है आज उनको हमारे जिक्र से भी नफ़रत है,
जिसने कभी अपने दिल पर हमारा नाम लिखा था।


Umeedon Ke Daman Mein Zinda Hain Hum,
Warna Jeene Ki Chahat Kahan,


Tumse Milne Ki Aarzoo Liye Firte Hain Dar-B-Dar,
Warna Is Laash Ke Naseeb Mein Kabar Kahan.


Hamari Mohabbaat Ki Baat Kuchh Is Tarah Se Faili,
Ki Har Ek Ki Labon Par Yeh Jubaani Ho Gayi,


Hum Ne Toh Kiya Tha Aapse Sacha Pyar Magar,
Is Ki Mohabbat Ki Aaj Dekho Kahani Ho Gayi.


Ek Baat To Batao,
Mohabat Ki Har Gali Gumnaam Kyu Hai,
Judai Or Maut Ishq Ka Anjaam Kyu Hai,


Log Dete Hai Naam Ise Paakeezgi Ka,
To Ye Mohabbat Itni Badnaam Kyu Hai.


Jab Meri Yeh Dastaa Unke Haathon Mein Aayegi,
Unki Woh Bewafayi Fir Raas Kaise Aayegi,


Mera Toh Sirf Bas Naam Rah Jaayega,
Unka Shado Sukun Fir Sham Sahar Jaayega.


Bahut Faltu Se Lagte Hai Mujhe Ab Yaar K Kisse,
Gul-O-Guljar Ki Baate Lab-O-Rukhsar K Kisse.


Yaha Sab K Muqaddar Me Fakat Zakhm-E-Judayi Hai,
Sab Hi Jhoote Fasane Hain Wisal E Yaar Ke Kisse,


Bhala Ishq-O-Mohabbat Se Kisi Ka Pet Bhara H Kabi,
Suno Tum Ko Sunata Hu Main Kaar-O-Baar K Kisse,


Mere Ehbaab Kehte H Yehi Ek Aib Hai Mujhme,
Sar-E-Dewaar Likhta Hu Pas-E-Dewaar Se Kisse,


Main Aksar Esliye Logo Se Ja K Khud Nahi Milta,
Wahi Roz Ki Bekaar Ki Baate,
Wahi Beekar Ke Kisse.


हम सिमटते गए उनमें और वो हमें भुलाते गए..
हम मरते गए उनकी बेरुखी से,
और वो हमें आजमाते गए ..


सोचा की मेरी बेपनाह मोहब्बत देखकर सीख लेंगी वफाएँ करना ..
पर हम रोते गए और वो हमें खुशी-खुशी रुलाते गए.


Ab Talak Hum Muntzir Hain Jinke,
Unko Hamara Khayal Tak Na Aaya,


Unke Pyaar Mein Hamari Jaan Tak Chali Gayi,
Aur Unko Hamari Maut Ka Malaal Tak Na Aaya.


Raat Kee Gehrai Aankhon Mein Utar Aai,
Kuchh Khwab The Aur Kuchh Mere Tanhai,


Ye Jo Palkon Se Bah Rahe Hain Halke-Halke,
Kuchh To Majbure Thi Kuchh Tere Bewafai.


रात की गहराई आँखों में उतर आई,
कुछ ख्वाब थे और कुछ मेरी तन्हाई,


ये जो पलकों से बह रहे हैं हल्के हल्के,
कुछ तो मजबूरी थी कुछ तेरी बेवफाई।


तू नहीं तो ये नज़ारा भी बुरा लगता है..
चाँद के पास सितारा भी बुरा लगता है..


ला के जिस रोज़ से छोड़ा है तुने भवँर में मुझको..
मुझको दरिया का किनारा भी बुरा लगता है.


Too Nahin To Ye Nazaara Bhee Bura Lagata Hai..
Chaand Ke Paas Sitaara Bhee Bura Lagata Hai..


La Ke Jis Roz Se Chhoda Hai Tune Bhavanr Mein Mujhako..
Mujhako Dariya Ka Kinaara Bhee Bura Lagata Hai.


Na Jeene Ki Khushi Na Marne Ka Gham,
Unse Milne Ki Dua Bhi Nahin Karte Hum,


Jeete Hain Isliye Ke Shayad Woh Ek Din Aayenge,
Marte Isliye Nahin Ki Wo Akele Reh Jaayenge.


Hamne Bahut Dekhi Hai Yeh Duniya,
Yeh Kisi Ko Jeene Bhi Nahi Deti Hai,


Aap Khule Aam Kahte Hain Karenge Mohabbat,
Yeh Toh Jakhamon Ko Seene Bhi Nahi Deti Hai.


Koi Bhi Insan Jahan Mein Hamein Sachha Nahi Lagta,
Dar Dar Bhatkna Pyar Mein Hamein Achha Nahi Lagta,


Mali Ne Kaha Tha Ki Aur Bhi Hain Phool Chaman Mein,
Magar Kya Karein Har Phool Hamein Achha Nahi Lagta.


Muddat Ho Gayi Hamein Mile Huye Unse,
Shayad Takdeer Mein Ab Mulakat Hi Nahi,


Aap Ho Pahlu Mein Aur Uthaun Main Parda,
Shayad Mere Mukaddar Mein Aisi Raat Hi Nahi.


Is Kadar Hum Yaar Ko Manaane Nikle,
Uski Chahat Ke Hum Deewaane Nikle,


Jab Bhi Usey Dil Ka Haal Batana Chaha,
Toh Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahaane Nikle.



TAG:
dard bhari shayari, shayari, hindi shayari, dard shayari, sad shayari, bewafa shayari, breakup shayari, heart touching shayari, sad shayari in hindi, love shayari, urdu shayari, sad love shayari, dard, hindi sad shayari, romantic shayari, rula dene wali shayari, shayari hindi, shayari video, sad shayari video, daily shayari, pyar bhari shayari, shayari sad, dukh dard shayari, broken heart shayari, heart broken shayari, dard e tanhai