Best Sad Shayari | Sad Shayari Status | Sad Shayari Whatsapp Status


Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri
Ab Bhi Taaza Hain Zakhm Seene Mein,
Bin Tere Kya Rakha Hain Jeene Mein,
Hum To Zinda Hain Tera Sath Paane Ko,
Warna Der Kitni Lgti Hai Zaher Peene Mein.


Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar..

Oh Shakti Bhare,
Anurakti Bhare,
Nas Nas Ke Pahle Javaar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar,

Pavas Ki Pahli Fuharon Se,
Jisne Mujhko Kuchh Bol Diye,
Mere Aansu Muskano Ki,
Kimat Par Jisne Tol Diye,
Jisne Ahsas Diya Mujhko,
Main Ambar Tak Uthh Sakta Hu,
Jisne Khud Ko Bandha,
Lekin,
Mere Sab Bandhan Khol Diye,
Mere Geeton Ke Saar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar,

Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar.



True Lines..

Bahot Ajib Hoti Hai..
Ye Yaadain Bhi Mohhbbat Ki


jin Palo Me Hum Roye The..
Unhein Yaad Karke Hume Hansi Aati Hai


or Jin Palo Me Hansey The..
Unhe Yaad Karke Rona Aata Hai.



Kyu Insan Hasta He Rone K Baad,
Jeena Fir Bhi Padta He Sab Kuch Khone K Baad,
Socha Aaj Sabko Yaad Kar Lu,
Kya Pata Aankh Hi Na Khule Aaj Sone K Baad.



Raat Diwali Ki Hai Magar Kismat Mein Andhera Hai,
Na Chhate Yeh Gham Ke Badal,
Na Aaya Savera Hai,
Juda Hamara Hona Yun,
Likha Lakiron Mein Tha Magar,
Is Mein Kasoor Eh Sanam Na Tera Na Mere Hai.



पहले इश्क़,
फिर दर्द,
फिर बेहद नफरत,
बड़ी तरकीब से तबाह…..
किया तुमने मुझको!



Ishq Kiya Tujse Mere Aitbar Ki Had Thi,
Ishq Me De Di Jan Mere Pyar Ki Had Thi,
Marne Ke Bad Bhi Khuli Thi Aankhein,
Yeh Mere Intezaar Ki Had Thi ..



परछाई आपकी हमारे दिल में है,
यादे आपकी हमारी आँखों में है,
कैसे भुलाये हम आपको,
प्यार आपका हमारी साँसों में है.

Parchaee Aapki Humare Dil Me Hai,
Yaade Aapki Humari Aankhon Me Hai,
Kaise Bhulaye Hum Aapko,
Pyar Aapka Humari Saanson Me Hai.



Zindagi Maie Ek Sapna Dekha,
Jise Ham Haqiqat Samajh Baithe,
Maine Jise Pyar Kiya,
Wo Majak Samajh Baithe.



Phoolon Ko Toh Baharon Mein Aana Tha,
Kharon Ko Kyu Sang Mein Lana Tha,
Jise Chaha Hamne Dil Se Apnana,
Kya Usi Ko Hamse Door Jana Tha.



सर झुकाने की आदत नहीं है,
आँसू बहाने की आदत नहीं है,
हम खो गए तो पछताओगे बहुत,
क्युकी हमारी लौट के आने की आदत नहीं है!

Sar Jhukane Ki Aadat Nahi Hai.

Aansu Bahane Ki Aadat Nahi Hai.
Hum Kho Gaye To Pachtaoge Bahut.
Kyun Ki Hame Laut Ke Aane Ki Aadat Nahi Hai.



Mere Chehre Se Kafan Hata Kar…
Jara Didar To Kar Lo,

Ae Jaan Band Ho Gai Hai Wo Ankhe…

Jinhe Tum Rulaya Karte The.



Bewafa Nahi Hai Woh
Yeh Manta Hun Main,

Woh Bhi Chahte Hain Hamein
Yeh Jaanta Hun Main,

Magar Itna Bhi Toh Yaaron
Nadan Nahi Hun Main,

Unki Badli Huyi Najrein Toh
Pahchanta Hun Main.



Waqt Ka Marhamhar Zakham Ko Bhar Deta Hai,
Magar Toote Hue Khawab

yaadon Ke Mausam Me Dard Zarur Dete Hain….



Meri Deewangi Ko Dekh K Muskurate Hai Kyu..
Main Jitna Paas Jau Utna Door Jate Hai Kyu..
Kuchh Toh Wajah Zaroor Hogi Unki Berukhi Ki..
Mujhe Aise Her Pal Sataate Hai Kyu!



Ek Zara Si Bhool Khata Ban Gayi,
Meri Wafa Hi Meri Saza Ban Gayi,
Dil Liya Aur Khel Kar Tod Diya Usne,
Hamari Jaan Gayi Aur Unki Ada Ban Gayi.

एक ज़रा सी भूल खता बन गयी,
मेरी वफ़ा ही मेरी सजा बन गयी,
दिल लिया और खेल कर तोड़ दिया उसने,
हमारी जान गयी और उनकी अदा बन गयी.



Mohabbat Laakh Chupayi Zamaane Se Maine,
Magar Aankhon Me Tere Aks Ko Chupa Na Saka.



Woh Khwabo Mein Aakar Rulate Hain,
Hakikat Mein Na Aakar Tadpaate Hain,
Jinko Hum Samjhaya Karte The Kabhi,
Woh Log Aaj Humko Samjhate Hain.



Ek Din Aayega Aisa Bhi Yaaro,
Mujhe Yaad Karega Sara Jahan,
Bas Bol Rahenge Mere Geeton Ke,
Mit Jayega Baaki Naamo Nishaa.



Tufaan Se Yu Jada Huya Basti Fir Bas Jaati Hai,
Har Patjhad Ke Baad Bahaar Aa Jati Hai,
Magar E Dost Tu Kyaa Jaane Dosti Ki Kadar,
Tere Zindagi Subah Hone Se Pehle Hi Sham Ajaati Hai.



Main Jise Mudat Mein Kahta Tha Woh Pal Ki Baat Thi,
Aapko Bhi Yaad Hoga Aaj Kal Ki Baat Thi,
Roj Mela Jodte The Woh Samasya Ke Liye,
Aur Unki Jeb Mein Hi Band Hal Ki Baat Thi,
Us Sabha Mein Sabhyta Ke Naam Par Jo Mon Tha,
Bas Usi Ke Kathya Mein Moujad Tal Ki Baat Thi,
Nitiyan Jhuti Padi Ghabra Gaye Sab Saster Bhi,
Jhopadi Ke Saamne Jab Bhi Mahal Ki Baat Thi.



Aap Kya Jaanokya Hota Hai Dard Judai Ka,
Humse Yeh Puchhokaisa Haal Hota Hai Tanhai Ka,
Mout Ko Laga Lete Hainmajboor Hokar Gale Yaaro,
Aisa Hota Haijab Bhi Hota Hai Hashar Rushwai Ka.



Usne Kaha Pyar Ek Dard Hai..
Humne Kaha Dard Qabul Hai..
Usne Kaha Dard Ke Saath Ji Na Paoge..
Humne Kaha Teri Pyar Ke Saath Marna Qabul Hai.



Hum Kaise Bhulaye Unko Bhala,
Jo Dil Mein Hamare Rahte Hain,
Jab Unko Apna Samjhte Hain,
Fir Woh Kyu Begana Kahte Hain.



Dukh Kam Nahi Hota Muskurane Se,
Aansu Dil Pe Hi Girte Hai Chupane Se,
Wo Aur Honge Jinhe Manjil Mil Gayi Hogi,
Hamein To Sirf Badnami Mili Hai Is Zamane Se,
Mai Kyo Teri Be’Wafai Ka Charcha Karu,
Gham To Kam Nahi Hota Dikhane Se,
Hum Bhi Bhula Denge Biti Hui Baato’N Ko.



Patjhad Mein Sukhe Patte Ki Tarah,
Meri Yeh Zindagi Bhi Dagmagati Hai,
Hain Raahe Hi Raahein Main Dekhun Jidhar,
Kahin Manzil Najar Na Humko Aati Hai.



Seekh Raha Hu Dheere Dheere,
Iss Duniya K Rivaaz,
Jisse Matlab Nikal Jaye,
Usey Zindagi Se Nikaal Do.



Insan Kahan Marta Hai Auron Ka Mara Hua,
Insan Ko Khud Uski Tanhai Maar Deti Hai,
Yun Toh Ji Bhi Sakta Hai Yeh Yaar Ki Judai Mein,
Magar Isko Toh Yahan Jag Hansayi Maar Deti Hai.



जिन्हीने बदली थी हमारे ख्वाइशों की जिंदगी..
आज वहो बदले बदले नज़र आते है..
उड़ गए उन परिंदों का मलाल क्या करे..
जब अपने भी औरो की छत पर नज़र आते है..
रातो के ख्वाबो का इंतजार क्या करू..
जब दिन मै भी डरावने सपने आत्ते है..



Naa Kar Tu Itne Koshisise,
Mere Dard Ko Samajne Ki,
Tu Pahle Ishq Kar Fir Chot Kha,
Phir Likh Dawa Mere Dard Ki.



हम सिमटते गए उनमें और वो हमें भुलाते गए,
हम मरते गए उनकी बेरुखी से,
और वो हमें आजमाते गए,
सोचा की मेरी बेपनाह मोहब्बत देखकर सीख लेंगी वफाएँ करना,
पर हम रोते गए और वो हमें खुशी खुशी रुलाते गए..



Kyon Banaati Ho Tum Ret Ke Mahal,
Jise Khud Hi Tod Dalogi Tum.


Aaj Kehti Ho Is Dijlale Se Pyar Hai Tumhe,
Kal To Mera Naam Tak Bhool Jayogi Tum.



Lut Gaya Bhari Baharon Mein Jo,
Us Gulista Ka Haal Kya Hoga,

Mukar Gayi Koul Dekar Jo,
Us Jubaa Ka Haal Kya Hoga,

Muskurane Par Ilzaam Hansane Ki Saza,
Toh Khilkhilane Par Haal Kya Hoga.



Rona Likha Hai Takdeer Mein Toh Ro Lenge Hum,
Ashkon Se Apne Jakhmon Ko Dho Lenge Hum,

Tujh Se Karenge Na Shikwa Kabhi Bewafayi Ka,
Tere Har Sitam Ko Dil Mein Samo Lenge Hum.



Mujhe Bhool Jana Koi Gham Na Karna,
Mere Baad Aankhon Ko Tum Nam Na Karna,
Kisi Aur Ka Thaam Lena Tu Daman,
Mere Baad Jholi Ko Phoolon Se Bharna.



Ankhen To Pyar Me Dilki Zuban Hoti Hai,
Sachchi Chahat To Sada Bezuban Hoti Hai.


Pyar Mein Dard Bhi Mile To Kya Ghabrana,
Suna Hai Dard Se Chahat Aur Jawan Hoti Hai.



Kismet Se Apni Sabko Shikayat Kyu Hai,
Jo Nahi Mil Sakta Usi Se Mohabbat Kyu Hai,
Kitne Khade Hai Raho Pe,
Phir Bhi Dil Ko Usi Ki Chahat Kyu Hai.



Na Jaane Kya Dikhaya Jamane Ko Toone,
Ki,
Hamesha Hi Isne Hai,
Mujhko Sataya,
Jo Aisa Hi Karna Tha Hashar Mera,
Moula,
Toh Kya Thi Jarurat,
Kyu Mujhko Banaya.



Aarzu Thi Unki Bahon Main Mera Dum Nikle..
Kasur Unka Nahi Badnaseeb Hum Nikle..
Jahan Bhi Jaye Khush Rahe Wo Sada..
Dil Se Mere Dua Sada Yahi Nikle..
Mere Hoto Ki Hasi Unke Hoto Se Nikle..
Unke Gham Ka Dariya Meri Ankho Se Nikle..
Ye Zindagi Sada Unhe Hasati Hue Nikle..



कभी संभले तो कभी बिखरते नजर आये हम ,
जिंदगी के हर मोड़ पर खुद में सिमटते आये हम !
यूँ तो जमाना कभी खरीद नहीं सकता हमें ,
मगर प्यार के दो लफ्जो में सदा बिकते आये हम!



Mere Marne Ke Baad Meri Kahani Likhna,
Kaise Barbaad Huwi Meri Jawani Likhna,

Aur Likhna Ki Mere Honth Khushi Ko Tarse,
Kaise Barsa Meri Aankhoon Se Paani Likhna,

Aur Likhna Ki Uska Intezaar To Bahut Tha,
Aakhri Saansoon Mein Woh Hichkiyoun Ki Rawaani Likhna,

Likhna Ke Marte Waqt Bhi Deta Tha Dua Tujhko,
Haath Bahar Tha Qafan Se Yehi Nishaani Likhna.



Kitna Chaahata Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siwa Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,
Zamana Dusman Ho Gaya Chaahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Hum Yeh Meri Khata Nahi.



Mere Dil Mein Na Aao Varna Doob Jaaoge,
Gham E Ashkon Ke Shiwa Kuchh Bhi Nahi Andar,

Agar Ek Bar Risne Laga Jo Paani,
Toh Kam Pad Jaayega Bharne Ke Liye Samander.



Ab Aansoonon Ko Aankhon Me Sajana Hoga,
Charaag Bujh Gaye Khud Ko Jalana Hoga,
Na Samajhna Ki Tumse Bichadke Khush Hain Hum,
Hamein Logon Ki Khatir Muskurana Hoga..



Maine Banta Hai Marsarat Ke Khajane Dosto,
Fir Bhi Duniya Ne Diya Har Ek Nastar Mujhe,

Muskurane Par Lagaye Gaye Ilzaam,
Chukani Padi Hai Kimat Hansi Aane Par Mujhe.



Ho Sakta Hai Humne Aapko Kabhi Rula Diya,
Aapne Duniya Ke Kehne Pe Humein Bhula Diya,
Hum Toh Waise Bhi Akele The Iss Duniya Mein,
Kya Hua Agar Aapne Ehsaas Dila Diya.

हो सकता है हमने आपको कभी रुला दिया,
आपने तो दुनिया के कहने पे हमें भुला दिया,
हम तो वैसे भी अकेले थे इस दुनिया में,
क्या हुआ अगर आपने एहसास दिला दिया।



सिलसिला उल्फत का चलता ही रह गया,
दिल चाह में दिलबर के मचलता ही रह गया,
कुछ देर को जल के शमां खामोश हो गई,
परवाना मगर सदियों तक जलता ही रह गया..



Pyar Ki Paribhasha Samjhai Nahi Jaa Skti,
Hai Mahoobat Hume Apse Is Kadar Ke Jatai Nahi Ja Sakti,
Ek Lamhe Ka Hi Sath Kyun Na Mil Jaye,
Ab Tanha Zindagi Gujari Nahi Jati.



Ehsaas Duriyo Ka Waqt Ke Sath Bhi Hoga,
Gujarte Lamho Main Yaado Ka Khwab Bhi Hoga,
Ham Honge Ya Na Honge Unke Zindagi Main,
Magar Hamare Na Hone Ka Asar Hamare Baad Bhi Hoga.



Jane Duniya Me Aisa Kyun Hota Hain,
Jo Sab Ko Khushi De Wahi Rota Hai,
Umar Bhar Jo Sath Na De Sake Wahi,
Zindagi Ka Pahla Pyar Kyu Hota Hai.



Iss Ghaflat Me Naa Rehna,
Ki Tere Waastey Main Jaag Raha Hun,
Neend Meri Aankhon Se Nahi,
Mere Muqaddar Se Udhi Hain.



Hum Na Pa Sake Tujhe..
Muddato Se Chahne Ke Baad,

Aur Kisi Ne Apna Bana Liya Tujhe..
Chand Rasmein Nibhane K Baad.



Ehsaan Tera Main Maanu,
Tanha Mujhe Jo Kiya Hai,

Jo Pyar Tera Hai Khoya,
Lagta Hai Khud Se Mila Main.



Yaadon Ko Teri Hamne Khone Na Diya,
Ghamo Ne Bhi Chup Hone Na Diya,
Aankhein To Aaj Bhi Bhar Aayi Teri Yaad Mein,
Par Teri Di Hui Kasam Ne Hamein Rone Na Diya.



Barson Ki Jaan Pahchan Thi Ek Roj Usne Tod Di,
Hoshiyar Hum Bhi Kam Nahi Umeed Hamne Chhod Di,

Ganth Padi Hain Kis Tarah Yeh Baat Hai Kuchh Is Tarah,
Woh Dor Tuti Bar Bar Har Bar Hamne Jod Di,

Usne Kaha Kaise Ho Tum Bas Maine Lab Khole Hi The,
Aur Baat Duniya Ki Taraf Jaldi Se Usne Mod Di.



Apni Zindgi Se Mujhe Hatane Chale Ho,
Ek Staye Hue Ko Stane Chale Ho,
Kitne Naadan Ho Tum Mere Dost,
Jo Apne Haton Ki Lakire Mitane Chale Ho.



मौत के बाद याद आ रहा है कोई,
मिट्ठी मेरी कबर से उठा रहा है कोई,
या खुदा दो पल की मोहल्लत और दे दे,
उदास मेरी कबर से जा रहा है कोई.

Mout Ke Baad Yaad Aa Raha Hai Koi,
Mitti Meri Kabar Se Utha Raha Hai Koi,
Ya Kudha Do Pal Ki Zindagi Aur De De,
Meri Kabar Se Udass Ja Raha Hai Koi!



Aapne Toh Ki Thi Dillagi Magar,
Hum Toh Dil Apna Tod Baithe,

Aapne Samjha Pyar Ko Khel Magar,
Hum Toh Ghamon Se Nata Jod Baithe.



Main Kaise Yeh Maanu Ke Khusiyan Milengi,
Gham Jab Nahi,
Door Mujhse Hain Jaate,
Jab Inko Nahi Hona Mera Yarab,
Hum Bhi Bhala Kaise Inko Bhulate.



टुट जाये ख्वाब तो जुङने की आस क्या रखना,
पलकों के भिगने का हिसाब क्या रखना,
बस इसलिए मुसकुरा देते हैं हम,
अपनी उदासी से किसी को उदास क्या रखना|

Toot Jaye Khawab To Judne Ki Aas Kya Rakhna,
Palko Ke Bheegne Ka Ab Hisab Kya Rakhna,
Bas Isliye Muskura Dete Hai,
Apni Udasi Se Kisi Ko Udas Kyu Rakhna.



Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De,
Aisa Kar Ya Rabb Meri Hasti Mita De,
Yu Ghut Ghut Ke Jeene Se Maut Behtar Hai,
Kabhi Na Khulain Aankhein Tu Aisi Neend Sula De.



Taaron Se Kal Baat Ki Maine…
Toote Hue Taaron Ki,

Har Tarae Ne Bas Ye Kaha…
Kisi Aur Ki Khwahish Ka Liye Jab Khud Tootoge

aur Use Tumhare Tootne Ka Ehsaas Bhi Na Hoga
tab Aana Hum Jawab Denge…



Saza Hume Ye Kaisi Mili Dil Lagane Ki,
Ro Rahe Magar Tamnna Thi Muskurane Ki,
Apna Dard Kise Dikhau Aye Dost,
Dard Bhi Usine Diya Jo Wajah Thi Muskurane Ki.



Dard Gunj Raha Dil Mein Shehnai Ki Tarah,
Jism Se Maut Ki Ye Sagai To Nahi,
Ab Andhera Mitega Kaise..
Tum Bolo Tune Mere Ghar Mein Shamma Jalai To Nahi!

दर्द गूंज रहा दिल में शहनाई की तरह,
जिस्म से मौत की ये सगाई तो नहीं,
अब अंधेरा मिटेगा कैसे..
तुम बोलो तूने मेरे घर में शम्मा जलाई तो नहीं!



Dil Pe Kya Guzri Wo Anjaan Kya Jane,
Pyar Kise Kehte Hai Wo Nadan Kya Jane,
Hawa Ke Sath Udh Gaya Ghar Is Parinde Ka.Kaise Bana Tha..
Ghosla Wo Tufaan Kya Jane!

दिल पे क्या गुज़री वो अनजान क्या जाने,
प्यार किसे कहते है वो नादान क्या जाने,
हवा के साथ उड़ गया घर इस परिंदे का..
कैसे बना था..
घोसला वो तूफान क्या जाने।



Ungliyan Thak Gayi..
Patthar Tarashte Tarashte,
Jab Surat Bani Yaar Ki..
Toh Kharidaar Aa Gaye.



Tujhse Bhi Sikwa Main Kyakarun Bata,
Khud Par Hi Mujhko Jab Aitbaar Nahi Hai,

Teri Bhi Kya Khta Mahol Hi Aisa Hai,
Nibhata Is Daur Mein Koi Pyar Nahi Hai.



Ek Kahani Si Dil Par Likhi Reh Gayi,
Wo Nazar Jo Mujhe Dekhti Reh Gayi,
Log Aakar Bazaar Mein Bik Bhi Gaye,
Meri Keemat Lagi Ki Lagi Reh Gayi.



Woh Mousam Pyar Ka Eh Mere Dost,
Na Jaane Kyu Hardam Yaad Aata Hai,
Jab Bhi Hota Hai Akela Kabhi Hum,
Na Jaane Kyu Isko Bahut Rulata Hai.



Karoge Yaad Tum Yaro,
Ki Main Kahta Tha Kabhi,
Doulat Aur Mohabbat Ka,
Na Kabhi Bhi Mel Hota Hai,
Hoti Hai Jinke Liye Doulat Hi Sab Se Badhkar,
Unke Liye Toh Yeh Mohabbat,
Fakt Ek Khel Hota Hai.



Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahi Dekha.
Ankho Me Rahe Dil Me Utarkar Nahi Dekha.

Patthar Samjhte Hai Mere Chahne Wale Mujhe.
Par Mom Hu Main Kisi Ne Chu Kar Nahi Dekha.

कश्ती के मुसाफिर ने समन्दर नहीं देखा,
आँखों को देखा पर दिल मे उतर कर नहीं देखा,
पत्थर समझते है मेरे चाहने वाले मुझे,
हम तो मोम है किसी ने छूकर नहीं देखा।



Kuchh Kadam Hum Chale,
Kuchh Kadam Tum Chale,
Farq Sirf Itna Raha,
Hum Chale To Faasla Ghat-Ta Gaya,
Aur Tum Chale To Faasla Badhta Gaya.



चाहत वो नहीं जो जान देती है,
चाहत वो नहीं जो मुस्कान देती है,
ऐ दोस्त चाहत तो वो है,
जो पानी में गिरा आंसू पहचान लेती हैं.

Chahat Wo Nahi Jo Jaan Deti Hai,
Chahat Wo Nahi Jo Muskaan Deti Hai,
Ae Dost Chahat To Wo Hai,
Jo Pani Mein Gira Aansoo Pehchan Leti Hein.



Tut Jaye Khwab To Judne Ki Aas Kya Rkhna,
Palko Ke Bhigne Ka Hisab Kya Rakhna,
Bas Isliye Muskura Dete Hain Hum,
Ki Apni Udasi Se Kisi Ko Udas Kya Rakhna.



Humko Na Mili Khusiyan Kisko Dosh Dein Yaaro,
Bad Naseebon Ki List Mein Naam Hamara Bhi Ahi,

Dekar Jakham Rulakar Hamein Khush Na Hona Tum,
Dagabaajon Ki Kitab Mein Naam Tumhara Bhi Hai.



उनके आने के इंतज़ार में हमनें,
सारे रास्ते दिएँ से जलाकर रोशन कर दिए,
उन्होंने सोचा कि मिलने का वादा तो रात का था,
वो सुबह समझ कर वापस चल दिए।



इस उम्मीद से मत फिसलो,
कि तुम्हें कोई उठा लेगा,
सोच कर मत डूबो दरिया में,
कि तुम्हें कोई बचा लेगा…ये दुनिया तो एक अड्डा है,
तमाशबीनों का दोस्तों…गर देखा तुम्हें मुसीबत में तो,
यहां हर कोई मज़ा लेगा…



Jaisa Karoge Aap Vaisa Hi Paaoge Sada,

Aaj Sabke Hoton Par Yeh Sachhayi Mili,

Magar Kaise Maan Lun Main Is Baat Ko Sach,

Mujhko Toh Wafa Ke Badle Bewafayi Mili.



रोज़ आता है मेरेदिल को तस्सली देने
ख़याल ऐ यार कोमेरा खयाल कितना है

Roj Aata Hai Meredil Ko Tasalli Dene

khayaal E-Yaar Komera Khyaal Yaar Ko Kitna Hai.



Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun,
Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun,
Inhi Raahon Se Aayenge Bhale He Baad Mere Marne Ke,
Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun!



फिर तेरा चर्चा हुआ,
आँखें हमारी नम हुई,
धड़कने फिर बढ़ गई,
साँस फिर बेदम हुई,
चांदनी की रात थी,
तारों का पहरा भी था,
इसलिए ही शायद गम की आतिशबाजी कम हुई|



Main Kyu Pukaru Use..
Ki Lout Aao,

Kya Use Khaber Nahi..
Ki Kuchh Nahi Mere Pass Uske Siwaye.



Dil Mein Tamannaon Ko Dabana Seekh Liya,
Gham Ko Ankhon Mein Chhipana Seekh Liya,
Mere Chahre Se Kahin Koi Baat Zaahir Na Ho,
Daba Ke Hothon Ko Hamne Muskrana Seekh Liya



Kya Lena Mujhko Duniya Se,
Mujhe Tujhse Hi Bas Kaam Hai,

Tere Dil Ki Mujhko Khabar Nahi,
Mere Dil Mein Bas Tera Naam Hai,

Woh Mujhko Rulakar Hans Diya,
Mera Dil Thukrakar Hans Diya,

Meri Jholi Bhar Kar Kaanto Se,
Mujhe Paas Bithakar Hans Diya.



जो लोग एक तरफा प्यार करते है
अपनी ज़िन्दगी को खुद बर्बाद करते है !

नहीं मिलता बिना नसीब के कुछ भी,
फिर भी लोग खुद पर अत्याचार करते है !



Dil Ka Dard Dil Me Rakha,
Koi Na Mila Jis Pe Duniya Luta Dete,

Sab Ne Diya Dhoka Humien,
Kis Kis Ko Hum Saza Sunate.



Taqdeer Ke Aaine Me Meri Tasveer Kho Gyi,
Aaj Hamesha Ke Liye Meri Rooh So Gyi,
Mohabbat Karke Kya Mila Mujhe,
Woh Kal Meri Thi..
Aaj Kisi Aur Ki Ho Gyi.



Khafa Hokar Humse Fir Maan Jana,
Yahi Ada Toh Humko Bahut Bhati Hai,

Baaki Toh Sabkuchh Bhool Chuke Hain Hum,
Magar Sagar Woh Bewafa Bahut Yaad Aati Hai.



कदम कदम पर बहारो ने साथ छोडा,
जरुरत पडने पर यारो ने साथ छोडा,
बादा किया सितारोँ ने साथ निभाने का,
सुबह होने सितारो ने साथ छोडा.

Kadam Kadam Pe Baharon Ne Saath Chhoda,
Zaroorat Padne Par Yaaron Ne Saath Chhoda,
Vaada Kiya Sitaron Ne Saath Dene Ka,
Subah Hone Par Sitaron Ne Bhi Saath Chhoda.



Dard Ki Har Ek Hadd Se Ab Guzar Gaya Hon Main,
Phir Kabhi Na Simtunga Youn Bikhar Gaya Hon Main,

Mout Bas Naheen Aati Rooh Ke Nikalne Se,
Sans Mujh Main Baqi Hai Phir Bhi Mer Gaya Hon Main,

Zindagi Main Jitni Bhi Roshni Thi Uss Se Thi,
Mustaqil Andhero Main Ab Utar Gaya Hon Main,

Baam O Darr Bhi Us Ke Baad Ho Gaye Hain You Khamosh,
Aur Dil Ulajhta Hai Jabb Bhi Ghar Gaya Hon Main,

Us Ka Sath Jab Tak Tha Rung Rung Mausam The,
Bas Khizaan Ke Mausam Main Ab Thhehar Gaya Hon Main.



Zuki Palko Se Uska Didar Kiya,
Sab Kuch Bhulakar Uska Intzar Kiya,
Vo Jan Hi Na Paya Jazbat Mere,
Jise Duniya Mein Mene Sabse Jyada Pyar Kiya..



Yeh Rog Ishq Ka Bahut Bura Hai Dosto,
Aap Is Rog Se Khud Ko Bacha Lena,
Agar Hansi Koi Najrein Milana Bhi Chahe,
Toh Aap Najron Ko Apni Hata Lena.



इतनी बदसलूकी ना कर ऐ जिदंगी,
हम कौन सा यहाँ बार बार आने वाले है,
सुना है जिदंगी इम्तहान लेती है,
यहाँ तो इम्तहानों ने जिदंगी ले रखी है|



Teer Ka Dard Sa Lagta Hai Seene Mein Mere,
Jab Kaapata Dekh Bhi Tum Muskura Dete Ho,
Log To Murde Ko Bhi Seene Se Laga Kar Pyar Karte Hain,
Phir Kyun Mere Kareeb Aakar Tum Har Baar Zakhm Naya Dete Ho.

तीर का दर्द सा लगता है सीने में मेरे,
जब कांपता देख भी तुम मुस्कुरा देते हो,
लोग तो मुर्दे को भी सीने से लगा कर प्यार करते हैं,
फिर क्यों मेरे करीब आकर तुम हर बार ज़ख्म नया देते हो।



Pyar Ne Ye Kaisa Tohfa De Diya,
Mujhko Gumo Ne Pathar Bana Diya,
Teri Yaadon Main Hi Kat Gayi Ye Umar,
Kehta Raha Tujhe Kab Ka Bhula Diya.

प्यार ने ये कैसा तोहफा दे दिया,
मुझको गुमो ने पत्थर बना दिया.तेरी यादों मैं ही कट गयी ये उमर,
कहता रहा तुझे कब का भुला दिया!



Rishta Wo Nahi Jisme Jeet Aur Haar Ho,
Rishta Wo Nahi Jisme Izhaar Aur Inkaar Ho,
Rishta To Wo Hai Jisme Kisi Ki..
Ummid Na Ho Lekin Phir Bhi Uska Intejar Ho.

रिश्ता वो नहीं जिसमे जीत और हार हो,
रिश्ता वो नहीं जिसमे इजहार और इंकार हो,
रिश्ता तो वो है जिसमे किसी की..
उम्मीद ना हो लेकिन फिर भी उसका इन्तेजार हो।



Mana Ke Chot Phoolon Se Khayi Tumne,
Dard Kaanton Ka Magar Mera Hai,

Rah Ke Charon Mein,
Sada Hansna Hansana Toofan,
Aajkal Kaam Yehi Subah Sham Mera Hai,

Har Saans Par Mout De Rahi Dastak Jahan,
Kahte Hain Jise Rajdhani Aisa Sahar Mera Hai,

Sukun E Zindagi Le Gaya Chhinkar Jo,
Koi Aur Nahi Woh Humsafar Mera Hai.



Laakh Bandisen Laga Le Duniya Hum Par,
Magar Dil Par Kaabu Nahi Kar Payenge,
Woh Lamha Aakhiri Hoga Zeevan Ka Hamara,
Jis Din Hum Yaar Tujhe Bhul Jayenge.



Humne Tere Pyar Ki Khatir,
Duniya Ko Thukraya Tha,
Saare Jag Ko Chhod Ke Humne Tumko Meet Banaya Tha,

Fir Bhio Sangdil Chhod Ke Tanha,
Tune Apne Khan Ko,
Gair Ki Sej Sajayi Tune,
Gair Ka Saath Nibhaya Tha,

Tujh Se Hai Na Shikwa,
Na Gila Hai Rakibon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se,

Tera Who Pyar Mujhe,
Raaton Ko Jagayega,
Tone Mujhe Thukraya Toh,
Chain Nahi Aayega,

Hoga Na Ilaaj Mera,
Kabhi Bhi Tabijon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se.

Baki Nahi Alfaz Baya Karne Ko Meri Mohhabat Ke Dasta,
Ho Sake To Tu Hi Ab Kuch Yaki Karle,
Ess Daur Main Ab Tah Umar Sochne Ke Jajba Nahi Hota Hai Kahi,
Hum To Akhri Lamhe Main Bhi Tere Naam Ko Sath Liye Jane Ka Jaaba Rakte Hai.



Tag:
Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri