Best Bewafa Shayari in Hindi - बेवफा शायरी - Bewafa Sad Shayari |


Ladka Bewafa Shayari

तुम्हारी हर एक बात बेवफाई की कहानी है,
लेकिन तेरी हर सांस मेरी ज़िन्दगी की निशानी है,

तुम आज तक समझ नहीं सके मेरे प्यार को,
इसलिए मेरे आंसू भी तेरे लिए पानी है.

Tumhari Har Ek Baat Bewafai Ki Kahani Hai,
Lekin Teri Har Saans Meri Zindagi Ki Nishani Hai,
Tum Aaj Tak Samajh Nahi Sake Mere Pyar Ko,
Isliye Mere Aansoo Bhi Tere Liye Pani Hai.


Aaj Ji Bhar Kar Hum Par Hans Lo Beraham,
Fir Tujhe Milne Waale Hain Mere Gham Sabhi,

Teri Bewafai Ka Charcha Charon Dishaon Main Hai,
Mujhe Diye Zakhmo Ka Hisaab Chukana Hai Kabhi Na Kabhi.


Dard Jo Tumne Diya Wo Gehra Diya,
Karke Wada Tune Humko Bhula Diya,
Zakham Dene Wale Tera Bhi Shukriya,
Jo Zindagi Ka Tune Matlab Sikha Diya.


घुट घुट कर जीना तोज़िन्दग़ी नहीं होती,
नफरत से सर झुकानाबन्दग़ी नहीं होती,

वो ग़ुनाह माफ़ी केलायक नहीं है,
जिसमें शामिल कोईशर्मिन्दग़ी नहीं होती ।


Usne Mujhe Kuch Is Tarah Se Dekha Ke,
Me Use Mohabbat Karne Pe Majboor Ho Gaya,
Uski Ek Ishare Pe Duniya Tabah Karne Pe Majboor Ho Gaya,
Uske Is Nazariye Ko Me Pyaar Samajh Betha,
Isiliye Aaj Use Bewafa Kehne Pe Majboor Ho Gaya.


Tabdeeli jab bhi aati hai mausam ki adaon main,
Kisi ka youn badal jana,
bohat he yaad aata hai.

Phir usi ki yaad main dil beqarar hai,
Bichard ke jis se huyi shehar shehar roswayi.

Kaise bhula doon usko main,
Maut insanon ko aati hai,
yaadon ko nahi.

Wo pathar dil sahi lekin hamara bhi ye dawa hai

Hamari muhabbat jinhein choo le wo 
pathar bhi dhadakna seekh jate hain.

Mein tujh ko bhool chuka,
Lekin ek umar ke baad,
Tera khayaal kiya tha ke chot ubhar aayi.

Hum ne ek baat ki judai ki,
Aur us bewafa ne hadh kar di.

Wohi zameen hai wohi aasman wohi hum tum,
Sawal yeh hai zamana badal gaya kaise.

Nazar un ki zaban un ki tajab hai k is par bhi,
Nazar kuch aur kehti hai zaban kuch aur kehti hai.

Meri wafa pe bhi ae dost ehtabar na kar,
Mujhe bhi teri tarah sab se pyar karna hai.

Bewafai ki inteha kar de,
Ta key maloom ho wafa kya hai.


Ek Zara Si Bhool Khata Ban Gayi..
Meri Wafa Hi Meri Saza Ban Gayi..
Dil Liya Aur Khel Kar Tod Diya Usne..
Hamari Jaan Gayi Aur Unki Ada Ban Gayi..


Yun To Sadmo Mein Bhi Hans Leta Tha Main,
Aaj Kyu Bewajah Rone Laga Hun Main,
Barson Se Hatheliyan Khali Hi Rahi Meri,
Phir Aaj Kyu Laga Sab Khone Laga Hun Main.


Gila Karke Is Duniya Se Kya Karenge Hum,
Apni Takdeer Ko Hi Apna Dushman Samajhte Hain,

Yeh Zindagi Toh Kar Gayi Hai Hamse Bewafai Yahan,
Ab Hum Mot Ko Hi Apna Dilbar Samajhte Hain.


Aaj Achanak Teri Yaad Ne Mujhe Rula Diya,
Kya Karu Tum Ne Jo Mujhe Bhula Diya,
Na Karte Wafa To Na Milti Ye Saza,
Shayad Meri Wafaon Ne Hi Tujhe Bewafa Bana Diya.


Pattharon Se Pyar Kiya Naadan The Hum,
Galti Hui Kyu Ke Insaan The Hum,
Aaj Jinhe Nazre Milane Me Taklif Hoti Hai,
Kabhi Usi Shaks Ki Jaan The Hum..


Zindagi Na Milegi Dobara,
Sapne saare tod kar baithe hai,
Dil ka armaan chhod kar baithe hai,
Na kijiye humse wafa ki baatein,
Abhi-abhi dil ke tukde jod kar baithe hai,


पूछते है सब जब बेवफा था तो 
उसे दिल दिया ही क्यों*
*किस किस को बतलाये**
*उस शख्स में बात ही कुछ ऐसी थी
दिल नहीं देते तो जान चली जाती”.

poochhate hai sab jab bevapha tha 

to use dil diya hi kyon*
*kis kis ko batalaaye**
*us shakhs mein baat hee kuchh aisee thee
dil nahi dete to jaan chali jaaye”.


Bichar kar humse,
phir kisi ke bhi na ho sakoge,
tum miloge sab se,
magar humari hi TALAASH me.


Ek bewafa se wafa ki ummeed rakhi hai,
Is dil me saja kar unki ek tasveer rakhi hai,
Na de sake wo insaaf hamari wafa ko,
Fir bhi kadmo mein unke hamne hamari takdeer rakhi hai.

Nadani pyar mein hamne esi kar rakhi hai,
Ke ik bewafa se wafa ki ummeed rakhi hai.


Kabhi-kabhi ye dil jaroor rota hai,
Jab koi apna mil kar nazron se door hota hai,
Kyun roti hai kambkht ye ankhen..
Kya dil se zyada inka kasoor hota hai.


Meri Mohabbat ka is Tarah..
Mazak na Bna dena k,
Teri aankhain hi taras jaye..
Mujah dekhnay k liye.


Pee hai sharab har gali har dukan se,
Ek dosti si ho gai hai sharab ke jaam se,
Guzre hain hum ishq mein kuchh aise mukam se,
Ke nafrat si ho gai hai mohabbat ke naam se.


Pyar ki in raho mein ..
Dhokha humne khaya hai ..
Par kya kare kambakht dil fir ..
Uski yado se bhar aaya hai ..


Tere Shehar Tera Naam Kyun Teri Baatein Yaad Rakhun,
Jo Hamne Ki Thi Tumse Kyu Mulakatein Yaad Rakhu,
Dil Ko Mere Todkar Ghamon Ka Sagar Hai Diya,
Jo Saath Thi Gujari Kyun Barsaatein Yaad Rakhun.


Aaj bhi unke intezaar me sham ho gayi,
Kalam uthate hi aur ek gajal fir unke naam ho gayi,
Hum chahte hai unhe aaj bhi,
Fir kyon ye tanhai meri mohabbat ka inaam ho gayi.


Kis Tarah Bayan Karu Seene Mein Unke Raaz Hain,
Muskurakar Jalaate Hain Woh Kitna Ghatiya Yeh Andaaz Hai,

Kyun Pasand Kiya Maine Us Bedardi Bewafa Ko,
Yeh Hi Soch Soch Kar Zindagi Udaas Meri Aaj Hai.


Kitna khushnuma hoga,
wo meri maut ka manzar,
Jab mujhe thukrane wale khud mujhe pane ke liye,
aansu bahayenge.


Har kisi ki zindagi ka maqsad..
Ek hi hota hai,
Khud chahe kitne hi Bewafa kyu na ho..
Talash hamesha wafa ki hi karta hain.


Thokar Khate Hai Aur Muskurate hai,
Is Dil Ko Sabar Karna Sikhate Hai,
Hum To Dard Lekar Bhi Yaad Karte Hai,
Aur Kuch Log Dard Dekar Bhi Bhool Jate Hai..


Khafa Hokar Humse Fir Maan Jana,
Yahi Ada To Humko Bahut Bhati Hai,
Baaki To Sab Kuch Bhool Chuke Hain Hum,
Magar Humko Wo Bewafa Bahut Yaad Aati Hai.


Kya Karein Hamari Fitrat Hi Aisi Hai,
Jo Har Kisi Se Pyar Kar Lete Hain,
Tabhi Toh Dokha Khate Hain Hum Yahan Par,
Jo Har Kisi Par Aitbaar Kar Lete Hain.


TAG:
bewafa shayari,bewafa shayari status,sad shayari,bewafa shayari video,bewafa,bewafa shayari in hindi,shayari,heart touching shayari,breakup shayari,bewafa shayari song,bewafa shayari hindi,breakup shayari status,bewafa shayari video status,new shayari,bewafa shayari in hindi for girlfriend,hindi shayari,bewafai shayari,sad bewafa shayari,bewafa sad shayari,bewafa shayari urdu,bewafa shayari gana,bewafai ki shayari