Best Dard Shayari in Hindi - दर्द भरी शायरी, टूटे दिल की शायरी | अध्याय 5



उल्फत का अक्सर यही दस्तूर होता है,
जिसे चाहो वही अपने से दूर होता है,


दिल टूटकर बिखरता है इस कदर,
जैसे कोई कांच का खिलौना चूर-चूर होता है!


Ulfat Ka Aksar Yahi Dastoor Hota Hai,
Jise Chaho Wahi Apne Se Dur Hota Hai,


Dil Tut kar Bikharta Hai Is Kadar Jaise
Koi Kanch Ka Khilona Chur-Chur Hota Hai.



Fir Se Aa Jao Zindagani Mein,
Jaise Hota Hai Ek Kahani Mein,

Meri Najron Mein Hakk Hain Dono,
Ashq Mein Dubna Ya Paani Mein,


Fark Kya Hai Ke Dono Royenge,
Tum Budhape Mein Hum Jawani Mein,


Jo The Zinda Teri Wafa Mein Bhi,
Mar Gaye Teri Mahar Baani Mein.


Ek Nafrat Hi Hai ..
Jise Duniya Lamho Mein Hi Jaan Leti Hai,


Varna Chahat Ka Pata Lagane Me To ..

Jamane Beet Jate Hai.


Koi Bhi Nahi Yahan Par Apna Hota,
Is Duniya Ne Yeh Sikhya Hai Humko,


Uski Bewafayi Ka Na Charcha Karna,
Aaj Dil Ne Yeh Samjhaya Hai Humko.


Jiski Kismat Us Se Rooth Jaaye,
Usko Koi Bhi Kinara Nahi Milta,


Gairon Ki Toh Baat Hi Chhodo Dosto,
Apno Ka Bhi Sahara Nahi Milta.


Har Roz Mujhe Yeh Khayal Aata Hai,
Ghamon Se Mera Bahut Purana Nata Hai,


Har Roz Teenka-Teenka Marte Hain Hum,
Chah Kar Bhi Tera Chehra Nahi Bhulaya Jata Hai.


Taqdeer Ne Jese Chaha Vaise Dhal Gye Hum,
Bahut Sambhal K Chale Fir Bhi Fisal Gye Hum,


Kisi Ne Viswas Toda Toh Kabhi Kisi Ne Dil,
Aur Logon Ko Lagta Hain Ki Badal Gaye Hum.


Aazad Kar Do Mujhe
Duniya Ke Bandhano Se,


Itna Toota Hun Main
Inko Nibha Nahi Sakta,


Eh Moula Bula Le Jaldi Se
Mujhko Tu,


Kamjor Hun Itna
Chalkar Aa Nahi Sakta.


Dekhte Hi Dekhte Yeh Zindagi Gujar Jaayegi,
Jo Ghadiya Beet Chuki Hain Dubara Nahi Aayengi,


Kah Toh Diya Ke Bhool Jaayenge Tum Ko,
Jaanta Hun Magar Unki Yaad Bahut Tadpayengi.


Na Chalta Hai Dil Par Jor Koi,
Yeh Khud Ki Hi Marji Chalata Hai,


Karta Hai Khatayein Kaisi Kaisi,
Aur Badle Mein Hamein Rulata Hai.


Kuch Umar Ki Pehli Manzil Thi,
Kuch Raaste The Anjaan Bahut..

Kuch Hum Bhi Pagal The Lekin,
Kuch Woh Bhi The Nadan Bahut..

Kuch Usne Bhi Na Samjaya,
Yeh Pyar Nahi Asaan Bahut..

Akhir Humne Bhi Khel Liya,
Jis Khel Mein Tha Nuqsaan Bahut.


Aag Roshni Deti Hain,
Aur Jalna Jameen Ko Padta,


Mohabbat Nigahe Karti Hai,
Aur Tadpna Dil Ko Padta Hai.


Ek Din Aayega Aisa Bhi Yaaro,
Mujhe Yaad Karega Sara Jahan,


Bas Bol Rahenge Mere Geeton Ke,
Mit Jayega Baaki Naamo Nishaa.


Har Pal,
Mujhe Tumhari Yaad Aati Hai,


Baarish Ki Har Boond,
Tumhari Yaad Dilaati Hai,


Meri Parchayi Mein,
Tu Nazar Aati Hai,


Jab Bhi Dakhna Chahun Tumhe,
Tum To Nahi,
Meri Tanhai Nazar Aati Hai.


Sabhi Taareef Karte Hai,
Mere Tahreer Ki Lekin,


Kabhi Koi Nahi Sunta,
Mere Alfaaz Ki Siskiyan..


Jis Ke Liye Sab Kuch Luta Diya Humne,
Wo Kehte Hai Unko Bhula Diya Humne,


Gaye The Hum Unke Aansu Pochne,
Ilzam De Diya Ki Unko Rula Diya Humne..


Har Pal Kam Ho Rahi Hai Zindagi Apni,
Har Lamha Us Se Door Ja Raha Hu Main,


Samajh Paya Nahi Moula Yeh Duniya Teri,
Is Liye Jaldi Tere Paas Aa Raha Hun Main.


Teri Yaadon Ke Deep Jal Uthate Hain,
Main Jab Bhi Kabhi Tanha Hota Hun,


Maine Rakhe Hain Aaj Bhi Sahej Kar,
Ashkon Se Tere Diye Jakham Dhota Hun.


Zindagi Ko So Baar Aajmaya Hai Humne,
Har Baar Mout Ko Hi Kareeb Paya Hai Humne,


Chot Khane Se Kab Baaj Aate Hain Hum Bhi,
Toote Dil Ko Aaj Fir Lagaya Hai Hamne.


Mujhse Na Sahi,
Gairon Se Hi Sahi,


Tumhein Dil Ko Lagana Aa To Gaya,
Duniya Mein Kisi Ke Tum Ho To Gaye,
Chalo Tumhein Pyaar Nibhana Aa To Gaya.


Aaj Ek Dheemi Si Aahat Hai Is Dil Mein..
Shayad Koi Adhuri Si Chahat Hai Is Dil Mein..


Kya Karun Main Kahan Jaaun..
Badi Khalbali Si Hai Aaj Is Dil Mein..


Koi Apna Hota Toh Bin Kahe He Samjh Leta,
Ab Kis Ko Btaun Ke Kya Hain Is Dil Mein.


Bhule Bethe Hai Wo Log Bhi Jine Apna Samjhta Hoon

kbhi Mile To Dil Cheer Ke Dikhau Ke Kya Hai Is Dil Me?


Dukh Kam Nahi Hota Muskurane Se,
Aansu Dil Pe Hi Girte Hai Chupane Se,


Wo Aur Honge Jinhe Manjil Mil Gayi Hogi,
Hamein To Sirf Badnami Mili Hai Is Zamane Se,


Mai Kyo Teri Be’Wafai Ka Charcha Karu,
Gham To Kam Nahi Hota Dikhane Se,
Hum Bhi Bhula Denge Biti Hui Baato’N Ko.


Majburi Mein Jab Koi Juda Hota Hai,
Zaruri Nahi Ke Wo Bewafa Hota Hai,


De Kar Wo Aapki Aankho Me Aansu,
Akele Me Aapse Bhi Zyada Rota Hai.


मेरी रूह में न समाती तो भूल जाता तुम्हे,
तुम इतना पास न आती तो भूल जाता तुम्हे,


यह कहते हुए मेरा ताल्लुक नहीं तुमसे कोई,
आँखों में आंसू न आते तो भूल जाता तुम्हे|


Meri Rooh Mein Na Samatey To Bhool Jaate Tujhe,
Tum Itna Pass Na Aate To Bhool Jaate Tujhe,


Ye Kehte Hue Mera Tum Se Koi Talauq Nahi,
Ankhon Mein Ansoo Na Aate To Bhool Jaate Tujhe.


दुनिया में तेरा हुस्न मेरी जां सलामत रहे
सदियों तलक जमीं पे तेरी कयामत रहे

और भी दुनिया में आएंगे आशिक कितने

उनकी आंखों में तुमको देखने की चाहत रहे

इश्क के तमाशे में हमेशा तेरे किरदार से

दर्द और खामोशी के अश्कों की शिकायत रहे

खुमारियों के चंद लम्हों का है तेरा सुरूर

उसमें डूबकर मरने से दिल को राहत रहे

Duniya Mein Tera Husn Meree Jaan Salaamat Rah
e
sadiyon Talak Jameen Pe Teree Kayaamat Rahe

aur Bhee Duniya Mein Aaenge Aashik Kitane
unakee Aankhon Mein Tumako Dekhane Kee Chaahat Rahe

ishk Ke Tamaashe Mein Hamesha Tere Kiradaar Se
dard Aur Khaamoshee Ke Ashkon Kee Shikaayat Rahe

khumaariyon Ke Chand Lamhon Ka Hai Tera Suroor
usamen Doobakar Marane Se Dil Ko Raahat Rahe


Roj Tha Uska Naam Mere Afsane Mein,
Thi Uski Tasveer Mere Dil Ke Aashiyane Mein,


Mangi Thi Khuda Se Dua Jiski Khushi Ke Liye,
Use Khushi Bhi Milti Thi To Mujhe Rulane Mein.


Hum To Hain Musafir,
Na Ghar Na Thikana,


Na Manzil Na Aashiyana,
Na Koi Apna Na Begana,


Thaam Ke Tanhaion Ka Haath,
Kar Ke Akelepan Se Baat,


Chalta Hun Gumnaam,
Main Shayar Badnaam.


Mit Mit Ke Musafir Ne Basaya Hai Tujhe,
Sabse Munh Pher Kar Munh Dikhaya Hai Tujhe,


Tujhse Kyun Na Main Lipat Kar Soun E-Kabar

maine Bhi To Aakhir Jaan De Kar Paaya Hai Tujhe.


Duniya Ko Haqeeqat Meri Pta Kuch Bhi Nahi,
Ilzam Hzaro Hai Or Khata Kuch Bhi Nahi,


Dil Me Kya Hai Ye Padh Na Skoge,

Sare Panne Bikhre Hue Hai,
Or Likha Kuch Bhi Nahi..


Mohabbat Bhi Teri Thi Wo Nafrat Bhi Teri Thi,
Wo Apnaane Aur Thukrane Ki Ada Bhi Teri Thi,


Hum Apni Wafa Ke Insaaf Ka Insaaf Kaise Maange,
Wo Shehr Bhi Tera Tha Wo Adalat Bhi Teri Thi.


तू तो हँस हँसकर जी रही है,
जुदा होकर भी..


कैसे जी पाया होगा वो,
जिसने तेरे सिवा जिन्दगी कभी सोची ही नहीं.


Too To Hans Hansakar Jee Rahee Hai,
Juda Hokar Bhee..


Kaise Jee Paaya Hoga Vo,
Jisane Tere Siva Jindagee Kabhee Sochee Hee Nahin.


Aata Hai Yaad Mujhko Gujra Hua Jamana,
Woh Baag Ki Baharein Woh Hawa Ka Chah Chahana,


Aajadiyan Kahan Ab Woh Apne Ghonsale Ki,
Apni Khusi Se Aana Spni Khusi Se Jana,


Lagti Hai Chot Dil Par Aatha Hai Yaad Jis Dam,
Shabnam Ke Aansuon Par Kaliyon Ak Muskarana,


Woh Pyari Pyari Surat Woh Kamini Ki Murat,
Aabad Jiske Dam Se Tha Mera Aasiyana,


Kya Badnseeb Hu Main Ghar Ko Taaras Raha Hun,
Sathi Toh Hai Vatan Mein Main Kaid Mein Pada Hun,


Aayi Bahar Kaliyan Phulon Ki Hans Rahi Thi,
Main Is Andhere Ghar Mein Kismat Ko Ro Raha Hun.


फिर तेरा चर्चा हुआ,
आँखें हमारी नम हुई,


धड़कने फिर बढ़ गई,
साँस फिर बेदम हुई,


चांदनी की रात थी,
तारों का पहरा भी था,

इसलिए ही शायद गम की आतिशबाजी कम हुई|

Phir Tera Charcha Hua,
Aankhen Hamaaree Nam Huee,


Dhadakane Phir Badh Gaee,
Saans Phir Bedam Huee,


Chaandanee Kee Raat Thee,
Taaron Ka Pahara Bhee Tha,
Isalie Hee Shaayad Gam Kee Aatishabaajee Kam Huee|


Kitne Ghuroor Me Hai Wo,
Mujhe Tanha Chod Kar.


**Ae Dost**

Kyun Ki Use Maloom Hai,
Mere Paas Koi Aur Nahi Hai Us K Siwa..


Mere Sathi Sun Jara Baat Meri,
Tere Sang Chalu Nahi Aukat Meri,


Teri Manzil Falak Ke Sitare Hain,
Meri Manzil Bas Kali Raat Meri.


Tumhein Pe Marta Hai Ye Dil,
Adavat Kyun Nahin Karta,


Kayi Janmo Se Bandi Hai,
Bagawat Kyun Nahin Karta,


Kabhi Tumse Thi Jo,
Wo Hi Shikayat Hai Jamane Se,


Meri Tareef Karta Hai,
Mohabbat Kyun Nahin Karta.


Saza Hume Ye Kaisi Mili Dil Lagane Ki,
Ro Rahe Magar Tamanna Thi Muskurane Ki,


Apna Dard Kise Dikhau Aye Dost,
Dard Bhi Usine Diya Jo Wajah Thi Muskurane Ki.


रोज़ आता है मेरे
दिल को तस्सली देने

ख़याल ऐ यार को
मेरा खयाल कितना है

Roj Aata Hai Mere

Dil Ko Tasalli Dene

Khayaal E-Yaar Ko
Mera Khayal Yaar Ko Kitna Hai.


Uske Siwa Koi Mere Jazbaat Mein Nahi,
Aankho Mein Jo Nami Hai Wo Barsaat Me Nahi,


Paane Ki Use Koshish Bahut Ki Magar Ae Dosto,
Wo Ek Lakeer Hai Jo Mere Haath Mein Nahi.


Paimane Se Nikli Hai Aawaz Teri,
Stati Hai Mujhko Sanam Yaad Teri,


Kisi Gair Ka Daman Tham Na Lena,
Warna Ho Jayegi Zindagi Barbad Meri.


Tujhse Bhi Sikwa Main Kyakarun Bata,
Khud Par Hi Mujhko Jab Aitbaar Nahi Hai,


Teri Bhi Kya Khta Mahol Hi Aisa Hai,
Nibhata Is Daur Mein Koi Pyar Nahi Hai.


Khusiyon Se Toh Kuchh Bhi Na Hua Haasil,
Balki In Ki Vajah Se Lakhon Jakham Khaye,


Jinhe Samjhate The Bure Wohi Gham Aaj Dekhiye,
Hamein Inki Shohrat Kis Mukam Par Le Aaye.



Koi Achi Si Saza Do Mujhko,
Chalo Aisa Karo Bhula Do Mujhko,


Apne Dil Me Basi Tasveer Meri,
Aisa Karo Jala Do Usko,


Meri Wafa Pe Agar Shak Hai Tumko,

Tu Phir Nazar Se Gira Do Mujh Ko,


Muddat Hogai Hai Tere Hijr Me Jagte Howe,

Apni Sanso Ki Hararat Se Sula Do Mujhko,


Kuch Tu Taras Karo Apne Diwane Per,

Jaam Na Sahi Zeher Hi Pila Do Mujhko,


Tum Se Bichro Tu Mout Aa Jai Mujhko,
Dil Ki Gehraiyon Se Aisi Dua Do Mujhko.


Tere Sahar Tera Naam Kyu Teri Baatein Yaad Rakhun,
Jo Hamne Ki Thi Tumse Kyu Mulakatein Yaad Rakhu,


Dil Ko Mere Todkar Ghamon Ka Sagar Hai Diya,
Jo Saath Thi Gujari Kyun Barsaatein Yaad Rakhun.


Farz Tha Jo Mera Nibha Diya Maine,
Usne Jo Manga Vo Sab Diya Maine,


Wo Sunke Gairon Ki Batein Bewafa Ho Gaya,
Samajh K Khwab Usko Akhir Bhula Diya Maine.


Ye Nahi Gam Ke Qasam Apni Bhulai Tum Ne,
Gam Te Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne,


Koi Ranjish Thi Ager Tum Ko To Mujh Se Kehte,
Baat Apas Ki Kyun Sab Ko Batai Tum Ne.


Ankhe Kyon Hui Meri Num Kabhi Sochna,
Kyon Hua Hum Pe Itna Sitam Kabhi Sochna,


Pyar To Hum Dono Ne Kiya Tha,
Lekin Sirf Mujhe He Kyon Mila Itna Gum Kabhi Sochna.


Aaj Maine Apne Fir Souda Kiya,
Aur Fir Main Door Se Dekha Kiya,


Zindagi Bhar Mere Kaam Aaye Usul,
Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya,


Bandh Gayi Thi Dil Mein Kuchh Umeed Si,
Khair Tumne Jo Kiya Achha Kiya,


Kuchh Kami Apni Wafaon Mein Bhi Thi,
Tumse Kya Kahte Ki Tumne Kya Kiya,


Kya Batau Kon Tha Jisne Mujhe,
Is Bhri Duniya Mein Hai Tanha Kiya.


Bujhi Huyi Samma Ka Noor So Gaya Hai,
Aadmi Se Aadmi Door Ho Gaya Hai,


Nasha Daulat Ka Chada Aisa,
Tha Magroor,


Majboor Ho Gaya Hai,
Chadha Salib Jo Hansate Hansate,


Koi Isha Koi Mansoor Ho Gaya Hai,
Chalayi Kasti Ret Par Jisne,


Jag Ki Aankhon Mein Noor Ho Gya Hai,
Dikhayenge Aaina Andho Ko,
Zamane Ka Yeh Dastoor Ho Gaya Hai.


Aaj Socha Toh Aansu Bhar Aaye,
Mudatein Ho Gayi Muskuraye,


Har Kadam Par Udhar Mud Ke Dekha
Unki Mahfil Se Hum Uthh Toh Aaye,


Dil Ki Naajuk Ragein Tootati Hain
Yaad Itna Bhi Koi Na Aaye,


Rah Gayi Zindagi Dard Ban Ke
Dard Dil Mein Chhupaye Chhupaye.


अलविदा कह के जब वौ चल दिये,
इन आखो ने सारे हसीन ख्वाब खो दिये,


दर्द तब नही हुआ जब वो हमे छोड़ दिये,
दुख तो तब हुआ जब वो अलविदा कहते ही खुद रो दिये..

Alvida Kehkar Jab Wo Chal Diye,
Ankhon Ne Sare Haseen Khwab Kho Diye,


Dard Tab Nahi Hua Jab Wo Humein Chhor Gaye,
Dard To Tab Hua Jab Alvida Kehkar Wo Khud Ro Diye..


Hum Markar Bhi Dikha Denge Unke Liye,
Kya Woh Fir Bhi Na Humko Chahenge,


Jab Jalaya Jaayege Hum Unke Saamne,
Kya Hamare Liye Do Aansu Bhi Na Bahayenge.


Gulon Ki Khawais Na Karo Kabhi Yaaro,
Umar Bhar Yeh Toh Saath Nibhate Hi Nahi,


Kharon Se Jodo Rista,
Behtar Hai Sabhi Se,
Jo Tham Lein Daman Toh Chhod Jaate Hi Nahi.


Kyun Pyaar Karne Ki Hadein Hoti Hein,
Kyun Dil Dene Ki Waje Hoti Hein,


Kyun Jazbaaton Ko Dabana Padta Hai,
Kyun Iss Dil Ko Samjana Padta Hai,


Kyun Har Dil Ko Ye Mehsoos Nahin Hota,
Kyun Sabko Ye Manzoor Nahin Hota,


Kyun Dil Se Dil Nahin Milta,
Kyun Pyaar Ka Phool Nahin Khilta,


Kyun Dil Ke Naghme Dil Nahin Gaata,
Dil Mein Kya Hai Ye Keh Nahin Pata,


Kya Dil Dene Ki Yahi Saza Hai,
Kya Pyaar Karne Mein Yahi Mazaa Hai.


Tere Sagar Par Moula Yeh Jahan Julm Dha Raha Hai,
Tu Bhi Door Baitha Kaise Muskura Raha Hai,


Ab Puchhta Bhi Nahi Hai Koi Baad Uske Mujhe,
Aaj Bichhuda Yaar Mujhe Yaad Aa Raha Hai.


Ek Lafz Mohabbat Hai,
Jissay Kar K Daikho Tum ..


Barbaad Na Ho Jao To Mera Naam Badal Daina ..
Ek Lafz Muqaddar Hai,


Jiss Say Larr K Daikho Tum ..
Haar Na Jao To Mera Naam Badal Daina ..


Ek Lafz Wafaa Ka Hai,
Zamanay Mein Nahi Milti ..
Kahi Se Dhoond Kar Lao To Mera Naam Badal Dena.


Aata He Nahi..
Us Nadan K Bagair Jeena,


Kash Us Shakhs Ne..
Marna Bhi Sikha Deya Hota.


Chand Tare Zameen Par Lane Ki Zid Thi,
Hamein Unko Apna Banane Ki Zid Thi,


Achcha Hua Woh Pehle Hi Ho Gayi Bewafa,
Warna Unhe Pane Ko Zamana Jalane Ki Zid Thi.


Dard Gunj Raha Dil Mein Shehnai Ki Tarah,
Jism Se Maut Ki Ye Sagai To Nahi,


Ab Andhera Mitega Kaise..
Tum Bolo Tune Mere Ghar Mein Shamma Jalai To Nahi!


दर्द गूंज रहा दिल में शहनाई की तरह,
जिस्म से मौत की ये सगाई तो नहीं,


अब अंधेरा मिटेगा कैसे..
तुम बोलो तूने मेरे घर में शम्मा जलाई तो नहीं!


Kahne Walon Ka Kya Hai Yaar,
Yeh Toh Kuchh Bhi Kahte Rahte Hain,


Hamein Inki Toh Parwah Nahi,
Teri Khatir Sitam Yeh Sahte Hain.


Raat Ko Jab Chand Sitare Chamkate Hain,
Hum Hardam Fir Teri Yaad Mein Tadpate Hain,


Aap To Chale Gaye Ho Chhodkar Sanam Ko,
Magar Hum Aapse Milne Ko Tarste Hain.


रात को जब चाँद सितारे चमकते हैं,
हम हरदम फिर तेरी याद में तड़पते हैं,


आप तो चले गए हो छोड़कर हम को,
मगर हम मिलने को तरसते है।



Pyar Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai,
Wafa Ke Naam Pe Marna Sikha Deta Hai,


Pyar Nahi Kiya To Karke Dekho,
Zalim Har Dard Sahena Sikha Deta Hai.


Kya Lena Mujhko Duniya Se,
Mujhe Tujhse Hi Bas Kaam Hai,


Tere Dil Ki Mujhko Khabar Nahi,
Mere Dil Mein Bas Tera Naam Hai,


Woh Mujhko Rulakar Hans Diya,
Mera Dil Thukrakar Hans Diya,


Meri Jholi Bhar Kar Kaanto Se,
Mujhe Paas Bithakar Hans Diya.


उल्फत का अक्सर यही दस्तूर होता है,
जिसे चाहो वही अपने से दूर होता है,


दिल टूटकर बिखरता है इस कदर,
जैसे कोई कांच का खिलौना चूर-चूर होता है!


Ulfat Ka Aksar Yahi Dastur Hota Hai.
Jise Chaho Wahi Humse Dur Keyo Hota Hai.


Dil Tut Kar Keyo Bikharta Hai Is Kadar.
Jaise Kanch Ka Khilauna Chur Chur Hota Hai.


Aitbaar Tum Par Kya Karte,
Pyar Tumse Kya Karte,


Kadar Nahi Tumhe Pyar Ki,
Ikrar Tumse Kya Karte.


Jab Tak Na Mile Mujhe Jakham Kisi Se,
Tab Taj Yah Dil Mera Rahta Pareshan Hai,


Khusiyon Ko Dekar Gham Le Leta Hun Main,
Yahi Toh Yaaro Meri Pahchan Hai.


Apni Aadat Hai Ke Dil Khol Dikhata Hun Main,
Yehi Hai Vajah Ke Sabhi Se Dhokha Khata Hun Main,


Bas Ranjish Hai Itni Mujhe Tujhse Eh Khudara,
Tere Logon Ko Kabhi Samajh Hi Nahi Pata Hun Main.


Zindagi Meri Adhuri,
Raah Mein Tanhaiyan,


Sham Dhalte Aa Gayi Hain,
Fir Wohi Tanhaiyan,


Raat Humne Kaat Li,
Julmo Sitam Ko Jhelkar,


Waqt E Sahar Toh Ho Gaya,
Par Saath Thi Tanhaiyan,


Fir Tera Aanchal Jara Sar Se Mere Hatne Laga,
Jaise Jaise Woh Hta,

Badhti Gayi Tanhaiyan,

Yeh Tera Ahsaan Ke Tu Tanha Mujhko Kar Gaya,

Warna Kabhi Poori Bhi Na Hoti Meri Tanhaiyan,

Saaf Saaf Kah Rha Hai Rang Tere Rukhsaar Ka,
Tu Bhi Tanha Rah Gaya Dekar Mujhe Tanhaiyan.


मत सोच कि मैं तुझे भुला नहीं सकता,
तेरी यादों के पन्ने मैं जला नहीं सकता,


कश्मकश ये है कि खुद को मारना होगा,
और अपने सुकून की खातिर,
तुझे रुला नहीं सकता|


Mat Soch Ki Main Tujhe Bhula Nahin Sakata,
Teree Yaadon Ke Panne Main Jala Nahin Sakata,


Kashmakash Ye Hai Ki Khud Ko Maarana Hoga,
Aur Apane Sukoon Kee Khaatir,
Tujhe Rula Nahin Sakata|


Dil Se Tera Pyar Hoga Kam Nahi,
Tum Bewafa Huye To Kya,


Aur Ek Gham Sahi,
Aapka Faisla Aapke Karm Karenge,
Sab Kuchh Milega Tumhe Magar Honge Hum Nahi.


Naa Kar Tu Itne Koshisise,
Mere Dard Ko Samajne Ki,


Tu Pahle Ishq Kar Fir Chot Kha,
Phir Likh Dawa Mere Dard Ki.


Zindagi Hamaari Yun Hi Sitam Ho Gayi,
Khushi Na Jaane Kahan Dafan Ho Gayi,


Likha Khuda Ne Mohabbat Sabki Taqdeer Mein,
Hamaari Baari Aayi To Syaahi Hi Khatm Ho Gayi.


Chand Ko Dekhe Bagair Aapko Hamari Yaad Aati Nahi,
Akele Baithe Bagair Aapko Hamari Khayaal Aati Nahi,


Kya Aaj Itne Begaane Ho Gaye Hum,
Jo Koi Dard Dekhe Bagair Aapko Hamari Yaad Aati Nahi.


Phoolon Ko Toh Baharon Mein Aana Tha,
Kharon Ko Kyu Sang Mein Lana Tha,


Jise Chaha Hamne Dil Se Apnana,
Kya Usi Ko Hamse Door Jana Tha.


Tumhare Naam Ki Do Ghoont Sharab Baki Hai,
Tumko Mubarak Ho Khushiyon Ka Shamiyana,
Mere Naseeb Me Abhi Do Gaz Zameen Baki Hai.


हद से ज्यादा खुशी और हद से ज्यादा गम 
किसी को मत बताओ ॥

जिन्दगी में लोग हद से ज्यादा खुशी पर “नजर” और
हद से ज्यादा गम पर “नमक” जरूर लगाते हैं

Had Se Jyaada Khushi Aur Had Se Jyada 

Gam Kisee Ko Mat Batao .

Jindagee Mein Log Had Se Jyaada Khushee Par “Najar” Aur
had Se Jyaada Gam Par “Namak” Jaroor Lagaate Hain


Hum Na Pa Sake Tujhe..
Muddaton Se Chahne Ke Baad,


Aur Kisi Ne Apna Bana Liya Tujhe..

Chand Rasmein Nibhane K Baad.


Aaj Phir Kisi Yaad Ne,
Raat Bhar Hai Jagaya Mujhko,


Kya Saza Di Hai,
Mohabbat Ne Khudaya Mujh Ko,


Din Ko Aaram Hai Na,
Raat Ko Hai Chain Kabhi,


Jane Kis Khaak Se,
Kudrat Ne Banaya Mujhko..


Wafa Karne Se Mukar Gaya Hai Dil,
Ab Pyaar Karne Se Darr Gaya H Dil,


Ab Kisi Sahare Ki Baat Mat Karna,
Jhute Dilaso Se Bhar Gaya H Dil,


Jab Bulate The Jinda Dil The Hum,
Ab Na Aana Ke Marr Gaya Hai Dil


Ab Wo Pagalpan Na Wehshat Hai,
Kha K Dhoke Itne Sambhal Gya Hai Dil.


Aap Humse Na Milte Toh Achha Tha,
Humaise Kisi Se Pyar Toh Na Karte,


Yeh Rahta Kambhakt Paas Hamare Hi,
Dil Apne Ko Yun Bekarar Toh Na Karte.


Logon Ki Bheed Mein Toh Maalun Nahi Hota,
Magar Tanhai Mujhe Bahut Sata Jaati Hai,


Aap Toh Aate Nahi Ho Bulaane Par Bhi,
Aapki Yaad Na Jaane Kyu Chali Aati Hai.


Roothe Huye Hain Jo Humse,
Hum Unko Khud Hi Mana Lenge,


Soyi Huyi Apni Kismat Ko,
Hum Fir Se Yaaron Jaga Lenge.


दर्द ही सही मेरे इश्क का इनाम तो आया,
खाली ही सही हाथों में जाम तो आया,


मैं हूँ बेवफ़ा सबको बताया उसने,
यूँ ही सही, उसके लबों पे मेरा नाम तो आया।


Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam To Aaya,
Khali Hi Sahi Hathon Me Jaam To Aaya


Main Hoon Bewafa Sabko Bataya Usne,
Yun Hi Sahi Uske Labon Pe Mera Naam To Aaya!


दर्द से दोस्ती हो गई यारों,
जिंदगी बे दर्द हो गई यारों,


क्या हुआ जो जल गया आशियाना हमारा,
दूर तक रोशनी तो हो गई यारो।


Dard Se Dosti Ho Gayi Yaaro,
Zindagi Bedard Ho Gayi Yaaro.


Kya Hua Jo Jal Gaya Aashiyana Hamara,
Duur Tak Roshni To Ho Gayi Yaaro.


Khafa Hone Se Pehle Khata Bata Dena,
Rulaane Se Pehle Hansna Sikha Dena,


Agar Jana Ho Kabhi Hum Se Door Aap Ko,
Toh Pehle Bina Saans Liye Jeena Sikha Dena.


Yeh Sach Nahi Hai Eh Mere Ajij Dost,
Ki Humne Kabhi Bhi Yahan Pyar Nahi Kiya,


Pyar Toh Humne Bhi Kiya Tha Kisi Se Magar,
Yeh Sach Ahi Ki Kabhi Ijhaar Nahi Kiya.


Dil Ne Hume Khoob Dard Diye,
Phir Bhi Humne Hass Hass Ke Sahe,


Deewangi Mein Teri Kya Kuch Nahi Kara,
Par Jo Hona Tha Woh Ho Hi Gaya.


Jeevan Mein Kab Se Dhund Raha Hun Khusiyan,
Magar Khusi Toh Mujhko Najar Nahi Aati,


Zindagi Banti Ja Rahi Hai Lamba Safar,
Mujhko Iski Manzil Najar Nahi Aati.


Na Tang Karo Hume,
Hum Sataye Huye Hai,
Mohabbat Ka Gum Dil Pe Uthaye Huye Hai,


Khilona Samajh Kar Yu Na Khelo Humse,
Hum Bhi Usi Khuda Ke Banaye Huye Hai.


Maine Banta Hai Marsarat Ke Khajane Dosto,
Fir Bhi Duniya Ne Diya Har Ek Nastar Mujhe,


Muskurane Par Lagaye Gaye Ilzaam,
Chukani Padi Hai Kimat Hansi Aane Par Mujhe.


Na Jeene Ki Khusi Na Marne Ka Gham,
Pal Pal Unhe Yaad Karke Tadapte Hain Hum,


Aap Rokar Bhi Apna Dard Kam Na Kar Sake,
Aur Humne Muskura Kar Apna Har Gham Chhupa Liya.


Mujhe Apnana Na Kabhi Tum Yaaro,
Mani Bahut Hi Badnaseeb Hun Yaaro,


Mere Paas Kuchh Nahi Hai Ghamon Ke Shiwa,
Bas Mout Ke Hi Kareeb Hun Yaaro.


Aap Jaise Hi The Sabhi,
Aur Bhi Jo Mile Mujhko,


Fir Kaise Unmein Se
Kisi Ko Apna Bana Lete,


Ek Aap Hi Ka Pyar
Na Raas Aaya Hai Humko,


Fir Un Se Kaise
Eh Dost Aur Jakham Kha Lete.


Tadap Ke Dekh Kisi Ki Chahat Me,
To Pata Chale Intezar Kya Hota Hai,


Yu Mil Jaaye Agar Koi Bina Tadap Ke,
To Kaise Pata Chale Pyar Kya Hota Hai..


Phool Bantata Hai Jaise
Sabko Hi Khusboo,

Aise Hi Tu Sab Ko Khusiyan Deta Ja,

Yeh Na Soch Koun Tera Apna Koun Begana,
Bas Sab Ke Hi Diye Gham Chup Chap Leta Ja.


Aap Sanam Ko Ek Baar Mil Jaaiye,
Is Ki Mout Ke Aane Se Pahle,


Yeh Bhi Ek Baar Dekh Le Zindagi Apni,
Is Zindagi Ko Ganvane Se Pahle.


Anjaane Mein Hum Tum Se,
Dil Ko Laga Baithe,


Apni Khusiyon Ko Hum,
Khud Hi Ganva Baithe,


Tujh Se Shikayat Nahi Karenge,
Ki Khata Hamari Hi Hai,


Jo Bekadron Ko Pyar Ki,
Murat Hi Bana Baithe.


Ab Toh Mohabbat Mein ..
Lutne Chale,


Jeene Ki Khwahish Me ..
Marne Chale.


Dil Me Hai Jo Dard Wo Dard Kaise Bataye,
Haste Hue Ye Zakhm Kaise Dikhaye,


Kehti Hai Ye Duniya Hame Khush Nasib,
Magar Is Nasib Ki Dastan Kaise Bataye!


दिल में है जो दर्द वो दर्द किसे बताएं,
हंसते हुए ये ज़ख्म किसे दिखाएँ,


कहती है ये दुनिया हमे खुश नसीब,
मगर इस नसीब की दास्ताँ किसे बताएं!



Manzil Nahi Hai Thikana Nahi Hai,
Kahi Par Bhi Mera Ashiyana Nahi Hai,


Maine Teer Chalana Sikhaya Ushe,
Ab Mere Siva Uska Koi Nishana Nahi Hai.


TAG:
dard bhari shayari, shayari, hindi shayari, dard shayari, sad shayari, bewafa shayari, breakup shayari, heart touching shayari, sad shayari in hindi, love shayari, urdu shayari, sad love shayari, dard, hindi sad shayari, romantic shayari, rula dene wali shayari, shayari hindi, shayari video, sad shayari video, daily shayari, pyar bhari shayari, shayari sad, dukh dard shayari, broken heart shayari, heart broken shayari, dard e tanhai