Best Dard Shayari in English and Hindi | अध्याय 7



Jab Bhi Likhta Hu,
Achha Tere Baare Mein,

Na Jaane Kyun Mere Haath 

Ruk Se Jaate Hain,

Bahut Bure Ho Tum,
Na Socha Tumne Itna,


Ki, Tute Huye Dil,
Kabhi Na Jud Paate Hain.




Pyaar Dariya Hai Jiska Sahil Nahi Hota,
Har Dil Mohabbat Ke Qabil Nahi Hota,

Rota Wo Bhi Hai Jo Dooba Hai Pyaar Mein,
Or Rota Wo Bhi Hai Jise Pyar Hasil Nahi Hota.




Chahte The Hum Jinhe Unke Dil Badal Gaye,
Kabhi Sahil To Kabhi Samander Badal Gaye,


Hua Kuch Is Kadar Kishto Mein Qatal Humara,
Kabhi Khanjar To Kabhi Qatil Badal Gaye.




Ehsaas-E-Mohabbat K Liye..
Bus Itna Hi Kafi Hai..


Tere Baghair Bhi Hum..
Tere Hi Rehte Hain.




Jo Kho Diya Is Dil Ne Phir Rona Kaisa,
Yaad-E-Maazi Se Aashon Ko Pirona Kaisa,


Logon Ka Kehna Hum Tum Juda Ho Gaye Laikin,
Jab Dil Mein Mohabbat Hai Tu Juda Hona Kaisa,


Teri Ulfat Ko Faramosh Kiya Hi Nahi Jab,
Tu Kisi Aur Ki Mohabbat Mein Khona Kaisa,


Woh Tu Teri Zindgi Ka Maqsad Hai.


Kya Batayein Aapko Hum Apni Majburiyan,
Ki Kyu Aapko Hum Apna Bana Na Sake,


Bas Samajh Lijiye Ki Badnaseebi Thi,
Jo Aapke Pyar Ko Bhi Hum Pa Na Sake.




Bewafa Hai Duniya Kisi Ka Aitbaar Na Karo,
Har Pal Dete Hai Dhoka Kisi Se Pyar Na Karo,


Mit Jao Beshaq Tanha Ji Kar,
Par Kisi Ke Sath Ka Intezar Na Karo.




Koi Hal Na Koi Jawab Hai
Yeh Sawal Kaisa Sawal Hai,

Jise Bhool Jaane Ka Hukam Hai

Use Bhool Pana Muhaal Hai,

Huyi Jard Phoolon Ki Bastiya

Magar Us Mein Teri Khata Kahan.



Muhabbat Ka Jahan Naam Hota Hai..
Rona Tadapna Dard Wahan Aam Hota Hai..


Khush Naseebo Ko Kabhi Muhabbat Nahi Hoti..
Ye To Bad Naseebo Ka Hi Kaam Hota Hai..




Aaina Dekh Ke Kya Se Kya Ho Gaya,
Joh Wafa Tha Kabhi Bewafa Ho Gaya,


Tere Dil Ke Shahar Mein,
Naa Apna Koi,
Pyaas Joh Dikh Gayi,
Dariya Ho Gaya,


Dushmano Se Mile,
Kuch Baat Ban Gayi,
Dost Kam Khush Huye,
Aur Khafa Ho Gaya,


Ah Meri Zindagi,
Ab Mere Saath Chal,
Mout Kya Dikh Gayi,
Kya Nasha Ho Gaya.


Dil Ki Jalan Mitane Ke Liye,
Tere Sitam Bhulane Ke Liye,


Peete Hain Sharab Teri Yaad Mein Hum,
Warna Lakhon Hain Ghar Basane Ke Liye.




Har Lamha Apni Palkon Par Bithaya Tujhe,
Phir Bhi Yeh Ishq Mera Na Raas Aayi Tujhe,


Kismat Ki Bhi Hai Ye Ajeeb Dastan,
Kabhi Hasaya To Kabhi Rulaya Mujhe.




Dard Kitna Hai Bata Nahi Sakte,
Zakhm Kitne Hain Dikha Nahi Sakte,


Ankhon Se Samajh Sako To Samajh Lo,
Ansoo Gire Hain Kitne Gina Nahi Sakte.


दर्द कितना है बता नहीं सकते,
ज़ख़्म कितने हैं दिखा नहीं सकते,


आँखों से खूद समझ लो..
आँसू गिरे हैं कितने गिना नहीं सकते।




Muhabbat Ka Dosto Sila Kuch Nahi,
Ek ‘Dard’ Ke Siva Mila Kuch Nahi,


Saare Armaan Jal Kar Khak Ho Gaye,
Log Phir Bhi Kehte Hai Jala Kuch Nahi.




Dil Toot Jata Hai Par Khanak Nahi Hoti,
Har Dhadkan Roti Hai Par Palak Nahi Roti,


Mohabbat Naam Hai Khuda Ki Bandagi Ka,
Jo Sharton Pe Mile Woh Mohabbat Nahi Hoti.




Tamanna Jo Puri Ho Khwabon Mein,
Haqikat Ban Jaye To Kya Baat Hai,


Kuch Log Matlab Ke Liye Dhundte Hai Mujhe,
Bin Matlab Koi Aye To Kya Baat Hai.




Meri Deewangi Ko Dekh K Muskurate Hai Kyu..
Main Jitna Paas Jau Utna Door Jate Hai Kyu..


Kuchh Toh Wajah Zaroor Hogi Unki Berukhi Ki..
Mujhe Aise Har Pal Satati Hai Kyu!




Humne Puchha Yaar Se Itna,
Kaise Woh Bewafa Ho Gaye,


Bole Woh Ki Tumse Kya,
Teri Jeb Se Sikke Kho Gaye.




Woh Toh Apna Dard Ro-Ro Kar Sunate Rahe,
Humari Tanhayion Se Bhi Aankh Churate Rahe.


Humein Hi Mil Gaya Khitab-E-Bewafa Kyunki,
Ham Har Dard Muskura Kar Chhupate Rahe.


वो तो अपना दर्द रो-रो कर सुनाते रहे,
हमारी तन्हाइयों से भी आँख चुराते रहे,


हमें ही मिल गया खिताब-ए-बेवफा क्योंकि,
हम हर दर्द मुस्कुरा कर छुपाते रहे।




Abke Baras Woh Nahi Aaye Bahar Mein,
Gujrega Ab Ek Baras Intezar Mein,


Tute Dil Mein Teri Mohabbat Tera Khyal,
Khush Rang Ho Bahar Ke Gujri Bahar Mein,


Chand Lamhe Hamein Pyar Ke Udhar De De,
Ki Marne Se Pahle Hamein Jhuta Karar De De,


Kuchh Der Hi Teri Yaad Mere Dil Se Mit Jaaye,
Yahi Soch Kar Tu Thoda Sa Sharab De De.




हर बात में आंसू बहाया नहीं करते,
दिल की बात हर किसी को बताया नहीं करते,


लोग मुट्ठी में नमक लेके घूमते है..
दिल के जख्म हर किसी को दिखाया नहीं करते।


Har Baat Pe Aansoo Bahaya Nahi Karte,
Dil Ki Bad Har Kisi Ko Bataya Nahi Karte,


Log Muthi Me Namak Leke Ghumte Hain..
Dil Ke Jakham Har Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte!




Eh Khuda Bula Le Ab Toh Apne Paas Mujhe,
Kyu Mujhse Tu Aur Imtehaan Liye Jata Hai,


Ab Kisi Ko Jarurat Nahi Hai Jahan Mein Meri,
Ye Insaan Yahan Par Bematlab Jiye Jata Hai.




Lut Gaya Bhari Baharon Mein Jo,
Us Gulista Ka Haal Kya Hoga,


Mukar Gayi Koul Dekar Jo,
Us Jubaa Ka Haal Kya Hoga,


Muskurane Par Ilzaam Hansane Ki Saza,
Toh Khilkhilane Par Haal Kya Hoga.




Mujhe Bhulaye Kabhi Yaad Karke Roye Bhi,
Woh Apne Aap Ko Bikhraye Aur Piroye Bhi,


Shumar Hum Na Huye Un Chamakne Walon Mein

Badan Bhi Malte Rahe Roj Kapde Dhoye Bhi,

Bahut Gubar Bhara Tha Dilon Mein Dono Ke

Magar Woh Ek Hi Bistar Par Raat Siye Bhi.



Dil Ka Dard Ek Raaz Banke Reh Gaya,
Mera Bharosa Mazak Banke Reh Gaya,


Dilo Ke Saudagar Se Dillagi Kar Bethe,
Shayad Is Liye Mera Pyaar Mazak Ban Ke Reh Gaya.


दिल का दर्द एक राज बनकर रह गया,
मेरा भरोसा मजाक बनकर रह गया,


दिल के सोदागरो से दिललगी कर बैठे,
शायद इसीलिए मेरा प्यार इक अल्फाज बनकर रह गया।




Har Baat Samjhai Nahi Jati,
Har Yaad Bhulai Nahi Jati,


Muskurana Bhi Hoti Hai Majburi Kabhi,
Har Waqt Toh Aankh Rulayi Nahi Jaati.




Apne Karam Se Wo Mera Mukaddar Bana Gya,
Ek Katre Ko Pal Bhar Me Samundar Bana Gya,


Phulo Se Bhi Jyada Garam Tha Kabhi Dil Ye Mera,
Jise Itna Tadpaya Ke Ab Patthar Dil Bana Gaya.




Yu To Hame Lakhon Mile The Apne,
Jo Milkar Chale Gaye,


Kuch Tere Jaise Bhi Mile,

Jo Wada Kar Ke Mukar Gaye,


Magar Hamari Majburi Hai,
Nibhayenge Ye Dosti Umar Bhar,


Kyon Ki Galti Se Tujh Se Dosti Ke,

Chand Vaade Jo Kar Gaye!




Kash Ye Duniya Haseen Hoti,
Khud K Chahne Se Her Dua Kabool Hoti,


Kahne K Liye To Sabhi Apne Hai,
Par Kash Koi Aisa Hota..
Jisko Mere Dard Se Bhi Takleef Hoti.


Aaya Hi Nahi Humko Aahista Guzrana
Sishe Ka Muqaddar Hai Takra Ke Gujar Jana,

Taron Ki Tarah Shab Ke Seene Mein Utar Jana

Aahat Na Ho Kadmon Ki Is Tarah Gujar Jana,

Nashe Mein Sambhlane Ki Ada Yun Hi Nahi Aaya

In Julfo Se Sikha Hai Lahra Ke Sanvar Jana,

Bhar Jayenge Aankhon Mein Aanchal Se Bhare Badal

Yaad Aayega Jab Gul Par Shabnam Ka Bikhar Jana,

Har Mod Par Do Aankhen Humse Yahi Kehti Hain

jisa Taraf Bhi Mumkin Ho Tum Lout Kar Ghar Jana.



Tumhari Har Ada Har Baat Pe Fida Hoon Mein,
Tumse Bahut Kareeb Hoke Bhi Juda Hoon Mein,


Tumhare Chale Jaane Pe Bhi Zindaa Hoon Mein,
Bas Isi Baat Pe Aaj Sharminda Hoon Mein.




Mere Aankhon Ke Aansu Kah Rahe Mujhse,
Ab Dard Itna Hai Ki Saha Nahi Jata,


Na Rok Palko Se Khul Kar Chhalakane De,
Ab Yu In Aankhon Mein Raha Nahi Jaata.


मेरी आंखों के आंसू कह रहे मुझसे,
अब दर्द इतना है कि सहा नहीं जाता,


न रोक पलको से खुल कर छलकने दे,
अब यूं इन आंखों में रहा नहीं जाता।




Insan Bane Hain Is Jeevan Mein,
Bas Humse Yahi Ek Khata Huyi,


Isi Karan Huye Kai Gunah Humse,
Isi Liye Toh Mout Bhi Bewafa Huyi.




Patjhad Mein Sukhe Patte Ki Tarah,
Meri Yeh Zindagi Bhi Dagmagati Hai,


Hain Raahe Hi Raahein Main Dekhoon Jidhar,
Kahin Manzil Najar Na Humko Aati Hai.




Woh Pal Aakhri Hoga Meri Zindagi Ka,
Jis Din Tu Mujhse Juda Hoga,


Karar Tujhe Bhi Na Aane Dunga Main,
Agar Is Daur Mein Tu Bewafa Hoga.




Sukhi Tehni Tanha Chidiya Feeka Chand
aakhon Ka Sehra Mein Ek Nami Ka Chand

Us Maathe Ko Chume Kitne Din Beete

jis Maathe Ki Khatir Tha Ik Teeka Chanda

Pehle Tu Lagti Thi Kitni Begana

kitna Dhundhla Hota Hai Pehli Ka Chand

Kam Ho Kaise In Khushiyon Se Tera Gham

lehron Mein Kab Behta Hai Nadi Ka Chand

Aao Ab Hum Iske Bhi Tukde Kar Leindhaka,
Rawalpindi Aur Dilli Ka Chand




Hamare Sabr Ka Imtihaan Na Lijiye,
Hamari Khamoshi Ko Saza Na Dijiye,


Jo Aapke Bina Jee Na Sake,
Unhe Jeene Ki Duaa Na Dijiye.




उनको ये शिकायत है कि मैं बेवफाई पे नहीं लिखता,
और मैं सोचता हूं कि मैं उनकी रुसवाई पे नहीं लिखता..


ख़ुद अपने से ज्यादा बुरा जमाने में कौन है?
मैं इसलिए औरों की बुराई पे नहीं लिखता..


कुछ तो आदत से मजबूर हैं 

और कुछ फितरतों की पसंद है
जख्म कितने भी गहरे हों,
मैं उनकी दुहाई पे नहीं लिखता…..

Unko Ye Shikayat Hai Ki Main Bewafai Pe Nahi Likhta,
Aur Main Sochta Hun Ki Main Unki Ruswai Pe Nahi Likhta,


Khud Apne Se Jyada Bura Jamane Me Kaun Hai,
Is Liye Main Auron Ki Buraai Pe Nahi Likhte,


Kuchh Toh Aadaton Se Majboor Hain 

Aur Kuchh Fiaraton Ki Pasand Hai,
Jakhm Kitne Bhi Gehre Ho,
Main Unki Duhai Pe Nahi Likhte,




Bharosa Nahi Raha Ise Jab Apni Zindagi Ka,
Bataao Yeh Kisi Aur Ka Aitbar Kare Kaise,


Ek Baar Toh Kha Chuka Hai Yeh Dhoka Pyar Mein,
Ab Aur Kisi Se Batao Pyar Kare Kaise.




Har Pal Kam Ho Rahi Hai Zindagi Apni,
Har Lamha Us Se Door Ja Raha Hu Main,


Samajh Paya Nahi Moula Yeh Duniya Teri,
Is Liye Jaldi Tere Paas Aa Raha Hun Main.




Hamara Pyar Majboor Kar Dega Aapko,
Isliye Hum Dil Ko Bichhaye Baithe Hain,


Tumko Kabhi Na Kabhi Aana Hi Padega,
Isliye Hum Shama Jalaye Baithe Hain.




Meri Kabar Pe Rone Mat Aana,
Mujhe Pyaar Hai Ye Kehne Mat Aana,


Main Duniya Main Hoon Tab Tak Satao Mujko,
Jab Main So Jao To Jagane Mat Aana.




हमें कोई ग़म नहीं था ग़म-ए-आशिक़ी से पहले,
न थी दुश्मनी किसी से तेरी दोस्ती से पहले,


है ये मेरी बदनसीबी तेरा क्या कुसूर इसमें,
तेरे ग़म ने मार डाला मुझे ज़िन्दग़ी से पहले।


Hamen Koi Gham Nahin Tha Gam-E-Aashiqee Se Pahale,
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pahale,


Hai Ye Meri Badnaseebi Tera Kya Kasoor Isamen,
Tere Gam Ne Maar Dala Mujhe Zindagi Se Pahale.




हर भूल तेरी माफ़ की..
हर खता को तेरी भुला दिया..


गम है कि,
मेरे प्यार का..
तूने बेवफा बनके सिला दिया|


Har Bhool Teri Maaf Kee..
Har Khata Ko Teri Bhula Diya..


Gham Hai Ki,
Mere Pyaar Ka..
Toone Bewafa Banake Sila Diya.




Zaroori Toh Nahi Jo Khushi De Usi Se Pyar Ho..
Kyunki..


Sacchi Mohabbat Toh Aksar

Dil Todne Wale Se Hi Hoti Hai…!



क्यों शर्मिंदा करती हो,
हाल हमारा पूछ कर..


हाल हमारा वही है,
जो तुमने बना के रखा है..


Kyu Sharminda Karti Ho,
Haal Hamara Puch Kar..


Haal Hamara Wahi Hai,
Jo Tumne Bana Ke Rakha Hai..




Bas Aur Do Kadam Mere Saath Chalna Yaaro,
Us Se Aage Main Khud Tumse Bichhad Jaunga,


Aage Intezaar Kar Rahi Hai Mahbooba Mout Meri,
Uske Saath Main Khud Tumse Aage Nikal Jaaunga.




मैंने जिन्दगी से पूछा..
सबको इतना दर्द क्यों देती हो..


जिन्दगी ने हंसकर जवाब दिया..
मैं तो सबको ख़ुशी ही देती हुँ..


पर एक की ख़ुशी 

दुसरे का दर्द बन जाती है !

Maine Zindagi Se Pucha
Sabko Itna Dard Kyo Deti Ho.


Zindagi Ne Has Kar Jawab Diya
Hum To Sab Ko Khusi Dete Hai,


Par Ek Ki Khusi
Dusare Ka Dard Ban Jati Hai.




हमारी दास्तां उसे कहां कबूल थी,
मेरी वफायें उसके लिये फिजूल थीं,


कोई आस नहीं लेकिन कोई इतना बतादो,
मैंने चाहा उसे क्या ये मेरी भूल थी।


Hamari Dastan Use Kaha Kabul Thi,
Meri Wafayen Uske Liye Fizool Thi,


Koi Aas Nahi Lekin Itna Bata Do,
Maine Chaha Use Kya Ye Meri Bhool.




Ye Mat Soch Ki ..
Tum Chhod Doge To Tut Jaunga Me ..


Jee To Wo Log Bhi Rahe Hai ..
Jinko Hamne Teri Khatir Choda Tha.




Aah Aur Dard Bas Tera Talabgaar Hua,
Aankh Patther Huyi,
Ashk Aabshaar Hua,


Ye Judai Bhi Amavas Ka Ek Sitara Hai,
Chand K Bin Ye Falak Bhi Daagdaar Hua,


Meri Palkon Ka Jhapakna Bada Mushkil Hai,
Aisa Tab Se H,
Jab Se Tera Deedar Hua,


So Rahe H En Makano Ke Bashinde Sabhi,
Main Jaga Reh K Basti Ka Gunehgaar Hua.




Raat Ko Sapno Mein Dhundta Raha,
Na Mile Tum,
Magar Jab Dil Mein Dekha Toh Laga Paas Ho Tum,


Meri Aankhon Se Yeh Aansu Kyu Chhalak Rahe Hain,
Lagta Hai Aaj Fir Se Udaas Ho Tum.




Agar Mujhse Mohabbat Nahi To Rote Q Ho,
Tanhai Mein Mere Bare Me Sochte Q Ho,


Agar Manzil Judai Hai To Jane Do Mujhe,

Lot K Kab Aaoge Puchte Q Ho.




Katal Kar K Aye Khuda Kissa He Tamam Kar De,
Yun Roz Roz Marne Se Main Pareshan Ho Gaya Hu,


Dekh Kr Mujhko Sb Zinda Lash Kehne Lage Hain,
Tu Soch Main Kaisa Insaan Ho Gaya Hu !




Main Ja Raha Hoon Is Duniya Se,
Wada Karo Ke Tum Rooge Nahi,

Tum Jiyogi Zindagi Haste Hue,

Mere Liye Kuch Bhi Kahunga Nahi.



Mohabbat Hai K Nafrat Hai,
Koi Itna Tou Samjhaye,


Kabhi Main Dil Se Larti Hu,

Kabhi Dil Mujh Se Larta Hai!



उड़ रहा था मेरा दिल भी परिंदों की तरह,
तीर जब लग गई तो कोई भी मरहम न हुआ,


देख लेना था मुझे भी हर सितम की अदा,
ऐ सनम तेरे जैसा मेरा कोई दुश्मन न हुआ.


Ud Raha Tha Mera Dil Bhi Parindon Ki Tarah,
Teer Jab Lag Gayi To Koi Bhi Maraham Na Hua,


Dekh Lena Tha Mujhe Bhi Har Sitam Kee Ada,
Ai Sanam Tere Jaisa Mera Koi Dushman Na Hua.




तेरे दर्द पर रोता हूँ आज भी,
तू बेदर्द हो गयी ज़माने से,


क्या कमी रह गयी मेरी मुहब्बत मे,
ये जिन्दगी बीत न जाये सुलझाने मे|


Tere Dard Par Rota Hoon Aaj Bhee,
Too Bedard Ho Gayee Zamaane Se,


Kya Kami Rah Gayi Meri Mohabbat Me,
Ye Zindagi Beet Na Jaaye Suljhane Me.




Tufaan Se Yu Jada Huya Basti Fir Bas Jaati Hai,
Har Patjhad Ke Baad Bahaar Aa Jati Hai,


Magar E Dost Tu Kya Jaane Dosti Ki Kadar,
Tere Zindagi Subah Hone Se Pehle Hi Shaam Ajaati Hai.




Chaand Sitare Bhar Deta
Main Teri Maang Mein,


Magar Kya Aapko Mujh Par
Yakeen Nahi Hota,


Agar Aap Kar Paate
Kabhi Waade Wafa Apne,


Toh Is Kadar Humara
Muqaddar Nahi Hota.




Ek Apni Hi Baat Kya Main Karu,
Tune Kitno Ke Jaane Dil Tode Hain,


Magar Humse Nahi Hoga Sahan Kabhi,
Humare Din Ab Toh Thode Hain.




Ishq-A-Bewafai Ne Daal Di Hai Aadat Buri,
Main Bhi Sharif Hua Karta Tha Is Zamane Mein,


Pehle Din Shuru Karta Tha Masjid Mein Namaz Se,
Ab Dhalti Hai Shaam Sharab Ke Sath Maikhane Mein.




Apni Bebasi Par Aaj Fir Mujhe Rona Sa Aaya,
Dusro Ko Nahi Mene Toh Apno Ko Ajmaya,


Maine Har Ek Dost Ki Tanhayi Door Ki,
Fir B Khud Ko Har Mode Par Tanha Hi Paya.




Kisi Aashiq Ne Kya Khub Kaha Hai,
Khamoshi Ko Ikhtiyaar Kar Lena,


Apne Dil Ko Bekarar Kar Lena,
Zindagi Ka Asli Dard Lena Ho To ..
Kisi Se Bepanah Pyar Kar Lena.




Dil Pe Kya Guzri Wo Anjan Kya Jane,
Pyar Kise Kehte Hai Wo Nadan Kya Jane,


Hawa Ke Sath Udh Gaya Ghar Is Parinde Ka.
Kaise Bana Tha..
Ghosla Wo Toofan Kya Jane!


दिल पे क्या गुज़री वो अनजान क्या जाने,
प्यार किसे कहते है वो नादान क्या जाने,


हवा के साथ उड़ गया घर इस परिंदे का..
कैसे बना था..
घोसला वो तूफान क्या जाने।


Char Dino Ki Thi Zindagi
Jaane Kaise Beet Gayi,


Thukra Ke Yahan Sab Hum Ko
Bewafa Hi Kehte Rahe,


Magar Na Kisi Se Hamne
Aaj Talak Kiya Shikwa,


Hum Bhi Na Jaane Kaise The
Chup Chap Sitam Sahte Rahe.




Mana Ki Pujti Hai Duniya
Chadte Suraj Ko,


Kya Hua Hai Yaaro

Jo Aaj Hamari Sham Hai,


Magar Yeh Bhi Wada Raha

Aapse Hamara Dosto,


Dekhna Kal Ki Subah

Humare Hi Naam Hai.


कहाँ से लाऊ हुनर उसे मनाने का;
कोई जवाब नहीं था उसके रूठ जाने का;

मोहब्बत में सजा मुझे ही मिलनी थी;
क्यूंकी जुर्म मैंने किया था उससे दिल लगाने का।

Kaha Se Lau Hunar Use Manane Ka,
Koi Jawab Nahi Tha Uske Rooth Jane Ka,


Mohabbat Me Saza Muje Hi Milni Thi,
Kyuki Jurm Maine Kiya Unse Dil Lagane Ka.




Waade Wafa Karke Kyu Mukar Jaate Hain Yeh Log,
Kisi Ke Dil Ko Kyu Tadpaate Hain Yeh Log,


Agar Dil Lagakar Nibha Nahi Sakte,
Toh Fir Kyu Dil Ko Dil Se Lagaate Hain Yeh Log.


Kyun Khyalon Mein Mere Chali Aati Ho,
Soye Armano Ko Mere Phir Jagati Ho,


Tum Ko Bhoola Hoon Badi Mushkil Se,
Kyun Zinda Laash Ko Yun Tadpati Ho,


Beshumar Mohabbat Liye Baitha Hun,
Bar-Bar Kyun Imtehaan Liye Jaati Ho,


Ek Wada Tha Kiya,
Na Ruswa Karne Ka,
Jan Le Meri,
Kyun Ruswa Huyi Jaati Ho,


Na Aayega Sagar Kabhi Teri Rahon Mein,
Kyun Garib Pe Be-Eitbaar Kiye Jaati Ho.




Hamne Pyar Nahi Ishq Nahi Ibaadat Ki Hai,
Rasmon Se Riwajon Se Bagawat Ki Hai,


Manga Tha Hamne Jise Apni Duaon Me,
Usi Ne Mujhse Juda Hone Ki Chahat Ki Hai.




Wo Dard Hi Na Raha ..
Warna Ae Mata-E-Hayaat


Mujhe Gumaan Bhi Na Tha
Main Tujhe Bhula Donga




Kitna Pyar Karte Hain Hum Unse,
Kaash Unko Bhi Yeh Ehsaas Ho Jaaye,


Magar Aisa Na Ho Ke Hosh Mein Tab Aayein,
Jab Hum Gahri Neend Mein So Jaaye.




Aitbaar Wo Kaise Kare ..
Jinhe Khud Hi Khud Ki Kismat Pe Etbar Nahi,


Pyar Vo Kaise Kare ..
Jinke Hisse Mein Pyar Hai Hi Nahi.




Dil Mein Tamannaon Ko Dabana Seekh Liya,
Gham Ko Ankhon Mein Chhipana Seekh Liya,


Mere Chahre Se Kahin Koi Baat Zaahir Na Ho,
Daba Ke Hothon Ko Hamne Muskrana Seekh Liya




Tere Pyar Ko Bhula Doon Phir Chale Jana,
Teri Yaad Ko Mita Doon Phir Chale Jana,


Jana Hi Tha To Pyar Kiya Kyun,
Khud Ko Jala Doon Phir Chale Jana.




पहले इश्क़,
फिर दर्द,
फिर बेहद नफरत,
बड़ी तरकीब से तबाह…..
किया तुमने मुझको!


Pahale Ishq,
Phir Dard,
Phir Behad Napharat,
Badee Tarakeeb Se Tabaah…..
Kiya Tumane Mujhako!




Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain,
Honthon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain,


Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Sath Dete Hai,
Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain.


दिल मैं हर राज़ दबा कर रखते है,
होंटो पर मुस्कराहट सजाकर रखते है,


ये दुनिया सिर्फ़ खुशी मैं साथ देती है,
इसलिए हम अपने आँसुओ को छुपा कर रखते है!




Chhodkar Chala Jaaun Ab Teri Yeh Duniya,
Mere Data Mujhko Itni Si Izazat De De,


Maine Payi Hai Nafrat Sada Teri Di Zindagi Se,
Maut Toh Laga Le Gale Itni Mohabbat De De.




Kudrat Ka Yeh Usul Hai,
Ki Aana Jana Hai Bari Bari,


Kya Karenge Yaaro Woh Mohabbat,
Jinko Sirf Dhan Daulat Hai Pyari.




Humne Manga Tha Saath Unka,
Woh Judaai Ka Gum De Gayee,


Hum To In Yadoon Ke Sahare Jee Lete,
Par Woh Bhool Jane Ki Kasam De Gaye.




Maine Pucha Kahan Ho Tum?
Usne Kaha Teri Sanso Main,


Tere Dil Mai,
Tere Khyalo Main,
Teri Nas-Nas Main,


Maine Pucha Kahan Nahi Ho?
Usne Kaha Sirf Teri Kismat Main.




Sabhi Rahte Hain Tabhi Door Mujhse,
Mera Gham Kahin Unko Lag Na Jaaye,


Mere Apne Bhi Yahi Sochte Hain,
Yeh Duniya Se Kab Jaaye.




Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe,
Humari Tanhayion Se Ankh Churate Rahe,


Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila..
Kyunki,
Hum Har Dard Muskura Kar Chipate Rahe.


वो तो अपने दर्द रो-रो के सुनते रहे,
हमारी तन्हाइयों से आँख चुराते रहे,


और हमें बेवफा का नाम मिला..
क्योंकि,
हम हर दर्द मुस्कुरा कर छुपाते रहे!




Hum Me Tu Abhi Bhi Thoda Baki Hai,
Aankhon Me Najar Aate Aansu Hai,


Hoton Pe Teri Hasi Ki Jhanki Hai,
Tu Chhod Gaya Dil Tod Gaya..


Hum Ji Rahe Hai Ki..
Hum Me Thodi Mohabbat Abhi Baki Hai !




Dil Ki Baat Dil Mein Rahii Ho Jaise,
Hans Ke Tuu Naa Hansi Ho Jaise,


Umar Se Lambi Sadak Pe Chalte,
Koi Sadaa Tuune Sunii Ho Jaise,


Armaan Jitne Sajaye The Kabhi,
Woh Aas Dil Mein Dabi Ho Jaise,


Dekhne Ko Tasveer Haath Mein,
Yaad Koi Puraani Li Ho Jaise,


Raat Ke Khaali Sannaate Mein,
Saans Ruk Ruk Ke Chali Ho Jaise,


Waqt Ke Band Darwaazon Mein,
Jaag Ke Der Tak Darri Ho Jaise,


Dipak Se Le Ke Koi Kiitaab,
Tuune Raat Bhar Padhi Ho Jaise.




Kismat Mein Hamari Likhi Hai Barbaadiyan,
Kab Tak Karayega Khuda Hasino Ki Shadiyan,


Raas Aa Gayi Hai Wirani Mahphil Mujhe,
Ab Dasne Lagi Hai Yeh Hasee Waadiyan.




Hum Bhool Jaye Use Aisi Dil Ki Hasrat Kaha,
Wo Yaad Kare Hume Aisi Use Fursat Kaha,


Jinke Charo Taraf Ho Apno Ka Sath,
Use Hamari Jarurat Kaha.


हम भूल जाये ऐसी दिल की हसरत कहाँ,
वो याद करे हमे इतनी उसे फुर्सत कहाँ,


जिनके चारो तरफ हो अपनों का साथ,
उन्हें हमारी जरुरत कहाँ.




Karoge Yaad Tum Yaro,
Ki Main Kahta Tha Kabhi,


Doulat Aur Mohabbat Ka,
Na Kabhi Bhi Mel Hota Hai,


Hoti Hai Jinke Liye Doulat Hi Sab Se Badhkar,
Unke Liye Toh Yeh Mohabbat,
Fakt Ek Khel Hota Hai.




Iltaja Karta Hun Aapse,
Ab Na Yaad Kabhi Aana,


Aakar Meri Kabr Par,
Na Tun Kabhi Askon Ko Bahana,


Badi Muskil Se Dhunda Hai,
Door Jaane Ka Aapse Rasta,
Kasam Hai Aapko Aapki Meri Rooh Ko Na Tadpaana.




Waqt Nur Ko Benur Kar Deta Hai,
Thode Se Jakhm Ko Nasur Kar Deta Hai,


Kaun Chahta Hai Aapno Se Door Hona,
Per Waqt Sabko Majboor Kar Deta Hai.




Tujhko Kiya Humse Juda Jisne,
Humne Woh Sara Hi Zamana Chhod Diya,


Jeene Ki Tamanna Bhi Na Rahi Baaki,
Humne Dil Apna Khud Hi Tod Diya.




Zindagi Ban Gayi Ek Tuta Hua Seesa Meri,
Har Tukde Mein Teri Tasveer Najar Aati Hai,


Main Toh Chal Bhi Nahi Sakta Bin Tere Kabhi,
Fir Kyun Mujhe Manjhdar Mein Chhod Chali Jaati Hai.




Shayad Khuda Ke Darbar Mein Bhi
Beimaani Chalti Hogi,


Isi Liye Toh Hamari Kismat Ko
Aisa Banaya Hoga,


Jab Diye Honge Auron Ko
Khusiyon Ke Khajaane,


Ghamon Ko Akele Mere Ghar Ka
Raasta Dikhaya Hoga.




Unki Kami Se Dil Mera Udas Hai,
Par Hame To Aaj Bhi Unke Milne Ki Aas Hai,


Zakham Nahi Hai Par Dard Ka Ehsas Hai,
Aisa Lagta Hai Dil Ka Ek Tukda Aaj Bhi Unke Pass Hai.




नफ़रत कभी ना करना तुम हमसे,
यह हम सह नहीं पायेंगे,

एक बार कह देना हमसे,

ज़रूरत नहीं अब तुम्हारी,
तुम्हारी दुनियाँ से हंसकर चले जायेंगे!


Nafrat Tum Kabhi Na Karna Humse,
Hum Ye Seh Nahi Payenge,
Ek Bar Keh Dena Humse,


Jarurat Nahi Ab Tumhri,
Aapki Duniya Se Hass Kar Chale Jayenge.




Ek Jurm Hua Hai Hum Se Ek Yaar Bana Baithe Hain,
Kuch Apna Sa Us Ko Samajh Kar Sab Raaz Bata Baithe Hain,


Phir Us Ke Pyaar Ki Raah Mein Dil-O-Jaan Gawa Baithe Hain,
Woh Yaad Bahut Aate Hain Jo Hum Ko Bhula Baithe Hain.




Woh Shayad Isiliye Rahte Hain Door Humse,
Kyunki Unko Apne Husn Par Gurur Hoga,


Magar Yaad Rakhna Eh Dil Todne Waale,
Ki Tumko Iska Ehsaas Jaroor Hoga.




Aap Ki Yadain Amanat Hain Hamari,
Aap Ki Khushi Chahat Hai Hamari,


Aap Se Wafa Mohabbat Hai Hamari,
Par Aap Se Doori Shayad Kismat Hai Hamari.




Kitna Chahta Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siva Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,


Zamana Dushman Ho Gaya Chahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Hum Yeh Meri Khata Nahi.




TAG:
dard bhari shayari, shayari, hindi shayari, dard shayari, sad shayari, bewafa shayari, breakup shayari, heart touching shayari, sad shayari in hindi, love shayari, urdu shayari, sad love shayari, dard, hindi sad shayari, romantic shayari, rula dene wali shayari, shayari hindi, shayari video, sad shayari video, daily shayari, pyar bhari shayari, shayari sad, dukh dard shayari, broken heart shayari, heart broken shayari, dard e tanhai