Best Sad Shayari - गम भरी शायरी | अध्याय 9


गम भरी शायरी

Bas Ek Baat Aur Satayenge Aapko,
Mayyat Par Apni Jab Bulayenge Aapko,

Chale Jaayenge Tumse Hum Itni Door Fir,
Kabhi Bhi Tadpaane Na Aayenge Tumko.


Mujhe Bhulaye Kabhi Yaad Karke Roye Bhi,
Woh Apne Aap Ko Bikhraye Aur Piroye Bhi,

Shumar Hum Na Huye Un Chamkne Walon Mein

Badan Bhi Malte Rahe Roj Kapde Dhoye Bhi,

Bahut Gubar Bhara Tha Dilon Mein Dono Ke

Magar Woh Ek Hi Bistar Par Raat Siye Bhi.


Hume Mohabbat Mein Judai Manjoor Thi,
Par Bewafayi Nahi,

Par Jab Judai Huyi To Jana,

Judai Bewafai Se Jyada Dard Deti Hai.



Haal E Dil Apna Kya Sunayen Aapko,
Gham Se Baatein Karna Aadat Hai Hamari,

Log Marte Hain Sirf Ek Baar Dost,
Pal Pal Roj Marna Aadat Hai Hamari.



Pattharon Se Pyar Kiya Nadan The Hum,
Galti Hui Kyu Ke Insaan The Hum,

Aaj Jinhe Nazre Milane Me Taklif Hoti Hai,

Kabhi Us Shaks Ki Jaan The Hum..



Ab Uska Jikr Kya Karein Dosto,
Jo Chhod Gaya Humko Majhdar Mein,

Woh Kya Karega Kadar Kisi Ke Pyar Ki,
Jisne Tukde Kiye Dil Ke Pahli Baar Mein.



Jab Meri Yeh Dastaa Unke Haathon Mein Aayegi,
Unki Woh Bewafayi Fir Raas Kaise Aayegi,

Mera Toh Sirf Bas Naam Rah Jaayega,
Unka Shado Sukun Fir Sham Sahar Jaayega.



Ise Nacheez Ko Har Kisi Ne Istemal Kiya,
Khubsurat Nahi Thi Par Fir Bhi Pyar Ka Inteqab Kiya,

Jab Aayi Nibhane Ki Baari,

To Kaha Yaar Humne To Sirf Majak Kiya.



Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hai,
Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain,

Pata Hai Majbur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi,
Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain.



Kamzor Nahi Hoon Main,
Shayad Hoon Majboor,

Dil Pe Pathar Rakhoon Main,

Nahi Mujhe Ghuroor,


Par Woh Dard Nahi Seh Paungi Main,

Agar Ho Gaye Tum Mujhse Door.



Main Kisi Ko Dikhata Nahi Jakham Apne,
Fir Log Kyu Ghamon Ka Badsaah Kahte Hain,

Main Kahta Bhi Nahi Kisi Se Kuchh,
Fir Log Kyu Mujh Se Juda Rahte Hain.



Ab Kisi Se Koi Aas Nahi Hai Hamein,
In Tanhaiyon Ne Hamein Akele Jeena Sikha Diya.



Woh Toh Apna Dard Ro-Ro Kar Sunate Rahe,
Humari Tanhayion Se Bhi Aankh Churate Rahe.

Humein Hi Mil Gaya Khitab-E-Bewafa Kyunki,
Ham Har Dard Muskura Kar Chhupate Rahe.

वो तो अपना दर्द रो-रो कर सुनाते रहे,
हमारी तन्हाइयों से भी आँख चुराते रहे,


हमें ही मिल गया खिताब-ए-बेवफा क्योंकि,
हम हर दर्द मुस्कुरा कर छुपाते रहे।



Yeh Jo Diye Hain Apne Jakham Humko,
Yeh Jakham Hamare Kabhi Bhi Sil Na Sakenge,

Yun Bichhude Ho Hum Se Is Kadar,
Ki Chahkar Bhi Kabhi Hum Mil Na Sakenge.



Kaha Kho Gaye Hai Aap,
Ya So Gaye Hai Aap,

Bewafa To Lagte Nahi The Pehle,
Kya Ab Ho Gaye Hai Aap !

कहाँ खो गए हैं आप ,
या सो गए हैं आप,


बेवफा तो लगते नहीं थे पहले,
क्या ? अब हो गए हैं आप.



Ikatthaa Karke,
Woh Mere Katl Ka Samaan,
Bewafa Adaaon Se Teer Chalaate Gaye,


Hamein Aadat Thi Use Muskurata Dekhne Ki,
Isiliye,
Hum Uski Har Adaa Par Muskuraate Gaye.



Unhein Lagta Hai Ke Hamain
Aadat Hai Muskurane Ki,

Woh Bewafa Yeh Bhi Na Jane

Yeh Ada Hai Gham Chupane Ki.


Fikr Ki Jisne Mere,
Dushmani Ki Muhse Chhipkar,

Hum Se Fira Kar Aankhein,
Jisne Gairon Se Ki Baatein Hanskar,


Gila Na Humne Kabhi,
Sahte Rahe Bas Nadan Samajhkar.



कितने मजबूर हैं हम प्यार के हाथों,
ना तुझे पाने की औकात…
ना तुझे खोने का हौसला।

Kitne Majboor Hain Hum Pyar Ke Hathon,
Na Tujhe Pane Ki Oukaat,
Na Tujhe Khone Ka Hosla…



मोहब्बत की तलाश मैं निकले हो तुम
अरे ओ पागल…
मोहब्बत खुद तलाश करती है…
जिसे बर्बाद करना हो|



Bhale Sadiyan Gujar Gayi Bichhade Huye Tumse,
Aaj Bhi Magar Bahut Yaad Aate Ho Tum,

Kya Kasam Khayi Hai Tumne Sada Gham Dene Ki,
Khwab Mein Bhi Aakar Rula Jaate Hi Tum.



Dard-E-Dil Mein Unka Ehsaas Nahin Hota,
Rota Hai Dil Mera Jab Koi Pass Nahi Hota,

Barbaad Ho Gye Hum Unki Mohabbat Mein,
Aur Wo Kehte Hai Es Tarah Pyar Nahi Hota.



Mohabbat Se Wo Dekhte Hain Sabhi Ko,
Bas Hum Par Kabhi Ye Inayat Nahi Hoti,

Main To Sheesha Hu Tutna Meri Fitrat Hai,
Esliye Muje Pattharo Se Koi Sikayat Nahi Hoti.



Ek Apni Hi Baat Kya Main Karu,
Tune Kitno Ke Jaane Dil Tode Hain,

Magar Humse Nahi Hoga Sahan Kabhi,
Humare Din Ab Toh Thode Hain.



जिसने भी की मुहब्बत,
रोया जरूर होगा।
वो याद में किसी के खोया जरूर होगा।

दिवार के सहारे,
घुटनों में सिर छिपाकर ,
वो ख्याल में किसी के खोया जरुर होगा।

आँखों में आंसुओ के,
आने के बाद उसने,
धीरे से उसको उसने,
पोंछा जरुर होगा।

जिसने भी की मुहब्बत,
रोया जरूर होगा।



Jo Dekhe The Unke Saath Humne,
Saakaar Na Kabhi Woh Sapne Huye,

Jinka Tha Bahut Sahara Humko,
Woh Gham Bhi Haay Apne Na Huye.



Mohabbat Hai Ki Nafrat Hai,
Koi Itna Toh Samjhaye,

Kabhi Main Dil Se Larti Hun,
Kabhi Dil Mujh Se Larta Hai.


Teri Nafrat Ma Wo Dam Nahi,
Jo Meri Chahat Ko Mita De Aye Sanam,


Ye Mohabbat Hai Koi Khel Nahi,
Jo Aaj Hans Ke Khela Aur Kal Roke Bhula Dein.


Agar Itni Hi Nafrat Hai Humse Toh,
Dil Se Kuch Aisi Dua Kro,


Ki Aaj Hi Tumhari Dua Bhi Puri Ho Jaye,
Aur Hamari Zindagi Bhi.


Jab Aap Kisi Se Rooth Kar Nafrat Se Baat Karo,
Aur Fir Bhi Wo Uska Jawab Mohabbat Se De,


To Samajh Jaana Ki Wo Aapko 

Khud Se Zyada Pyar Karta Hai.

Ek Nafrat Hi Hai Jisey,
Duniya Chand Lamho Mein Jaan Leti Hai,


Warna,
Chahat Ka Yakin..
Dilane Mein To Zindagi Beet Jaati Hai.


Nafrat B Pyar Ki Buniyad Hoti Hai.
Mulaqaat Se Achi Kissi Ki Yaad Hoti Hai.

Rishto Me Faslo Ka Wajud Nahi Hota.

Kyuki Dil Ki Duniya To Khayalo Se Abaad Hoti Hai.

Mujh Se Nafrat Ki Ajab Raah Nikali Us Ne,
Hasta Basta Dil Kar Diya Khali Us Ne,


Meray Ghar Ki Riwayat Se Woh Khoob Waqif Tha,
Judai Mang Li Ban Ke Sawali Us Ne!


Wo Inkaar Karte Hain Ikraar Ke Liye,
Nafrat Bhi Karte Hain To Pyar Ke Liye,


Ulti Chaal Chalte Hain Ye Ishq Karne Wale,
Ankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye.


Ye Mat Kahna Ki Teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha,
Mai Khud Tanha Raha Dil Ko Magar Tanha Nahi Rakha,


Tumhari Chahton Ke Phool To Mehfooz Rakhe Hai,
Tumhari Nafrato Ki Peedh Ko Zinda Nahi Rakha.


Mohabbat Hai Ki Nafrat Hai,
Koi Itna Toh Samjhaye,


Kabhi Main Dil Se Larti Hun,
Kabhi Dil Mujh Se Larta Hai.


Teri Nafrat Ma Wo Dam Nahi,
Jo Meri Chahat Ko Mita De Aye Sanam,


Ye Mohabbat Hai Koi Khel Nahi,
Jo Aaj Hans Ke Khela Aur Kal Roke Bhula Dein.


Agar Itni Hi Nafrat Hai Humse Toh,
Dil Se Kuch Aisi Dua Kro,


Ki Aaj Hi Tumhari Dua Bhi Puri Ho Jaye,
Aur Hamari Zindagi Bhi.


Jab Aap Kisi Se Rooth Kar Nafrat Se Baat Karo,
Aur Fir Bhi Wo Uska Jawab Mohabbat Se De,


To Samajh Jaana Ki Wo Aapko

Khud Se Zyada Pyar Karta Hai.


Ek Nafrat Hi Hai Jisey,
Duniya Chand Lamho Mein Jaan Leti Hai..


Warna.

Chahat Ka Yakin Dilane Mein To Zindagi Beet Jaati Hai.

Nafrat B Pyar Ki Buniyad Hoti Hai.
Mulaqaat Se Achi Kissi Ki Yaad Hoti Hai.

Rishto Me Faslo Ka Wajud Nahi Hota.

Kyuki Dil Ki Duniya To Khayalo Se Abaad Hoti Hai.

Humse Nafrat Karo Ya Mohabbat,
Dono Hamare Haq Me Behtar Hai,


Kyun Ki Agar Tum Nafrat Karoge To Hum,
Tumare Dimag Me Bas Jaynge,
Agar Mohabbat Karoge To Dil Main.


Na Jaane Kis Shaks Ka Intezaar Hume Aaj Bhi Hai,
Sukoon To Bahot Hai Pr Dil Bekarar Aaj Bhi Hai,


Tumne Hume Nafraton Ke Siva Kuch Nahi Diya Lekin,
Hume Tumhari Nafraton Se Pyar Aaj Bhi Hai.


Wo Inkaar Karte Hain Ikraar Ke Liye,
Nafrat Bhi Karte Hain To Pyar Ke Liye,

Ulti Chaal Chalte Hain Ye Ishq Karne Wale,

Ankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye.



Chand Lamhon Ki Zindagani Hai,
Nafraton Se Jiya Nahi Karte,

Lagta Hai Dusamanon Se Guzarish Karni Padegi,

Dost To Aab Yaad Kiya Nahi Karte.


Meri Chahat Ne Use Khushi De Di,
Badle Mein Usne Mujhe Khamoshi De Di,

Khuda Se Dua Maangi Marne Ki To,
Usne Bhi Tadapne Ke Liye Zindagi De Di.

मेरी चाहत ने उसे खुशी दे दी,
बदले में उसने मुझे सिर्फ खामोशी दे दी,


खुदा से दुआ मांगी मरने की लेकिन,
उसने भी तड़पने के लिए जिन्दगी दे दी!



Hum Jee Lenge Aapke Diye Ghamon Ke Sahare,
Aap Khush Raho Sada Dil Se Dua Hamari Hai,

Ek Rah Gayi Hamare Paas Amanat Aapki,
Jab Chaho Mang Lena Yeh Jaan Bhi Tumhari Hai.



Jaane Kya Kami Hai Ham Mein Yarab,
Jaane Kyu Sab Humse Khafa Rahte Hain,

Humne Toh Chaha Banana Sab Ko Apna,
Jaane Kyu Sab Humse Juda Rahte Hain.



Apne Apne Andaz Hoten Hai,
Jagti Ankhone Mein Bhi Khwab Hoten Hai,

Zaroori Nahi Ki Gum Mein Nikle Aansu,
Muskurahat Ankhone Mein Bhi Sailab Hoten Hai.



Dua Karna Yaaro Judaa Ho Rahe Hain,
Rahi Zindagi Toh Fir Aakar Milenge,

Agar Mar Gaye Toh Dua Karte Rahna,
Aansu Bahaane Ki Koshish Na Karna.



Waqt Ki Andhi Mujhe Tumse Door Kar Degi,
Tum To Jee Lo Ge Mere Bin Kisi Aur K Sahare,
Aur Zindgi Mujhe Jeete Ji Marne Ko Majboor Kar Degi….



वफ़ा पर हमने घर लुटाना था लेकिन,
वफ़ा लौट गयी लुटाने से पहले,

चिराग तमन्ना का जला तो दिया था,
मगर बुझ गया जगमगाने से पहले।

Wafa Par Hamne Ghar Lutana Tha Lekin,
Wafa Lout Gai Lutane Se Pehle,


Cheerag Tamanna Ka Jala To Diya Tha,
Magar Bujh Gaya Jagmagane Se Pehle!



Cigarette Pina Shok Hai Mera Adat Nahi,
Ye Jazbat Jagati Hain Tabhi Peeta Hoon,

Aadhi Raat K Waqt Main Pagal Toh Nahi,
Teri Yaad Satati Hain Tabhi Peeta Hoon,

Es Cigarette Mein Fazeelat Toh Koi Nahi,
Ye Fikar Mitati Hain Tabhi Peeta Hoon,

Main Janta Hu Muje Kuch Nahi Milna Esse,
Ye Meri Umar Ghatati H Tabhi Peeta Hoon.



Hamdard Ban Kar Aya Tha Aur Dard Dekar Chala Gaya,
Mere Dil Ko Zakham Naya Vo Khudgarz Dekar Chala Gaya,

Arman Jaga Kar Sab Mere Fir Tanha Chod Gaya Mujhko,
Apni Yaaden Dekar Milne Ka Khwab Dikha Kar Chala Gaya.



Tanhai Ki Duaen Toh,
Tumhi Ne Mangi Thi,

Teri Khusi Ki Khatir,
Hum Par Bhi Kar Baithe,

Ba Ek Ehsaan Aur,
Mujh Par Kar Dena,

Mere Wakt E Janaje Par,
Do Aansu Baha Dena.



हसीनो ने हसीन बनकर गुनाह किया,
औरों को तो क्या हमको भी तबाह किया,

पेश किया जब ग़ज़लों में हमने उनकी बेवफ़ाई को,
औरों ने तो क्या उन्होने भी वाह-वाह किया.

Hasino Ne Haseen Bankar Gunaah Kiya,
Auro Ko To Kya Humko Bhi Tabah Kiya,


Pesh Kiya Jab Shayari Mein Humne Unki Bewafai Ko,
Auro Ne To Kya Unhone Bhi Wah-Wah Kiya.



Yeh Kudrat Ka Da Dastoor Hai,
Ya Kismat Ka Kasoor Hai,

Koi To Duniya Chod Gya,
Koi Jeene Ko Majboor Hai.



Kaghaj Par Nahi Likhte Kuch Raaz Mohabbat Ke,
Pal Bhar Mein Bikhar Jaate Hain Alfaaz Mohabbat Ke,

Use Toot Kar Chaha Toh Hum Khud Hi Bikhar Gaye,
Aise Badal Jaate Hain Andaaj Mohabbat Ke,

Un Ki Saheliyo Se Zara Kahna,Unhe Sath Hi Laaye,
Mujhe Phir Se Sajaane Hain Kuch Khwab Mohabbat Ke,


Apni To Saase Dost Usi Waqt Mein Thee Shaamil,
Kyun Baithe Huye Chor Gaye Kuch Haath Mohabbat Ke.



हमारी दास्तां उसे कहां कबूल थी,
मेरी वफायें उसके लिये फिजूल थीं,

कोई आस नहीं लेकिन कोई इतना बतादो,
मैंने चाहा उसे क्या ये मेरी भूल थी।

Hamari Dastan Use Kaha Kabul Thi,
Meri Wafayen Uske Liye Fizool Thi,


Koi Aas Nahi Lekin Itna Bata Do,
Maine Chaha Use Kya Ye Meri Bhool
.



Khuli Jo Aankh To Wo Tha Na Wo Zamanaa Tha,
Dehakati Aag Thi Tanhayi Thi Fasanaa Tha,

Ye Kya Ki Chand Hi Kadmon Pe Thak Ke Baith Gaye,
Tumhein To Saath Mera Door Tak Nibhanaa Tha.



Bar Baadiyon Ka Silsila Abhi Aur Chalne Do,
Chand Lamhe Fursat Se Abhi Aur Jeena Chahta Hun Main,

Agar Milegi Khusiayn Toh Na Jee Paunga Main Kabhi,
Isi Liye Ghamon Ka Zahar Peeta Hun Main.



Ek Baat To Batao,
Mohabat Ki Har Gali Gumnaam Kyu Hai,
Judai Or Maut Ishq Ka Anjaam Kyu Hai,


Log Dete Hai Naam Ise Paakeezgi Ka,
To Ye Mohabbat Itni Badnaam Kyu Hai.



Aankhon Se Ashq Bahane Se Fayda Kya,
Unko Apna Dildar Banane Se Fayda Kya,

Woh Bhi Toh Hansee Hai De Denge Daga Ek Din,
Dgabaaj Hain Sab Aajmane Se Fayda Kya.



Chhodkar Chala Jaaun Ab Teri Yeh Duniya,
Mere Data Mujhko Itni Si Izazat De De,

Maine Payi Hai Nafrat Sada Teri Di Zindagi Se,
Maut Toh Laga Le Gale Itni Mohabbat De De.



Koi Toh Hota Jo Samjhata Mujhko,
Ki Yahan Kisi Se Na Pyar Karna Chahiye,

Koi Bhi Nahi Banta Kisi Ka Apna,
Yahan Kisi Par Na Aitbaar Karna Chahiye.



Socha Aaj Fir Unse Pyar Karlu,
Unka Aaj Fir Didar Karlu,

Par Fasle Itne Hai Darmiya,
Ye Khuda Un Faslo Kaise Mai Kam Karlu…



Rone Se Kisi Ko Paya Nahi Jata,
Khone Se Kisiko Bhulaya Nahi Jata,

Waqt Sabko Milta Hai Zindagi Badalne Ke Liye,
Par Zindagi Nahi Milti Waqt Badalne Ke Liye.
.

रोने से किसी को पाया नहीं जाता,
खोने से किसी को भुलाया नहीं जाता,


वक्त सबको मिलता है जिन्दगी बदलने के लिए,
पर जिन्दगी नहीं मिलती वक्त बदलने के लिए!



तमन्ना हो मिलने की तो,
बंद आँखों मे भी नज़र आएँगे,

महसूस करने की कोशिश तो कीजिए,
दूर होते हुए भी पास नज़र आएँगे !



क्यों शर्मिंदा करती हो,
हाल हमारा पूछ कर..

हाल हमारा वही है,
जो तुमने बना के रखा है..

Kyu Sharminda Karti Ho,
Haal Hamara Puch Kar..


Haal Hamara Wahi Hai,
Jo Tumne Bana Ke Rakha Hai..



Kitaabon Mein Kehte Hai Phool Todna Mana Hai,
Baagon Mein Kehte Hai Phool Todna Mana Hai,

Phoolon Se Keemti Cheez Hai Dil,
Koi Nahi Kehta Dil Todna Mana Hai.



Dil Ki Baat Dil Mein Rahii Ho Jaise,
Hans Ke Tuu Naa Hansi Ho Jaise,

Umar Se Lambi Sadak Pe Chalte,
Koi Sadaa Tuune Sunii Ho Jaise,


Armaan Jitne Sajaye The Kabhi,
Woh Aas Dil Mein Dabi Ho Jaise,


Dekhne Ko Tasveer Haath Mein,
Yaad Koi Puraani Li Ho Jaise,


Raat Ke Khaali Sannaate Mein,
Saans Ruk Ruk Ke Chali Ho Jaise,


Waqt Ke Band Darwaazon Mein,
Jaag Ke Der Tak Darri Ho Jaise,


Dipak Se Le Ke Koi Kiitaab,
Tuune Raat Bhar Padhi Ho Jaise.



Hum Samajhate The Bhool Chuke Hain Unko,
Fir Yeh Kis Baat Par Aaj Rona Aaya,

Unhone Hamare Saath Ki Kyu Bewafayi,
Lagta Hai Hamein Is Baat Par Rona Aaya.



Gila Karke Is Duniya Se Kya Karenge Hum,
Apni Takdeer Ko Hi Apna Dushman Samjhate Hain,

Yeh Zindagi Toh Kar Gayi Hai Hamse Bewafayi Yahan,
Ab Hum Mot Ko Hi Apna Dilbar Samajhate Hain.



Ye Jaruri Nahi Ki Meri Har Khawaish Puri Ho Jaye,
Aap Mere Muqdar Ke Haqikat Ho Jaye,

Kayamat Tak Intzaar Karenge Apka,
Ager Aap Kisi Aur K Ho Jaye.



Fursat Kise Hai Jakhamon Ko Sahlaane Ki,
Nigaahein Badal Gayi Hain Apne Begano Ki,

Humsafar Hi Saath Chhod Gaya Mera,
Ab Tamanna Na Rahi Aashiya Banane Ki,

Raakh Ho Gaya Chaman Armano Ka,
Naamon Nishaa Na Bacha Mere Afsane Ka,

Barbaadi Par Ranjo Gham Kaise Yaaro,
Hashar Yahi Toh Hota Hai Deewano Ka.



Yeh Mana Ke Mohabbat Karna Hai Jurm Magar,
Yeh Jurm Yaaro Baar Baar Karte Hain Hum,

Woh Bewafa Hai Sangdil Hain Jaante Hai Magar,
Unpar Yaaro Aaj Bhi Aitbaar Karte Hain Hum.



Haan Hum Bewfa Sahi,
Par Itna Mujhe Batao,

Bewafa Jo Nahi Hai,
Aisa Koi Saksh Dikhao,


Haan Main Janta Hoon,
Aapne Kisi Se Bahut Wafa Ki Hai,


Par Yun Kya Aapne

Khud Se Koi Wafa Ki Hai.



आंसूओ तले मेरे सारे अरमान बह गये,
जिनसे उमीद लगाए थे वही बेवफा हो गये,

थी हूमे जिन चिरागो से उजाले की चाह,
वो चिराग ना जाने किन अंधेरो में खो गये.

Aansuo Tale Mere Saare Armaan Bahe Gaye,
Jinse Ummid Lgaye Baithe The Wahi Bewafa Ho Gaye,


Thi Hamai Jin Charago Se Ujale Ki Chah,
Wo Charag Na Jaane Kin Andhero Mai Kho Gaye.



Nazrein Meri Kahin Thak Na Jaayein,
Bewafa Tera Intezaar Karte Karte,

Yeh Jaan Yun Hi Nikal Na Jaaye,
Tum Se Ishq Ka Izhaar Karte Karte.



Tere Na Hone Se…
Zindagi Mein Bas Itni Si Kami Rehti Hai,

Main Chahe Laakh Muskurau…

In Aankho Mein Nami Rehti Hai.



Hansne Ke Baad Kyu Rulati Hai Duniya,
Jaane Ke Baad Kyu Bhulati Hai Duniya,

Zindagi Me Kya Kuch Kasar Baaki Thi,
Jo Marne Ke Baad Bhi Jalati Hai Duniya.



Ye Faisalaa Tha Khuda Ka Ya Jaane Sazish Thizamaane Ki…
Hum Door Ho Gaye Unse Utna Hi..
Jitni Khwahish Thi Humein Unke Kareeb Aane Ki..!



Aaj Bhigi Hai Palke Kisi Ki Yaad Me,
Aakash Bhi Simat Gaya Hai Apne Aap Me,

Oas Ki Boonde Aisi Giri Hai Jameen Per,
Maano Chand Bhi Roya Ho Unki Yaad Me..



Hum Jaante Nahi Kya Hua Hai,
Aap Khush Rahein Bas Yeh Hi Dua Hai,

Chahat Pal Do Pal Ki Khushi Thi,
Aaj Yeh Saja Hai Saja Hai Saja Hai.



Na Jaane Kaise
Dard E Dil Chhupa Lete Hain Log,

Na Jaane Kaise

Gham Mein Bhi Muskura Lete Hain Log,

Meri Zindagi Toh Ek Khuli Kitab Hai,
Na Jaane Kaise

Chehre Par Chehra Chadha Lete Hain Log.



Chand Tare Zameen Par Lane Ki Zid Thi,
Hamein Unko Apna Banane Ki Zid Thi,

Achcha Hua Woh Pehle Hi Ho Gayi Bewafa,
Warna Unhe Pane Ko Zamana Jalane Ki Zid Thi.



एक बात पूछें तुमसे..
जरा दिल पर हाथ रखकर फरमायें..

जो इश्क़ हमसे शीखा था..
अब वो किससे करते हो|



किस्मत ने जैसा चाहा वैसे ढल गए हम,
बहुत संभल के चले फिर भी फिसल गए हम,

किसी ने विश्वास तोडा तो किसी ने दिल,
और लोगो को लगा की बदल गए हम.

Kismat Ne Jaise Chaha Waise Dhal Gaye Hum,
Bahut Sambhal Kar Chaley Phir Bhi Phisal Gaye Hum!


Kisi Ne Yakeen Thoda To Kabhi Kisi Ne Dil,
Aur Logon Ko Lagata Ki Badal Gaye Hum!



Zindagi Bahut Kuch Sikhati Hai,
Kabhi Hasati Hai Kabhi Rulati Hai,

Khud Se Bhi Jyada Kisi Par Vishwash Mat Karna,
Kyuki Andhere Mein To Parchai Bhi Saath Chod Jati Hai.

जिंदगी बहुत कुछ सिखाती है,
थोड़ा रुलाती है थोड़ा हसाती है,


खुद से ज्यादा किसी पे भरोसा मत करना,
क्योंकि अँधेरे में तो परछाईं भी साथ छोड़ जाती है!



Sabne Kaha Ishq Dard Hai,
Humne Kaha Ye Dard Kabul Hai,

Sabne Kaha Is Dard Ke Saath Ji Nahi Paoge,
Humne Kaha Is Dard Ke Saath Marna Kabul Hai.



Khuda Ka Sukr Karta Main,
Ki Usne Aapko Hum Se Mila Diya,

Yeh Alag Baat Hai Eh Mere Dost,
Aapne Darde Dil Hamara Badha Diya.



Woh Hum Se Rooth Gaye,
Ya Aisa Dikhana Chahte Hain,

Woh Humein Bhul Gaye,
Ya Aise Bhulana Chahte Hain,

Lete Hain Khabar Na Meri Kabhi,
Or Na Kabhi Apni Khabar Batana Chahte Hain



Do Kadam To Sab Chal Lete Hain Par,
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahi Nibhata,

Agar Ro Kar Bhulai Jaati Yaadein,
To Hans Kar Koi Gam Na Chupata.



Chaha Ke Ye Aasman Hamara Hota,
Khwaiso Ka Bhi Koi Kinara Hota,

Ye Sonchkar Nahi Roka Us Musafir Ko,
Wo Jata Hi Kyoun Door Agar Wo Hamara Hota..



Main Jeeta Raha Hun Ghut Ghut Ke Yaaro,
Mujhe Ab Jeene Ki Tamanna Nahi Hai,

Yeh Jo Humne Kiya Hai Pyar Tumse,
Yeh Dil Ki Lagi Hai Dilaagi Nahi Hai.



The One Who Never Valued My Love,
Coincidentally I Was Loving Only Her,

That Candle Itself Burnt My Hand,
The One I Was Protecting From Wind.



Dost Bankar Is Kadar Dushmani Ki Hai,
Jaise Naajuk Aaine Se Dillagi Ki Hai,

Jo Ik Najar Dekhne Se Hi Bikhar Gaya,
Yun Rokar,
Basar Humne Zindagi Ki Hai.



अजीब था उनका अलविदा कहना,
सुना कुछ नहीं और कहा भी कुछ नहीं,

बर्बाद हुवे उनकी मोहब्बत में,
की लुटा कुछ नहीं और बचा भी कुछ नहीँ!

Ajeeb Tha Unka Alvida Kehna ,
Suna Kuch Nahi Aur Kaha Bhi Kuch Nahi,


Kuch Yu Barbaad Huye Unki Mohbbat Me,
Ke Loota Kuch Nahi Par Bacha Bhi Kuch Nahi.



Kaise Gujharti Hai Meri..
Har Ek Shaam Tere Bagair,

Agar Tu Dekhle To..
Kabhi Tanhaa Na Chhodte Mujhe..!



Phool Barse Kahin Sabnam Kahi Moti Barse
Aur Is Dil Ki Taraf Barse Toh Pathar Barse,

Barishein Chhat Par Khuli Jagah Par Hoti Hai Magar

Gham Woh Sawan Hai Jo In Band Kamron Mein Barse,

Koun Kahta Hai Ke Rango Ke Fariste Utrein

Koi Bhi Barse Magar Is Bar Toh Ghar Ghar Barse,

Hum Jaise Majbur Ka Gussa Bhi Ajib Badal Hai

Apne Hi Dil Se Uthe Apne Hi Dil Pae Barse.



Raah Takti Ankhon Ka Intezar Khatam Ho Gya,
Aaj Mere Dil Ke Andar Pyar Khatam Ho Gya,

Chhoti Si Ik Duniya Thi Iss Dil Me Khawabon Ki,
Mere Sath Hi Iss Dil Ka Vo Sansar Khatam Ho Gya…



Aise Na Muskaraao Aise Na Tadpaao,
Meri Halat Par Sanam,
Kuchh Toh Raham Khaao,

Jale Hain Hum Ek Chirag Ki Tarah,
Apni Judai Se Hamein Ab Aur Na Tadpaao.



लबों पे नाम है जिनका
उन्हें कुछ भी खबर नहीं

गजल में दर्द है जिनका
उन्हें कुछ भी खबर नही!



Insan Bane Hain Is Jeevan Mein,
Bas Humse Yahi Ek Khata Huyi,

Isi Karan Huye Kai Gunah Humse,
Isi Liye Toh Mout Bhi Bewafa Huyi.



Zindagi Hamaari Yun Hi Sitam Ho Gayi,
Khushi Na Jaane Kahan Dafan Ho Gayi,

Likha Khuda Ne Mohabbat Sabki Taqdeer Mein,
Hamaari Baari Aayi To Syaahi Hi Khatm Ho Gayi.



Jab Bhi Tujhe Meri Yaad Aayegi,
Pyar Ki Har Baat Tujhe Tadpayegi,

Main Na Aaya Agar Kabhi Tere Darwaje Par,
Mohabbat Ka Shola Tere Dil Mein Bhadkayegi.



Kya Batau Mera Haal Hai Kaisa,
Ek Din Guzarta Hai Ek Saal Jaisa,

Tadapta Hu Iss Kadar Bewafayi Mein Uski,
Yeh Tan Baanta Ja Raha Hai Kankal Jaisa.

क्या बताऊँ मेरा हाल कैसा है,
एक दिन गुज़रता है एक साल जैसा है,


तड़पता हूँ इस कदर बेवफाई में उसकी,
ये तन बनता जा रहा कंकाल जैसा है।



In Alfazon Se Hum,
Tujhe Ruswa Na Karenge,

Teri Bewafayi Ka Zikr,
Hum Markar Bhi Na Karenge,

Apni Raza Se Hum Gair Bankar,
Chhup Chhup Kar Aahein Bharenge.



Sanam Teri Nafrat Mein Wo Dam Nahi,
Jo Meri Chahat Ko Mita De,

Ye Mohabbat Hai Koi Khel Nahi,
Jo Aaj Hans Ke Khela Aur Kal Ro Ke Bhula De.



Yaadon Ki Keemat Wo Kya Jane,
Jo Khud Ki Yaadon Ko Mita Diya Karte Hain,

Yaadon Ka Matlab Toh Unse Puchho,
Jo Yaadon Ke Sahare Zindagi Jiya Karte Hain.

यादों की किम्मत वो क्या जाने,
जो ख़ुद यादों के मिटा दिए करते हैं,


यादों का मतलब तो उनसे पूछो जो,
यादों के सहारे जिया करते हैं।



हम सिमटते गए उनमें और वो हमें भुलाते गए..
हम मरते गए उनकी बेरुखी से,
और वो हमें आजमाते गए ..


सोचा की मेरी बेपनाह मोहब्बत देखकर सीख लेंगी वफाएँ करना ..
पर हम रोते गए और वो हमें खुशी-खुशी रुलाते गए..!



Mein Ne Poocha Rooh Nikalti Hai Jisam Se Kis Tarhan???
Hath Usne Hathon Se Chura Kar Dikha Dia!!

Mein Ne Poocha Mehshar Se Pehle Qayamat Hay Kya???
Zindagi Se Usne Meri Ja Kar Dikha Dia!!


Mein Ne Poocha K Ye Hasad Hay Kia Cheez???
Usne Kisi Aur Ko Apna Bana K Dikha Dia!!



Mahfil Lagi Thi Ek Dusre Ko Gham Sunaane Ki,
Toh Sabhi Apne Apne Gham Sunane Lage,

Jab Hamne Shuru Kiye Sunane Eh Yarab,
Na Jaane Kyun Sabhi Mahfil Se Jaaane Lage.



Yaad Toh Har Koi Karega Jaane Ke Baad,
Sache Pyar Ka Pata Chal Jaayega Waqt Aane Ke Baad,

Kaun Kitni Mohabbat Karta Hai,
Nazar Aajayega Mere Marr Jaane Ke Baad.



दर्द क्या होता है बताएँगे किसी रोज़ ,
कमाल की ग़ज़ल तुम को सुनायेंगे किसी रोज़।

थी उन की ज़िद के मैं जाऊँ उन को मनाने,
मुझ को ये वहम था वो बुलाएंगे किसी रोज़ ।


उड़ने दो इन परिंदों को आज़ाद फ़िज़ाओं में,
तुम्हारे होंगे अगर,
तो लौट आएंगे किसी रोज़।

– परवीन शाक़िर



Mujhko Bhi Milengi Khusiyan,
Tum Bahlate Yaaro Kyu Ho,

Main Janta Hun Apni Kamiyan,
Tum Ginvate Yaaro Kyu Ho.



In Aankho Me Aansu Aaye Na Hote,
Tum Jo Peeche Mud Kar Muskuraye Na Hote,

Chale Gaye Zindagi Se Yun Kuch Bhi Na Bolkar,
Keh Dete To Yun Sapne Sajaye Na Hote,


Sau Aansuon Ke Badle Mujhe Khushi Hi De Dete,
Jo Aaj Yun Gham Ke Baadal Chhaye Na Hote,


Gar Hota Pata Mohabbat Ki Raho Me,
Aise Bhi Mod Aayenge,


To Humne Chahkar Bhi Kabhi Yeh Raste Apnaaye Na Hote,
Mere Ashko Ko Tumne Mehez Paani Karaar De Diya,


Pata Hota To Aaj Yun Motiyon Ke Sailaab Bahaye Na Hote,
Tumhare Jaane Ke Baad Pal-Pal Ye Gham Hota Hai,


Ki Meri Zindagi Me Kaash Tum Kabhi Aaye Na Hote.



Dil Yu Kabhi Na Udas Hota,
Jo Koi Apna Hamare Pass Hota,

Yu To Humne Sath Diya Aksar Apno Ka,
Par Kash Kisi Ko Hmari Tanhaiyo Ka Ehsas Hota.



Tag:
Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri