Garibi Shayari in Hindi, गरीबी शायरी, गरीबी पर शायरी | Garib Bache Shayari


Garibi Shayari in Hindi

अजीब मिठास है मुझ गरीब के खून में भी
जिसे भी मौका मिलता है वो पीता जरुर है


Ajeeb Mithas Hai Mujh Gareeb Ke Khoon Mein Bhi
Jise Bhi Mauka Milta Hai Wo Peeta Jarur Hai


गरीबी पर शायरी

उन घरों में जहाँ मिटटी के घड़े रहते हैं
कद में छोटे मगर लोग बड़े रहते हैं


Un Gharon Mein Jahan Mitti Ke Ghade Rahte Hain
Kad Mein Chhote Magar Log Bade Rahte Hai


गरीबी शायरी

गरीब भूख से मरे तो अमीर आहों से मर गए
इनसे जो बच गए वो झूठे रिवाजों से मर गए


Gareeb Bhookh Se Mare To Ameer Aahon Se Mar Gaya

Inse Jo Bach Gaye Wo Jhuthe Riwazon Se Mar Gaye


किस्मत को खराब बोलने वालों
कभी किसी गरीब के पास बैठकर पूछना जिंदगी क्या है


Kismat Ko Kharab Bolane Walon
Kabhi Kisi Gareeb Ke Paas Baithkar Puchhana Zindagi Kya Hai


वो राम की खिचड़ी भी खाता है
रहीम की खीर भी खाता है
वो भूखा है जनाब उसे
कहाँ मजहब समझ आता है


Vo Raam Ki Khichadee Bhi Khata Hai
Raheem Ki Kheer Bhi Khata Hai
Vo Bhookha Hai Janaab Use
Kahaan Majahab Samajh Aata Hai


फ़ेक रहे तुम खाना क्योंकि,
आज रोटी थोड़ी सूखी है
थोड़ी इज्ज़त से फेंकना साहेब,
मेरी बेटी कल से भूखी है


Fek Rahe Tum Khana Kyonki,
Aaj Roti Thodi Sukhi Hai
Thodi Izzat Se Fekna Sahab,
Meri Beti Kal Se Bhukhi Hai


गरीबों के बच्चे भी खाना खा सके त्योहारों में
तभी तो भगवान खुद बिक जाते हैं बाजारों में


Gareebo Ke Bacche Bhi Khana Kha Sake Tyaoharo Mein
Tabhi To Bhagwan Khud Bik Jate Hai Bazaron Mein


कहीं बेहतर है तेरी अमीरी से मुफलिसी मेरी
चंद सिक्कों की खातिर तू ने क्या नहीं खोया है


माना नही है मखमल का बिछौना मेरे पास
पर तू ये बता कितनी रातें चैन से सोया है


Kahin Behtar Hai Teri Ameeri Se Muflisi Meri
Chand Sikkon Ki Khatir Tu Ne Kya Nahi Khoya


Mana Nahi Hai Makhmal Ka Bichona Mere Paas
Par Tu Ye Bata Kitani Raatein Chain Se Soya Hai


Garib Bache Shayari

अपने मेहमान को पलकों पे बिठा लेती है
गरीबी जानती है घर में बिछौने कम हैं


Apne Mehman Ko Palkon Pe Bitha Leti Hai
Gareebi Janti Hai Ghar Mein Bichhaune Kam Hai


यूँ गरीब कहकर खुद की तौहीन ना कर ए बदें
गरीब तो वो लोग है जिनके पास ईमान नही


Yun Gareeb Kahkar Khud Ki Tauhin Na Kar Ae Bande
Gareeb To Wo Log Hain Jinke Paas Imaan Nahi


कैसे बनेगा अमीर वो हिसाब का कच्चा भिखारी
एक सिक्के के बदले जो बीस-कीमती दुआएं देता है


Kaise Banega Ameer Wo Hisaab Ka Kaccha Bikhari
Ek Sikke Ke Badale Jo Bees-Keemati Duaayen Deta Hai


हजारों दोस्त बन जाते है,
जब पैसा पास होता है
टूट जाता है गरीबी में,
जो रिश्ता ख़ास होता है


Hazaron Dost Ban Jate Hain,
Jab Paisa Paas Hota Hain
Toot Jata Hai Gareebi Mein,
Jo Rishta Khas Hota Hai


रुखी रोटी को भी बाँट कर खाते हुये देखा मैंने
सड़क किनारे वो भिखारी शहंशाह निकला


Rukhi Roti Ko Bhi Baant Kar Khate Hue Dekha
Sadak Kinare Wo Bhikhari Shanshaah Nikala


उसने यह सोचकर अलविदा कह दिया
गरीब लोग हैं,
मुहब्बत के सिवा क्या देँगे

Usne Yah Sochkar Alvida Kah Diya
Gareeb Log Hai,
Mohabbat Ke Siwa Kya Denge


कभी आंसू कभी ख़ुशी बेची हम गरीबों ने बेकसी बेची,
चंद सांसे खरीदने के लिए रोज थोड़ी सी जिन्दगी बेची


Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Bechi

Ham Gareebon Ne Bekasee Bechi,
Chand Saanse Khareedne Ke Liye

Roj Thodi Si Zindagi Bechee


खिलौना समझ कर खेलते जो रिश्तों से
उनके निजी जज्बात ना पूछो तो अच्छा है


बाढ़ के पानी में बह गए छप्पर जिनके
कैसे गुजारी रात ना पूछो तो अच्छा है


Khilona Samajh Kar Khelate Jo Rishton Se
Unake Nijee Jajbaat Na Poochho To Achchha Hai
Baadh Ke Paanee Mein Bah Gae Chhappar Jinake
Kaise Guzari Raat Na Poochho To Acha Hai


कैसे मोहब्बत करूँ बहुत गरीब हूँ सहाब
लोग बिकते हैं और मैं खरीद नहीं पाता


Kaise Mohabbat Karun Bahut Gareeb Hoon Sahab
Log Bikte Hain Aur Main Khareed Nahi Pata


जनाजा बहुत भारी था उस गरीब का
शायद सारे अरमान साथ लिए जा रहा था


Janaja Bahut Bhari Tha Us Gareeb Ka
Shayad Sare Arman Sath Liye Ja Raha Tha


बस एक बात का मतलब मुझे आज तक समझ नहीं आया
जो गरीब के हक के लिए लड़ते है वो अमीर कैसे बन जाते है

Bas Ek Baat Ka Matlab Mujhe Aaj Tak Samajh Nahi Aaya
Jo Gareeb Ke Haq Ke Liye Ladte Hai Wo Ameer Kaise Ban Jate Hain


यूँ न झाँका करो किसी गरीब के दिल में
के वहाँ हसरतें वेलिबास रहा करती हैं


Yun Na Jahka Karo Kisi Gareeb Ke Dil Mein
Ke Waha Hasrate Belibas Raha Karti Hai


Tag:
Shayari, Garibi Shayari, Garibi Par Shayari, Hindi Shayari, Garibi, Garib Shayari, Garibi Shayri, Garibi Shayari In Hindi, Garib Bache Shayari, Garib Ka Pyar Shayari, Garibi Ki Shayari, Garib Ki Shayari, Garibo Ki Shayari, Sad Shayari, Garibi Shayari Urdu, Amiri Garibi Shayari, Garibi Shayari In Urdu, Garibi Shayari Punjabi, Heart Touching Shayari, Garibi Per Shayri, Garibo Par Shayari, Garib Sayari, Main Gareeb Hoon Shayari