Most Popular Classical Sher of Mirza Ghalib in Hindi
Aaye Hai Be-Kasi-E-Ishq Pe Rona ‘Ghalib’
Kis Ke Ghar Jaayega Sailaab-E-Balaa Mere Baad
आये है बे-कासी-इ-इश्क़ पे रोना ‘ग़ालिब’
किस के घर जाएगा सैलाब-इ-बला मेरे बाद
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Pe Raunak
Wo Samajhte Hain Ki Beemar Ka Haal Acha Hai
उन के देखे से जो आ जाती है मुँह पे रौनक
वो समझते हैं कि बीमार का हाल अच्छा है
कर्ज की पीते थे मय लेकिन समझते थे कि
हा रंग लावेगी हमारी फ़ाक़ा-मस्ती एक दिन
Karz Ki Peete The May Lekin Samajhte The Ki
Ha Rang Laavegi Hamaari Faaka-Masti Ek Din
Mirza Ghalib Shayari in Hindi
Apni Gali Men Mujhko Na Kar Dafn Baad-E-Qatl
Mere Pate Se Khalq Ko Kyun Tera Ghar Mile
अपनी गली में मुझको न कर दफ़्न बाद-इ-क़त्ल
मेरे पते से ख़ल्क़ को क्यूँ तेरा घर मिले
कहाँ मैखाने का दरवाज़ा ‘ग़ालिब’ और कहाँ वैज,
पर इतना जानते हैं कल वो जाता था की हम निकले
Kahaan Maikhane Ka Darwaza ‘Ghalib’ Aur Kahaan Waiz,
Par Itna Jaante Hain Kal Vo Jaata Tha Ki Ham Nikle
आशिक़ हूँ पे माशूक़-फरेबी है मेरा काम
मजनू को बुरा कहती है लैला मेरे आगे
Aashiq Hoon Pe Mashooq-Farebi Hai Mera Kaam
Majnu Ko Bura Kahti Hai Laila Mere Aage
Is Nazaaqat Ka Bura Ho Vo Bhale Hain To Kya
Haath Aave To Unhe Haath Lagaye Na Bane
इस नज़ाक़त का बुरा हो वो भले हैं तो क्या
हाथ आवे तो उन्हें हाथ लगाए न बने
Qasid Ke Aate-Aate Khat Ek Aur Likh Rakhoon
Main Jaanta Hoon Jo Vo Likhenge Jawab Mein
क़ासिद के आते-आते ख़त इक और लिख रखूँ
मै जानता हूँ जो वो लिखेंगे जवाब में
Is Saadgi Pe Kaun Na Mar Jaye Aye Khuda
Ladte Hain Aur Haath Mein Talwar Bhi Nahi
इस सादगी पे कौन न मर जाये ए खुदा
लड़ते हैं और हाथ में तलवार भी नहीं
Kaaba Kis Munh Se Jaaoge ‘Ghalib’
Sharm Tum Ko Magar Nahi Aati
काबा किस मुँह से जाओगे ‘ग़ालिब’
शर्म तुम को मगर नहीं आती
Etibar-E-Ishq Kee Khana-Kharaabi Dekhna
Gair Ne Kee Aah Lekin Vo Khafaa Mujh Par Huye
एतिबार-इ-इश्क़ की खाना-खराबी देखना
गैर ने की आह लेकिन वो खफा मुझ पर हुये
Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Rah Gaye
Saahab Ko Dil Na Dene Pe Kitna Guroor Tha
आइना देख अपना सा मुंह ले के रह गए
साहब को दिल न देने पे कितना गुरुर था
Qata Keejiye Na Taalluk Ham Se
Kuchh Nahi Hai To Adaavat Hi Sahi
काटा कीजिये न तअल्लुक़ हम से
कुछ नहीं है तो अदावत ही सही
कितने शीरीं है तेरे लब की रक़ीब
गालियाँ खा के बे-मज़ा न हुआ
Kitne Shireen Hai Tere Lab Ki Raqeeb
Galiyan Kha Ke Be-Mazaa Na हुआ
की मेरे क़त्ल के बाद उसने जफ़ा से तौबा
हाय उस जोड़-पशिमान का पशिमान होना
Ki Mere Qatl Ke Baad Usne Jafa Se Tauba
Haye Us Zood-Pashiman Ka Pashiman hona
Udhar Vo Bad-Gumani Hai Idhar Ye Naa-Tavaani Hai
Na Poochha Jaaye Hai Us Se Na Bola Jaaye Hai Mujh Se
उधर वो बद-गुमानी है इधर ये ना-तवानी है
न पूछा जाए है उस से न बोलै जाये है मुझ से
Aata Hai Daagh-E-Hasrat-E-Dil Ka Shumaar Yaad
Mujh Se Mire Gunah Ka Hisaab Ai Khuda Na Maang
आता है दाग़-इ-हसरत-इ-दिल का शुमार याद
मुझ से मिरे गुनाह का हिसाब ऐ खुदा न मांग
Ishq Par Zor Nahi Hai Ye Vo Aatash ‘Ghalib’
Ki Lagaaye Na Lage Aur Bujhaaye Na Bane
इश्क़ पर ज़ोर नहीं है ये वो आतिश ‘ग़ालिब’
कि लगाए न लगे और बुझाए न बने
TAG:
mirza ghalib, mirza ghalib shayari, mirza ghalib shayari in hindi, mirza ghalib shayari in urdu, mirza ghalib urdu shayari, mirza ghalib quotes, mirza ghalib poems, mirza ghalib poetry, mirza ghalib ghazal, mirza ghalib sher, mirza ghalib ki shayari, mirza ghalib college gaya, mirza ghalib books, mirza ghalib hindi, mirza ghalib in hindi, mirza ghalib movie, mirza ghalib love shayari, mirza ghalib birthday, mirza ghalib biography in urdu, mirza ghalib hindi poetry, mirza ghalib poetry in hindi, mirza ghalib ki haveli, mirza ghalib songs, mirza ghalib film, mirza ghalib ki ghazal, mirza ghalib poetry in urdu, mirza ghalib urdu poetry, mirza ghalib urdu, mirza ghalib quotes in hindi, mirza ghalib in urdu, mirza ghalib serial, Mirza Ghalib Shayari in Hindi