Showing posts with label Sad Shayari अध्याय. Show all posts

Best Sad Shayari | Sad Shayari Status | Sad Shayari Whatsapp Status

February 14, 2023


Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri
Ab Bhi Taaza Hain Zakhm Seene Mein,
Bin Tere Kya Rakha Hain Jeene Mein,
Hum To Zinda Hain Tera Sath Paane Ko,
Warna Der Kitni Lgti Hai Zaher Peene Mein.


Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar..

Oh Shakti Bhare,
Anurakti Bhare,
Nas Nas Ke Pahle Javaar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar,

Pavas Ki Pahli Fuharon Se,
Jisne Mujhko Kuchh Bol Diye,
Mere Aansu Muskano Ki,
Kimat Par Jisne Tol Diye,
Jisne Ahsas Diya Mujhko,
Main Ambar Tak Uthh Sakta Hu,
Jisne Khud Ko Bandha,
Lekin,
Mere Sab Bandhan Khol Diye,
Mere Geeton Ke Saar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar,

Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar.



True Lines..

Bahot Ajib Hoti Hai..
Ye Yaadain Bhi Mohhbbat Ki


jin Palo Me Hum Roye The..
Unhein Yaad Karke Hume Hansi Aati Hai


or Jin Palo Me Hansey The..
Unhe Yaad Karke Rona Aata Hai.



Kyu Insan Hasta He Rone K Baad,
Jeena Fir Bhi Padta He Sab Kuch Khone K Baad,
Socha Aaj Sabko Yaad Kar Lu,
Kya Pata Aankh Hi Na Khule Aaj Sone K Baad.



Raat Diwali Ki Hai Magar Kismat Mein Andhera Hai,
Na Chhate Yeh Gham Ke Badal,
Na Aaya Savera Hai,
Juda Hamara Hona Yun,
Likha Lakiron Mein Tha Magar,
Is Mein Kasoor Eh Sanam Na Tera Na Mere Hai.



पहले इश्क़,
फिर दर्द,
फिर बेहद नफरत,
बड़ी तरकीब से तबाह…..
किया तुमने मुझको!



Ishq Kiya Tujse Mere Aitbar Ki Had Thi,
Ishq Me De Di Jan Mere Pyar Ki Had Thi,
Marne Ke Bad Bhi Khuli Thi Aankhein,
Yeh Mere Intezaar Ki Had Thi ..



परछाई आपकी हमारे दिल में है,
यादे आपकी हमारी आँखों में है,
कैसे भुलाये हम आपको,
प्यार आपका हमारी साँसों में है.

Parchaee Aapki Humare Dil Me Hai,
Yaade Aapki Humari Aankhon Me Hai,
Kaise Bhulaye Hum Aapko,
Pyar Aapka Humari Saanson Me Hai.



Zindagi Maie Ek Sapna Dekha,
Jise Ham Haqiqat Samajh Baithe,
Maine Jise Pyar Kiya,
Wo Majak Samajh Baithe.



Phoolon Ko Toh Baharon Mein Aana Tha,
Kharon Ko Kyu Sang Mein Lana Tha,
Jise Chaha Hamne Dil Se Apnana,
Kya Usi Ko Hamse Door Jana Tha.



सर झुकाने की आदत नहीं है,
आँसू बहाने की आदत नहीं है,
हम खो गए तो पछताओगे बहुत,
क्युकी हमारी लौट के आने की आदत नहीं है!

Sar Jhukane Ki Aadat Nahi Hai.

Aansu Bahane Ki Aadat Nahi Hai.
Hum Kho Gaye To Pachtaoge Bahut.
Kyun Ki Hame Laut Ke Aane Ki Aadat Nahi Hai.



Mere Chehre Se Kafan Hata Kar…
Jara Didar To Kar Lo,

Ae Jaan Band Ho Gai Hai Wo Ankhe…

Jinhe Tum Rulaya Karte The.



Bewafa Nahi Hai Woh
Yeh Manta Hun Main,

Woh Bhi Chahte Hain Hamein
Yeh Jaanta Hun Main,

Magar Itna Bhi Toh Yaaron
Nadan Nahi Hun Main,

Unki Badli Huyi Najrein Toh
Pahchanta Hun Main.



Waqt Ka Marhamhar Zakham Ko Bhar Deta Hai,
Magar Toote Hue Khawab

yaadon Ke Mausam Me Dard Zarur Dete Hain….



Meri Deewangi Ko Dekh K Muskurate Hai Kyu..
Main Jitna Paas Jau Utna Door Jate Hai Kyu..
Kuchh Toh Wajah Zaroor Hogi Unki Berukhi Ki..
Mujhe Aise Her Pal Sataate Hai Kyu!



Ek Zara Si Bhool Khata Ban Gayi,
Meri Wafa Hi Meri Saza Ban Gayi,
Dil Liya Aur Khel Kar Tod Diya Usne,
Hamari Jaan Gayi Aur Unki Ada Ban Gayi.

एक ज़रा सी भूल खता बन गयी,
मेरी वफ़ा ही मेरी सजा बन गयी,
दिल लिया और खेल कर तोड़ दिया उसने,
हमारी जान गयी और उनकी अदा बन गयी.



Mohabbat Laakh Chupayi Zamaane Se Maine,
Magar Aankhon Me Tere Aks Ko Chupa Na Saka.



Woh Khwabo Mein Aakar Rulate Hain,
Hakikat Mein Na Aakar Tadpaate Hain,
Jinko Hum Samjhaya Karte The Kabhi,
Woh Log Aaj Humko Samjhate Hain.



Ek Din Aayega Aisa Bhi Yaaro,
Mujhe Yaad Karega Sara Jahan,
Bas Bol Rahenge Mere Geeton Ke,
Mit Jayega Baaki Naamo Nishaa.



Tufaan Se Yu Jada Huya Basti Fir Bas Jaati Hai,
Har Patjhad Ke Baad Bahaar Aa Jati Hai,
Magar E Dost Tu Kyaa Jaane Dosti Ki Kadar,
Tere Zindagi Subah Hone Se Pehle Hi Sham Ajaati Hai.



Main Jise Mudat Mein Kahta Tha Woh Pal Ki Baat Thi,
Aapko Bhi Yaad Hoga Aaj Kal Ki Baat Thi,
Roj Mela Jodte The Woh Samasya Ke Liye,
Aur Unki Jeb Mein Hi Band Hal Ki Baat Thi,
Us Sabha Mein Sabhyta Ke Naam Par Jo Mon Tha,
Bas Usi Ke Kathya Mein Moujad Tal Ki Baat Thi,
Nitiyan Jhuti Padi Ghabra Gaye Sab Saster Bhi,
Jhopadi Ke Saamne Jab Bhi Mahal Ki Baat Thi.



Aap Kya Jaanokya Hota Hai Dard Judai Ka,
Humse Yeh Puchhokaisa Haal Hota Hai Tanhai Ka,
Mout Ko Laga Lete Hainmajboor Hokar Gale Yaaro,
Aisa Hota Haijab Bhi Hota Hai Hashar Rushwai Ka.



Usne Kaha Pyar Ek Dard Hai..
Humne Kaha Dard Qabul Hai..
Usne Kaha Dard Ke Saath Ji Na Paoge..
Humne Kaha Teri Pyar Ke Saath Marna Qabul Hai.



Hum Kaise Bhulaye Unko Bhala,
Jo Dil Mein Hamare Rahte Hain,
Jab Unko Apna Samjhte Hain,
Fir Woh Kyu Begana Kahte Hain.



Dukh Kam Nahi Hota Muskurane Se,
Aansu Dil Pe Hi Girte Hai Chupane Se,
Wo Aur Honge Jinhe Manjil Mil Gayi Hogi,
Hamein To Sirf Badnami Mili Hai Is Zamane Se,
Mai Kyo Teri Be’Wafai Ka Charcha Karu,
Gham To Kam Nahi Hota Dikhane Se,
Hum Bhi Bhula Denge Biti Hui Baato’N Ko.



Patjhad Mein Sukhe Patte Ki Tarah,
Meri Yeh Zindagi Bhi Dagmagati Hai,
Hain Raahe Hi Raahein Main Dekhun Jidhar,
Kahin Manzil Najar Na Humko Aati Hai.



Seekh Raha Hu Dheere Dheere,
Iss Duniya K Rivaaz,
Jisse Matlab Nikal Jaye,
Usey Zindagi Se Nikaal Do.



Insan Kahan Marta Hai Auron Ka Mara Hua,
Insan Ko Khud Uski Tanhai Maar Deti Hai,
Yun Toh Ji Bhi Sakta Hai Yeh Yaar Ki Judai Mein,
Magar Isko Toh Yahan Jag Hansayi Maar Deti Hai.



जिन्हीने बदली थी हमारे ख्वाइशों की जिंदगी..
आज वहो बदले बदले नज़र आते है..
उड़ गए उन परिंदों का मलाल क्या करे..
जब अपने भी औरो की छत पर नज़र आते है..
रातो के ख्वाबो का इंतजार क्या करू..
जब दिन मै भी डरावने सपने आत्ते है..



Naa Kar Tu Itne Koshisise,
Mere Dard Ko Samajne Ki,
Tu Pahle Ishq Kar Fir Chot Kha,
Phir Likh Dawa Mere Dard Ki.



हम सिमटते गए उनमें और वो हमें भुलाते गए,
हम मरते गए उनकी बेरुखी से,
और वो हमें आजमाते गए,
सोचा की मेरी बेपनाह मोहब्बत देखकर सीख लेंगी वफाएँ करना,
पर हम रोते गए और वो हमें खुशी खुशी रुलाते गए..



Kyon Banaati Ho Tum Ret Ke Mahal,
Jise Khud Hi Tod Dalogi Tum.


Aaj Kehti Ho Is Dijlale Se Pyar Hai Tumhe,
Kal To Mera Naam Tak Bhool Jayogi Tum.



Lut Gaya Bhari Baharon Mein Jo,
Us Gulista Ka Haal Kya Hoga,

Mukar Gayi Koul Dekar Jo,
Us Jubaa Ka Haal Kya Hoga,

Muskurane Par Ilzaam Hansane Ki Saza,
Toh Khilkhilane Par Haal Kya Hoga.



Rona Likha Hai Takdeer Mein Toh Ro Lenge Hum,
Ashkon Se Apne Jakhmon Ko Dho Lenge Hum,

Tujh Se Karenge Na Shikwa Kabhi Bewafayi Ka,
Tere Har Sitam Ko Dil Mein Samo Lenge Hum.



Mujhe Bhool Jana Koi Gham Na Karna,
Mere Baad Aankhon Ko Tum Nam Na Karna,
Kisi Aur Ka Thaam Lena Tu Daman,
Mere Baad Jholi Ko Phoolon Se Bharna.



Ankhen To Pyar Me Dilki Zuban Hoti Hai,
Sachchi Chahat To Sada Bezuban Hoti Hai.


Pyar Mein Dard Bhi Mile To Kya Ghabrana,
Suna Hai Dard Se Chahat Aur Jawan Hoti Hai.



Kismet Se Apni Sabko Shikayat Kyu Hai,
Jo Nahi Mil Sakta Usi Se Mohabbat Kyu Hai,
Kitne Khade Hai Raho Pe,
Phir Bhi Dil Ko Usi Ki Chahat Kyu Hai.



Na Jaane Kya Dikhaya Jamane Ko Toone,
Ki,
Hamesha Hi Isne Hai,
Mujhko Sataya,
Jo Aisa Hi Karna Tha Hashar Mera,
Moula,
Toh Kya Thi Jarurat,
Kyu Mujhko Banaya.



Aarzu Thi Unki Bahon Main Mera Dum Nikle..
Kasur Unka Nahi Badnaseeb Hum Nikle..
Jahan Bhi Jaye Khush Rahe Wo Sada..
Dil Se Mere Dua Sada Yahi Nikle..
Mere Hoto Ki Hasi Unke Hoto Se Nikle..
Unke Gham Ka Dariya Meri Ankho Se Nikle..
Ye Zindagi Sada Unhe Hasati Hue Nikle..



कभी संभले तो कभी बिखरते नजर आये हम ,
जिंदगी के हर मोड़ पर खुद में सिमटते आये हम !
यूँ तो जमाना कभी खरीद नहीं सकता हमें ,
मगर प्यार के दो लफ्जो में सदा बिकते आये हम!



Mere Marne Ke Baad Meri Kahani Likhna,
Kaise Barbaad Huwi Meri Jawani Likhna,

Aur Likhna Ki Mere Honth Khushi Ko Tarse,
Kaise Barsa Meri Aankhoon Se Paani Likhna,

Aur Likhna Ki Uska Intezaar To Bahut Tha,
Aakhri Saansoon Mein Woh Hichkiyoun Ki Rawaani Likhna,

Likhna Ke Marte Waqt Bhi Deta Tha Dua Tujhko,
Haath Bahar Tha Qafan Se Yehi Nishaani Likhna.



Kitna Chaahata Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siwa Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,
Zamana Dusman Ho Gaya Chaahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Hum Yeh Meri Khata Nahi.



Mere Dil Mein Na Aao Varna Doob Jaaoge,
Gham E Ashkon Ke Shiwa Kuchh Bhi Nahi Andar,

Agar Ek Bar Risne Laga Jo Paani,
Toh Kam Pad Jaayega Bharne Ke Liye Samander.



Ab Aansoonon Ko Aankhon Me Sajana Hoga,
Charaag Bujh Gaye Khud Ko Jalana Hoga,
Na Samajhna Ki Tumse Bichadke Khush Hain Hum,
Hamein Logon Ki Khatir Muskurana Hoga..



Maine Banta Hai Marsarat Ke Khajane Dosto,
Fir Bhi Duniya Ne Diya Har Ek Nastar Mujhe,

Muskurane Par Lagaye Gaye Ilzaam,
Chukani Padi Hai Kimat Hansi Aane Par Mujhe.



Ho Sakta Hai Humne Aapko Kabhi Rula Diya,
Aapne Duniya Ke Kehne Pe Humein Bhula Diya,
Hum Toh Waise Bhi Akele The Iss Duniya Mein,
Kya Hua Agar Aapne Ehsaas Dila Diya.

हो सकता है हमने आपको कभी रुला दिया,
आपने तो दुनिया के कहने पे हमें भुला दिया,
हम तो वैसे भी अकेले थे इस दुनिया में,
क्या हुआ अगर आपने एहसास दिला दिया।



सिलसिला उल्फत का चलता ही रह गया,
दिल चाह में दिलबर के मचलता ही रह गया,
कुछ देर को जल के शमां खामोश हो गई,
परवाना मगर सदियों तक जलता ही रह गया..



Pyar Ki Paribhasha Samjhai Nahi Jaa Skti,
Hai Mahoobat Hume Apse Is Kadar Ke Jatai Nahi Ja Sakti,
Ek Lamhe Ka Hi Sath Kyun Na Mil Jaye,
Ab Tanha Zindagi Gujari Nahi Jati.



Ehsaas Duriyo Ka Waqt Ke Sath Bhi Hoga,
Gujarte Lamho Main Yaado Ka Khwab Bhi Hoga,
Ham Honge Ya Na Honge Unke Zindagi Main,
Magar Hamare Na Hone Ka Asar Hamare Baad Bhi Hoga.



Jane Duniya Me Aisa Kyun Hota Hain,
Jo Sab Ko Khushi De Wahi Rota Hai,
Umar Bhar Jo Sath Na De Sake Wahi,
Zindagi Ka Pahla Pyar Kyu Hota Hai.



Iss Ghaflat Me Naa Rehna,
Ki Tere Waastey Main Jaag Raha Hun,
Neend Meri Aankhon Se Nahi,
Mere Muqaddar Se Udhi Hain.



Hum Na Pa Sake Tujhe..
Muddato Se Chahne Ke Baad,

Aur Kisi Ne Apna Bana Liya Tujhe..
Chand Rasmein Nibhane K Baad.



Ehsaan Tera Main Maanu,
Tanha Mujhe Jo Kiya Hai,

Jo Pyar Tera Hai Khoya,
Lagta Hai Khud Se Mila Main.



Yaadon Ko Teri Hamne Khone Na Diya,
Ghamo Ne Bhi Chup Hone Na Diya,
Aankhein To Aaj Bhi Bhar Aayi Teri Yaad Mein,
Par Teri Di Hui Kasam Ne Hamein Rone Na Diya.



Barson Ki Jaan Pahchan Thi Ek Roj Usne Tod Di,
Hoshiyar Hum Bhi Kam Nahi Umeed Hamne Chhod Di,

Ganth Padi Hain Kis Tarah Yeh Baat Hai Kuchh Is Tarah,
Woh Dor Tuti Bar Bar Har Bar Hamne Jod Di,

Usne Kaha Kaise Ho Tum Bas Maine Lab Khole Hi The,
Aur Baat Duniya Ki Taraf Jaldi Se Usne Mod Di.



Apni Zindgi Se Mujhe Hatane Chale Ho,
Ek Staye Hue Ko Stane Chale Ho,
Kitne Naadan Ho Tum Mere Dost,
Jo Apne Haton Ki Lakire Mitane Chale Ho.



मौत के बाद याद आ रहा है कोई,
मिट्ठी मेरी कबर से उठा रहा है कोई,
या खुदा दो पल की मोहल्लत और दे दे,
उदास मेरी कबर से जा रहा है कोई.

Mout Ke Baad Yaad Aa Raha Hai Koi,
Mitti Meri Kabar Se Utha Raha Hai Koi,
Ya Kudha Do Pal Ki Zindagi Aur De De,
Meri Kabar Se Udass Ja Raha Hai Koi!



Aapne Toh Ki Thi Dillagi Magar,
Hum Toh Dil Apna Tod Baithe,

Aapne Samjha Pyar Ko Khel Magar,
Hum Toh Ghamon Se Nata Jod Baithe.



Main Kaise Yeh Maanu Ke Khusiyan Milengi,
Gham Jab Nahi,
Door Mujhse Hain Jaate,
Jab Inko Nahi Hona Mera Yarab,
Hum Bhi Bhala Kaise Inko Bhulate.



टुट जाये ख्वाब तो जुङने की आस क्या रखना,
पलकों के भिगने का हिसाब क्या रखना,
बस इसलिए मुसकुरा देते हैं हम,
अपनी उदासी से किसी को उदास क्या रखना|

Toot Jaye Khawab To Judne Ki Aas Kya Rakhna,
Palko Ke Bheegne Ka Ab Hisab Kya Rakhna,
Bas Isliye Muskura Dete Hai,
Apni Udasi Se Kisi Ko Udas Kyu Rakhna.



Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De,
Aisa Kar Ya Rabb Meri Hasti Mita De,
Yu Ghut Ghut Ke Jeene Se Maut Behtar Hai,
Kabhi Na Khulain Aankhein Tu Aisi Neend Sula De.



Taaron Se Kal Baat Ki Maine…
Toote Hue Taaron Ki,

Har Tarae Ne Bas Ye Kaha…
Kisi Aur Ki Khwahish Ka Liye Jab Khud Tootoge

aur Use Tumhare Tootne Ka Ehsaas Bhi Na Hoga
tab Aana Hum Jawab Denge…



Saza Hume Ye Kaisi Mili Dil Lagane Ki,
Ro Rahe Magar Tamnna Thi Muskurane Ki,
Apna Dard Kise Dikhau Aye Dost,
Dard Bhi Usine Diya Jo Wajah Thi Muskurane Ki.



Dard Gunj Raha Dil Mein Shehnai Ki Tarah,
Jism Se Maut Ki Ye Sagai To Nahi,
Ab Andhera Mitega Kaise..
Tum Bolo Tune Mere Ghar Mein Shamma Jalai To Nahi!

दर्द गूंज रहा दिल में शहनाई की तरह,
जिस्म से मौत की ये सगाई तो नहीं,
अब अंधेरा मिटेगा कैसे..
तुम बोलो तूने मेरे घर में शम्मा जलाई तो नहीं!



Dil Pe Kya Guzri Wo Anjaan Kya Jane,
Pyar Kise Kehte Hai Wo Nadan Kya Jane,
Hawa Ke Sath Udh Gaya Ghar Is Parinde Ka.Kaise Bana Tha..
Ghosla Wo Tufaan Kya Jane!

दिल पे क्या गुज़री वो अनजान क्या जाने,
प्यार किसे कहते है वो नादान क्या जाने,
हवा के साथ उड़ गया घर इस परिंदे का..
कैसे बना था..
घोसला वो तूफान क्या जाने।



Ungliyan Thak Gayi..
Patthar Tarashte Tarashte,
Jab Surat Bani Yaar Ki..
Toh Kharidaar Aa Gaye.



Tujhse Bhi Sikwa Main Kyakarun Bata,
Khud Par Hi Mujhko Jab Aitbaar Nahi Hai,

Teri Bhi Kya Khta Mahol Hi Aisa Hai,
Nibhata Is Daur Mein Koi Pyar Nahi Hai.



Ek Kahani Si Dil Par Likhi Reh Gayi,
Wo Nazar Jo Mujhe Dekhti Reh Gayi,
Log Aakar Bazaar Mein Bik Bhi Gaye,
Meri Keemat Lagi Ki Lagi Reh Gayi.



Woh Mousam Pyar Ka Eh Mere Dost,
Na Jaane Kyu Hardam Yaad Aata Hai,
Jab Bhi Hota Hai Akela Kabhi Hum,
Na Jaane Kyu Isko Bahut Rulata Hai.



Karoge Yaad Tum Yaro,
Ki Main Kahta Tha Kabhi,
Doulat Aur Mohabbat Ka,
Na Kabhi Bhi Mel Hota Hai,
Hoti Hai Jinke Liye Doulat Hi Sab Se Badhkar,
Unke Liye Toh Yeh Mohabbat,
Fakt Ek Khel Hota Hai.



Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahi Dekha.
Ankho Me Rahe Dil Me Utarkar Nahi Dekha.

Patthar Samjhte Hai Mere Chahne Wale Mujhe.
Par Mom Hu Main Kisi Ne Chu Kar Nahi Dekha.

कश्ती के मुसाफिर ने समन्दर नहीं देखा,
आँखों को देखा पर दिल मे उतर कर नहीं देखा,
पत्थर समझते है मेरे चाहने वाले मुझे,
हम तो मोम है किसी ने छूकर नहीं देखा।



Kuchh Kadam Hum Chale,
Kuchh Kadam Tum Chale,
Farq Sirf Itna Raha,
Hum Chale To Faasla Ghat-Ta Gaya,
Aur Tum Chale To Faasla Badhta Gaya.



चाहत वो नहीं जो जान देती है,
चाहत वो नहीं जो मुस्कान देती है,
ऐ दोस्त चाहत तो वो है,
जो पानी में गिरा आंसू पहचान लेती हैं.

Chahat Wo Nahi Jo Jaan Deti Hai,
Chahat Wo Nahi Jo Muskaan Deti Hai,
Ae Dost Chahat To Wo Hai,
Jo Pani Mein Gira Aansoo Pehchan Leti Hein.



Tut Jaye Khwab To Judne Ki Aas Kya Rkhna,
Palko Ke Bhigne Ka Hisab Kya Rakhna,
Bas Isliye Muskura Dete Hain Hum,
Ki Apni Udasi Se Kisi Ko Udas Kya Rakhna.



Humko Na Mili Khusiyan Kisko Dosh Dein Yaaro,
Bad Naseebon Ki List Mein Naam Hamara Bhi Ahi,

Dekar Jakham Rulakar Hamein Khush Na Hona Tum,
Dagabaajon Ki Kitab Mein Naam Tumhara Bhi Hai.



उनके आने के इंतज़ार में हमनें,
सारे रास्ते दिएँ से जलाकर रोशन कर दिए,
उन्होंने सोचा कि मिलने का वादा तो रात का था,
वो सुबह समझ कर वापस चल दिए।



इस उम्मीद से मत फिसलो,
कि तुम्हें कोई उठा लेगा,
सोच कर मत डूबो दरिया में,
कि तुम्हें कोई बचा लेगा…ये दुनिया तो एक अड्डा है,
तमाशबीनों का दोस्तों…गर देखा तुम्हें मुसीबत में तो,
यहां हर कोई मज़ा लेगा…



Jaisa Karoge Aap Vaisa Hi Paaoge Sada,

Aaj Sabke Hoton Par Yeh Sachhayi Mili,

Magar Kaise Maan Lun Main Is Baat Ko Sach,

Mujhko Toh Wafa Ke Badle Bewafayi Mili.



रोज़ आता है मेरेदिल को तस्सली देने
ख़याल ऐ यार कोमेरा खयाल कितना है

Roj Aata Hai Meredil Ko Tasalli Dene

khayaal E-Yaar Komera Khyaal Yaar Ko Kitna Hai.



Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun,
Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun,
Inhi Raahon Se Aayenge Bhale He Baad Mere Marne Ke,
Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun!



फिर तेरा चर्चा हुआ,
आँखें हमारी नम हुई,
धड़कने फिर बढ़ गई,
साँस फिर बेदम हुई,
चांदनी की रात थी,
तारों का पहरा भी था,
इसलिए ही शायद गम की आतिशबाजी कम हुई|



Main Kyu Pukaru Use..
Ki Lout Aao,

Kya Use Khaber Nahi..
Ki Kuchh Nahi Mere Pass Uske Siwaye.



Dil Mein Tamannaon Ko Dabana Seekh Liya,
Gham Ko Ankhon Mein Chhipana Seekh Liya,
Mere Chahre Se Kahin Koi Baat Zaahir Na Ho,
Daba Ke Hothon Ko Hamne Muskrana Seekh Liya



Kya Lena Mujhko Duniya Se,
Mujhe Tujhse Hi Bas Kaam Hai,

Tere Dil Ki Mujhko Khabar Nahi,
Mere Dil Mein Bas Tera Naam Hai,

Woh Mujhko Rulakar Hans Diya,
Mera Dil Thukrakar Hans Diya,

Meri Jholi Bhar Kar Kaanto Se,
Mujhe Paas Bithakar Hans Diya.



जो लोग एक तरफा प्यार करते है
अपनी ज़िन्दगी को खुद बर्बाद करते है !

नहीं मिलता बिना नसीब के कुछ भी,
फिर भी लोग खुद पर अत्याचार करते है !



Dil Ka Dard Dil Me Rakha,
Koi Na Mila Jis Pe Duniya Luta Dete,

Sab Ne Diya Dhoka Humien,
Kis Kis Ko Hum Saza Sunate.



Taqdeer Ke Aaine Me Meri Tasveer Kho Gyi,
Aaj Hamesha Ke Liye Meri Rooh So Gyi,
Mohabbat Karke Kya Mila Mujhe,
Woh Kal Meri Thi..
Aaj Kisi Aur Ki Ho Gyi.



Khafa Hokar Humse Fir Maan Jana,
Yahi Ada Toh Humko Bahut Bhati Hai,

Baaki Toh Sabkuchh Bhool Chuke Hain Hum,
Magar Sagar Woh Bewafa Bahut Yaad Aati Hai.



कदम कदम पर बहारो ने साथ छोडा,
जरुरत पडने पर यारो ने साथ छोडा,
बादा किया सितारोँ ने साथ निभाने का,
सुबह होने सितारो ने साथ छोडा.

Kadam Kadam Pe Baharon Ne Saath Chhoda,
Zaroorat Padne Par Yaaron Ne Saath Chhoda,
Vaada Kiya Sitaron Ne Saath Dene Ka,
Subah Hone Par Sitaron Ne Bhi Saath Chhoda.



Dard Ki Har Ek Hadd Se Ab Guzar Gaya Hon Main,
Phir Kabhi Na Simtunga Youn Bikhar Gaya Hon Main,

Mout Bas Naheen Aati Rooh Ke Nikalne Se,
Sans Mujh Main Baqi Hai Phir Bhi Mer Gaya Hon Main,

Zindagi Main Jitni Bhi Roshni Thi Uss Se Thi,
Mustaqil Andhero Main Ab Utar Gaya Hon Main,

Baam O Darr Bhi Us Ke Baad Ho Gaye Hain You Khamosh,
Aur Dil Ulajhta Hai Jabb Bhi Ghar Gaya Hon Main,

Us Ka Sath Jab Tak Tha Rung Rung Mausam The,
Bas Khizaan Ke Mausam Main Ab Thhehar Gaya Hon Main.



Zuki Palko Se Uska Didar Kiya,
Sab Kuch Bhulakar Uska Intzar Kiya,
Vo Jan Hi Na Paya Jazbat Mere,
Jise Duniya Mein Mene Sabse Jyada Pyar Kiya..



Yeh Rog Ishq Ka Bahut Bura Hai Dosto,
Aap Is Rog Se Khud Ko Bacha Lena,
Agar Hansi Koi Najrein Milana Bhi Chahe,
Toh Aap Najron Ko Apni Hata Lena.



इतनी बदसलूकी ना कर ऐ जिदंगी,
हम कौन सा यहाँ बार बार आने वाले है,
सुना है जिदंगी इम्तहान लेती है,
यहाँ तो इम्तहानों ने जिदंगी ले रखी है|



Teer Ka Dard Sa Lagta Hai Seene Mein Mere,
Jab Kaapata Dekh Bhi Tum Muskura Dete Ho,
Log To Murde Ko Bhi Seene Se Laga Kar Pyar Karte Hain,
Phir Kyun Mere Kareeb Aakar Tum Har Baar Zakhm Naya Dete Ho.

तीर का दर्द सा लगता है सीने में मेरे,
जब कांपता देख भी तुम मुस्कुरा देते हो,
लोग तो मुर्दे को भी सीने से लगा कर प्यार करते हैं,
फिर क्यों मेरे करीब आकर तुम हर बार ज़ख्म नया देते हो।



Pyar Ne Ye Kaisa Tohfa De Diya,
Mujhko Gumo Ne Pathar Bana Diya,
Teri Yaadon Main Hi Kat Gayi Ye Umar,
Kehta Raha Tujhe Kab Ka Bhula Diya.

प्यार ने ये कैसा तोहफा दे दिया,
मुझको गुमो ने पत्थर बना दिया.तेरी यादों मैं ही कट गयी ये उमर,
कहता रहा तुझे कब का भुला दिया!



Rishta Wo Nahi Jisme Jeet Aur Haar Ho,
Rishta Wo Nahi Jisme Izhaar Aur Inkaar Ho,
Rishta To Wo Hai Jisme Kisi Ki..
Ummid Na Ho Lekin Phir Bhi Uska Intejar Ho.

रिश्ता वो नहीं जिसमे जीत और हार हो,
रिश्ता वो नहीं जिसमे इजहार और इंकार हो,
रिश्ता तो वो है जिसमे किसी की..
उम्मीद ना हो लेकिन फिर भी उसका इन्तेजार हो।



Mana Ke Chot Phoolon Se Khayi Tumne,
Dard Kaanton Ka Magar Mera Hai,

Rah Ke Charon Mein,
Sada Hansna Hansana Toofan,
Aajkal Kaam Yehi Subah Sham Mera Hai,

Har Saans Par Mout De Rahi Dastak Jahan,
Kahte Hain Jise Rajdhani Aisa Sahar Mera Hai,

Sukun E Zindagi Le Gaya Chhinkar Jo,
Koi Aur Nahi Woh Humsafar Mera Hai.



Laakh Bandisen Laga Le Duniya Hum Par,
Magar Dil Par Kaabu Nahi Kar Payenge,
Woh Lamha Aakhiri Hoga Zeevan Ka Hamara,
Jis Din Hum Yaar Tujhe Bhul Jayenge.



Humne Tere Pyar Ki Khatir,
Duniya Ko Thukraya Tha,
Saare Jag Ko Chhod Ke Humne Tumko Meet Banaya Tha,

Fir Bhio Sangdil Chhod Ke Tanha,
Tune Apne Khan Ko,
Gair Ki Sej Sajayi Tune,
Gair Ka Saath Nibhaya Tha,

Tujh Se Hai Na Shikwa,
Na Gila Hai Rakibon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se,

Tera Who Pyar Mujhe,
Raaton Ko Jagayega,
Tone Mujhe Thukraya Toh,
Chain Nahi Aayega,

Hoga Na Ilaaj Mera,
Kabhi Bhi Tabijon Se,
Duniya Mein Milta Hai Pyar Toh Naseebon Se.

Baki Nahi Alfaz Baya Karne Ko Meri Mohhabat Ke Dasta,
Ho Sake To Tu Hi Ab Kuch Yaki Karle,
Ess Daur Main Ab Tah Umar Sochne Ke Jajba Nahi Hota Hai Kahi,
Hum To Akhri Lamhe Main Bhi Tere Naam Ko Sath Liye Jane Ka Jaaba Rakte Hai.



Tag:
Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri

Read More

Best Sad Shayari - सैड शायरी - गम भरी शायरी | अध्याय 12

February 10, 2023

सैड शायरी - गम भरी शायरी


sad shayari,sad shayari status,sad shayari whatsapp status,tik tok sad shayari,sad poetry,tik tok shayari,sad shadi shayari,| sad shayari |,breakup shayari,sad shayari urdu,urdu sad shayari,2 line sad shayari,tiktok sad shayari,sad shayari on love,sad shayari to line
Pyar Kya Hai Ye Sikhaya Usne,
Pyar Ka Ehsas Dil Me Jagaya Usne,

Fir Jane Kyu Mujhe Bhulaya Usne…!
Ab Kya Kahu Mujhe Kaisa Pyar Sikhaya Usne..!


Woh Karte Hai Baat Ishq Ki,
Par Ishq Ke Dard Ka Unhe Ehsas Nahi,

Ishq Woh Chand Hai Jo Dikhta Hai Sab Ko,
Par Usse Pana Sab Ke Bas Ka Kaam Nahi.


दिल से रोये मगर होंठो से मुस्कुरा बेठे,
यूँ ही हम किसी से वफ़ा निभा बेठे,

वो हमे एक लम्हा न दे पाए अपने प्यार का,
और हम उनके लिये जिंदगी लुटा बेठे!

Dil Se Roye Magar Honto Se Muskura Beithe,
Yunhi Hum Kisi Se Wafa Nibha Beithe,


Wo Hame Ek Lamha Na De Paye Apne Pyar Ka,
Aur Hum Unke Liye Apni Zindagi Gawa Beithe.


Wo Kah Kar Gai Thi Ki Lautkar Aaungi,
Mein Intajaar Na Karata To Kya Karta,

Wo Jhooth Bhi Bol Rahi Thi Bade Salike Se,
Main Etabar Na Karta To Kya Karta.

वो कह कर गई थी कि लौटकर आऊँगी,
मैं इंतजार ना करता तो क्या करता,


वो झूठ भी बोल रही थी बड़े सलीके से,
मैं एतबार ना करता तो क्या करता।


उनको ये शिकायत है कि मैं बेवफाई पे नहीं लिखता,
और मैं सोचता हूं कि मैं उनकी रुसवाई पे नहीं लिखता..

ख़ुद अपने से ज्यादा बुरा जमाने में कौन है?
मैं इसलिए औरों की बुराई पे नहीं लिखता..

कुछ तो आदत से मजबूर हैं
और कुछ फितरतों की पसंद है
जख्म कितने भी गहरे हों,
मैं उनकी दुहाई पे नहीं लिखता…..

Unko Ye Shikayat Hai Ki Main Bewafai Pe Nahi Likhta,
Aur Main Sochta Hun Ki Main Unki Ruswai Pe Nahi Likhta,

Khud Apne Se Jyada Bura Jamane Me Kaun Hai,
Is Liye Main Auron Ki Buraai Pe Nahi Likhta,

Kuchh Toh Aadaton Se Majbur Hain 

Aur Kuchh Fiaraton Ki Pasand Hai,

Jakhm Kitne Bhi Gehre Ho,
Main Unki Duhai Pe Nahi Likhta,


Tumse Mila Aur Milkar Laga Ki Milna Hi Bas Apna Tha,
Duriyan Badhi Fasle Badhe Aur Laga Ki Fasle Hi Manzile Thi,

Chhitiz Ko Dekh Aakash Ko Laga Ki Na Mil Pana Ki Uska Mukam Hai,
Subah Ki Krno Ke Dekh Nisha Ko Laga Ki Bhor Hi Uska Anjaam Hai,

Anjamen Gulishtan To Dekho Ki Phoolon Se Khushboo Chali Gaye,
Badnaam Shaam To Dekho Ki Saaz Se Awaz Chali Gaye,

Jana Hi Uski Fidrat Thi Par Aisa Laga Ki,
Jaate Jaate Meri Sansar Chali Gaye.


Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De,
Tera Mujrim Hoon,
Mujhe Doob Ke Mar Jaane De


Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko,
Sonchta Hu Kahu Tujhse….
Magar Jaane De.


Bas Aur Do Kadam Mere Saath Chalna Yaaro,
Us Se Aage Main Khud Tumse Bichhud Jaaunga,

Aage Intezaar Kar Rahi Hai Mahbooba Mout Meri,
Uske Saath Main Khud Tumse Aage Nikal Jaaunga.


Is Dil Ki Mohabbat Jan Nahi Paye,
Ek Din Chale Jayenge Is Duniya Se,

Or Wo Kahenge ..
Lout Aao Hum Aapko Pahchan Nahi Paye.


Pasand Karta Hun Har Haseeno Ko,
Magar Dil Mein Basane Ke Liye Jagah Nahi,

Thukra Dete Hain Begane Samajhkar,
Uski Hoti Koi Thukraane Ki Vajah Nahi.


Hum Markar Bhi Dikha Denge Unke Liye,
Kya Woh Fir Bhi Na Humko Chahenge,

Jab Jalaya Jaayege Hum Unke Saamne,
Kya Hamare Liye Do Aansu Bhi Na Bahayenge.


Apno Ne Hamein Yeh Shikhaya Hai,
Ki Bewafayi Kya Hoti Hai,

Door Unse Huye Toh Jana,
Ki Judai Kya Hoti Hai.


Mujhe Kisi Ne Bewafa Ka Naam Diya,
Sathi Ne Jaise Jahar Ka Jaam Diya,

Jo Kabhi Kaha Karte The Bhula Mat Dena,
Unhone Hi Bhul Jane Ka Paigam Diya.


Pa Liya Tha Duniya Ki Sabse Hansi Ko,
Is Baat Ka Toh Hamein Kabhi Garur Nahi Tha,

Woh Paas Rah Paate Humare Kuchh Aur Din,
Shayad Yeh Hamare Naseeb Ko Manjoor Nahi Tha.


Image
उसे उड़ने का शौक था..
और हमें उसके प्यार की कैद पसंद थी..

वो शौक पूरा करने उड़ गयी जो..
आखिरी सांस तक साथ देने को रजामंद थी|


उल्फत का अक्सर यही दस्तूर होता है,
जिसे चाहो वही अपने से दूर होता है,

दिल टूटकर बिखरता है इस कदर,
जैसे कोई कांच का खिलौना चूर-चूर होता है!

Ulfat Ka Aksar Yehi Dastur Hota Hai,
Jise Chaho Wahi Apne Se Dur Hota Hai,


Dil Tutkar Bikharta Hai Is Kadar Jaise

Koi Kanch Ka Khilona Chur-Chur Hota Hai.


Mohabbat Ada Hai Uski ..
Aur Mera Emaan Hai,

Usi Ke Dil Me Nahi Hum..
Jo Hamari Jaan Hai.


Bewafa Jahan Ki Bewafayi Raat Aayi,
Mere Pyar Ki Wafayi Na Raas Aayi,

Eh Sanam Kyamat Tak Hamein Yaad Rakhoge,
Ke Tum Bhi Kabhi Pyar Ko Tadpoge.


Dil Karta Hai Aag Laga Doon Is Zamaane Ko,
Jisne Dard Hi Dard Diya Har Diwaane Ko,

Har Pal Zakham Khaya Hai Dil Ne Mere,
Ab Kya Rah Gaya Aur Aajmaane Ko.


Sab Kuchh Mil Jata Hai Duniya Mein Magar,
Yaad Rakhna Ki Bas Maa Baap Nahi Milte,

Murjha Kar Gir Jaaye Ek Baar Dali Se,
Yeh Aise Phool Hain Jo Dobara Nahi Khilte.


Ae Dost Jab Bhi Tu Udas Hoga,
Hamara Khayal Tere Pas Hoga,

Dil Ki Gaheraiyon Se Jab Bhi Karoge Yaad Mujhe,
Tumhe Hamare Kareeb Hone Ka Ehsaas Hoga,


ऐ दोस्त जब भी तू उदास होगा,
मेरा ख्याल तेरे आस-पास होगा,


दिल की गहराईयों से जब भी करोगे याद हमें,
तुम्हें..
हमारे करीब होने का एहसास होगा।


Khusiyon Se Toh Kuchh Bhi Na Hua Haasil,
Balki In Ki Vajah Se Lakhon Jakham Khaye,

Jinhe Samjhate The Bure Wohi Gham Aaj Dekhiye,
Hamein Inki Shohrat Kis Mukam Par Le Aaye.


Meri Yaad Ayegi Tumhe Jab Door Chali Jaungi
door Itna Ki Kabhi Lout Ke Na Aaungi.

Ab Tak Tumhare Dil Me Rehti Thi

fir Tumhari Yaado Me Bas Jaungi.

Yaad Ayegi Baate Aur Mulakate Magar

kabhi Tumse Mil Na Paungi.

Tadpoge Tum Bhi Mere Bare Me Soch Kar

magar Tab Mein Nazar Na Aaungi.

Tumhe Jaan Se Jyda Chahti Hu

par Shayad Sabit Na Kar Paungi.

Log Kahte He Pyaar Amar Hota Hai

fir To Mein Khud Ko Hi Amar Kar Jaungi.

Mere Pyaar Ko Sahara Dena Tab Jab

aakhri Dum Par Tumhe Bulaungi

meri Yaad Aaye To Rat Ko Bahar Aakar Dekhna

me Ek Chamkta Hua Tara Ban Aaungi.

Aansu Mat Bahana Mujhe Yaad Karke

warna Me Naraz Ho Jaungi.

Suna He Sath Janam Milte He Insaan Ko Waada Raha

baki 6 Janam Tumhare Sath Bitaungiiii…


Yeh Shayari Jo Likhta Hun Main Dosto,
Shayari Nahi Hai Mere Dil Ka Haal Hai,

Yeh Khata Nahi Unki Jo Mujhe Gham Dete Hain,
Ghamon Se Toh Mera Janmon Ka Haal Hai.


Kash Ke Hum Unke Dil Pe Raaz Karte,
Jo Kal Tha Wohi Pyar Aaj Karte,

Hume Gum Nahi Unki Bewafai Ka,
Bas Armaan Tha Ki Hum Bhi Apne Pyar Pe Naaz Karte.


इस दिल की दास्ताँ भी बड़ी अजीब होती है,
बड़ी मुस्किल से इसे ख़ुशी नसीब होती है,

किसी के पास आने पर ख़ुशी हो न हो,
पर दूर जाने पर बड़ी तकलीफ होती है!


Afsos Hai Hamein Us Ghadi Ka,
Jab Tumse Dil Laga Baithe,

Tere Pyar Ki Khatir Eh Sandil,
Hum Apni Har Khusi Ganva Baithe,


Agar Tujhe Bhulana Aasan Hota,
Toh Kab Ke Bhula Dete,


Agar Mere Dil Mein Tera Naam Na Hota,
Toh Kab Ka Is Dil Ko Jala Dete..


Apni Bebasi Par Aaj Fir Mujhe Rona Sa Aaya,
Dusro Ko Nahi Mene Toh Apno Ko Ajmaya,

Maine Har Ek Dost Ki Tanhayi Door Ki,
Fir B Khud Ko Har Mode Par Tanha Hi Paya.


छोड दो तन्हाई मे मुझको यारो..
साथ मेरे रहकर क्या पाओगे..

अगर हो गई आपको भी मोहब्बत कभी..
मेरी तरह तुम भी पछताओगे..


Mohabbat Bhi Teri Thi Wo Nafrat Bhi Teri Thi,
Wo Apnaane Aur Thukrane Ki Ada Bhi Teri Thi,

Hum Apni Wafa Ke Insaaf Ka Insaaf Kaise Maange,
Wo Shehr Bhi Tera Tha Wo Adalat Bhi Teri Thi.


Taqdir Banane Wale Tune Bhi Had Kar Di,
Taqdir Mein Kisi Aur Ka Naam Likha,
Aurdil Mein Chahat Ek Farebi Ki Bhar Di.


हमनें अपनी साँसों पर उनका नाम लिख लिया,
नहीं जानते थे कि हमनें कुछ गलत किया,

वो प्यार का वादा करके हमसे मुकर गए,
ख़ैर उनकी बेवाफाई से हमनें कुछ तो सबक लिया!


Bichadte Hue Yaad De Jayenge,
Khud Rone Se Pehle Har Khushi De Jayenge,

Tumhe Gila Hai Hum Baat Nahi Karte,
Vada Raha Sans Rukne Se Pehle,
Har Baat Keh Jaayenge.


Mere Saber Ka Imtihan Mat Lo,
Dil To Le Liya Ab Jaan Mat Lo,

Pukarne Lage Hai Mujhe Log Tere Naam Se Ab,
Kam Se Kam Mujhse Meri Pehchan Mat Lo.


Tujhe Jana Tere Qareeb Aane Ke Baad,
Tujhe Samjha Tujhse Dil Lagane Ke Baad,

Gum Apna Nahi Gum To Tera Hai Mujhe,
Koun Chahega Tuje Itna Mere Jane K Baad.


Woh De Denge Humko Daga Kabhi Na Kabhi,
Yeh Dil Hamara Humko Bata Chuka Tha,

Magar Kya Karta Main Bhi Yaaro,
Dil Iska Us Bewafa Pe Aa Chuka Tha.


Dil Toot Jata Hai Par Khanak Nahi Hoti,
Har Dhadkan Roti Hai Par Palak Nahi Roti,

Mohabbat Naam Hai Khuda Kee Bandagi Ka,
Jo Sharton Pe Mile Woh Mohabbat Nahi Hoti.


Hume Tumse Mohabbat Hai Itni,
Phir Bhi Wafa Tum Nibhate Nahi,

Tumhe Mohabbat Hai Gairo Se Itni,
Jitni Nafrat Hum Chah K Bhi Tumse Karpate Nahi.


अनजाने में यूँ ही हम दिल गँवा बैठे,
इस प्यार में कैसे धोखा खा बैठे,

उनसे क्या गिला करें..
भूल तो हमारी थीजो बिना दिलवालों से ही दिल लगा बैठे।

Anjane Mein Hum Apna Dil Gawa Baithe,
Is Pyar Me Kaisa Dhoka Kar Baithe,


Unse Kya Gila Kare… Bhool Hamari Thi,
Jo Bina Dilwalon Se Dil Laga Baithe.


Hasne Ki Justju Mein Dabaya Jo Dard Ko,
Aansoo Hamari Aankh Mein Pathar Ke Ho Gaye!

Aye Khuda Log Banaye The Pathar Ke Agar,
Mere Ehsas Ko Sheeshesa Sa Na Banaya Hota..

Aansuu Bhi Meri Aankh Ke Ab Khusshk Ho Gaye,
Tu Ne Mere Khuloos Ki Keemat Bhi Cheen Li..

Likhna To Tha Ke Khush Hoon Tere Bager Bhi,
Aansuu Magar Kalam Se Pehle Hi Girr Gaye.

Meri Aankhon Main Ansu Aaye Na Hote,
Wo Humein Dekh Kar Muskuraye Na Hote.

Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkoon Ko Parhne Ka,
To Behte Hue Ansoon Aksar Baat Kerte Hain.

Aankhon Mein Namii Si Hai,
Chup Chup Se Woh Baithe Hai,

Nazuk Si Nigaahon Mein
Nazuk Saa Fasanaa Hai.

Raat Bhar Rooti Rahi Shama Bhi,
Meri Be’Naam Arzoo Ki Tarah.

Bedard Zamane Ka Bahana Sa Bana Kar,
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Me Aksar.

Hawa Se Lapati Hoi Siskion Se Lagta Hai,
Meri Kahani Kisi Aur Ne Bhi Dhohrai.


Is Liye Karta Nahi Yeh Mohabbat Kisi Se,
Judayi Yaar Ki Is Se Sahi Jaayegi Nahi,

Koi Puchh Baitha Jo Sabab Hamare Rone Ka,
Dastaa Pyar Ki Bhi Kahi Jaayegi Nahi.


अलविदा कह के जब वौ चल दिये,
इन आखो ने सारे हसीन ख्वाब खो दिये,

दर्द तब नही हुआ जब वो हमे छोड़ दिये,
दुख तो तब हुआ जब वो अलविदा कहते ही खुद रो दिये..

Alvida Kehkar Jab Wo Chal Diye,
Ankhon Ne Sare Haseen Khwab Kho Diye,


Dard Tab Nahi Hua Jab Wo Humein Chhor Gaye,
Dard To Tab Hua Jab Alvida Kehkar Wo Khud Ro Diye..


Aakhri Saanse Hai Meri Ab To Aajaa,
Khuli Hai Palke Tu Jhalak Dikha Jaa,

Mar Na Jaye Kahi Tere Intezaar Mein,
Aakhri Waqt To Surat Dikha Jaa.


Ab Toh Mohabbat Mein ..
Lutne Chale,
Jeene Ki Khwahish Me ..
Marne Chale.


Log Milte Hain Mujse Aur Kehte Hain 
Ki Tujhmein Ye Kami Hai,

Ke Tu Ho Jata Hai Sabka Par 

Kisiko Apna Manta Nahi,

Unhi Logon Se Kuch Arse Main Maine 

Ye Puchu Ki Kaise Ho!

Wohi Palat Kar Kehte Hain 

Main Tumhe Janta Nahi….


Door Hi Rahna Hai In Hasino Se Hamein,
Paas Kabhi Inhein Apne Lana Nahi Hai,

Tod Dete Hain Dil Ko Pathardil Hain Yeh,
Dil Inse Apna Lagaana Nahi Hai.


Khuda Ne Jab Ishq Banaya Hoga,
To Khud Ajmaya Hoga,

Hamari To Aukaat Hi Kya Hai,
Is Ishq Ne Khuda Ko Bhi Rulaya Hoga.

खुदा ने जब इश्क़ बनाया होगा,
तो खुद आज़माया होगा,


हमारी तो औकात ही क्या है,
इस इश्क़ ने खुदा को भी रुलाया होगा !


Bahut Mehngi Hui Ab To Wafa,
Log Kaha Milte Hai..

Jo Sachcha Pyar Kare,
Mohabbat To Ban Gai Hai Ab Saza,


Aashiq Kaha Milte Hai,
Jo Sang-Sang Ishq Ka Dariya Paar Kare!


बहुत महँगी हुई अब तो वफा..
लोग कहाँ मिलते हैं,


जो सच्चा प्यार करें

मोहब्बत तो बन गई है अब सजा..

आशिक कहाँ मिलते हैं,
जो संग-संग इश्क का दरिया पार करें!


Jab Bhi Likhta Hu, Achha Tere Baare Mein,
Na Jaane Kyu Mere Haath Ruk Se Jaate Hain,


Bahut Bure Ho Tum,
Na Socha Tumne Itna,

Ki,
Tute Huye Dil,
Kabhi Na Jud Paate Hain.


Zindagi Mujhse Yun Daga Na Kar,
Main Zinda Rahu Bin Uske Ye Dua Na Kar,

Dekhta Hai Use Koi To Hoti Hai Jalan,
Ai Hawa Tu Bhi Use Chuaa Na Kar.


Kitne Armaano Ko Dafnaye Baitha Hun,
Kitne Zakhmo Ko Dabaye Baitha Hun,

Milna Muskil Hai Unse Is Daur Mein,
Phir Bhi Deedar Ki Aas Lagaye Baitha Hun.


Zindagi Ki Raahon Par Kabhi Yu Bhi Hota Hai,
Insaan Khud Ro Padta Hai Akele Mein,
Kisi Ko Hausla Dene Ke Baad..


Khwaab Itne To Dagabaaz Na The Mere Kabhi,
Khwaab Itni To Meri Neend Nahi Chhalte The,

Raat Ki Baat Kya Ik Daur Me Ye Khanabdosh,
Din Nikalte Hi Mere Saath Saath Chalte The.


Nafratein Lakh Mili Par Kisi Ki Mohbbt Na Mili,
Zindagi Beet Gai Magar Rahat Na Mili,

Teri Mehfil Me Har Ek Ko Hasta Dekha,
Ek Mein Hi Tha Jise Hasne Ki Ijazat Na Mili..


Aaj Socha Toh Aansu Bhar Aaye,
Mudatein Ho Gayi Muskuraye,

Har Kadam Par Udhar Mud Ke Dekha

unki Mahfil Se Hum Uthh Toh Aaye,

Dil Ki Naajuk Ragein Tootati Hain

yaad Itna Bhi Koi Na Aaye,

Rah Gayi Zindagi Dard Ban Ke

dard Dil Mein Chhupaye Chhupaye.


Raat Gumsum Hai Magar Chan Khamosh Nahi,
Kaise Keh Du Aaj Fir Hosh Nahi,

Aisa Duba Teri Aakho Ki Gehrai Main,
Haath Mein Jam Hai Magar Pine Ka Hosh Nahi.


कहाँ से लाऊ हुनर उसे मनाने का;
कोई जवाब नहीं था उसके रूठ जाने का;

मोहब्बत में सजा मुझे ही मिलनी थी;

क्यूंकी जुर्म मैंने किया था उससे दिल लगाने का।

Kaha Se Lau Hunar Use Manane Ka,
Koi Jawab Nai Tha Uske Rooth Jane Ka,


Mohabbat Me Saza Muje Hi Milni Thi,
Kyuki Jurm Maine Kiya Unse Dil Lagane Ka.


Woh Andhera Hi Sahi Tha Ki Kadam Rah Par The,
Roshni Le Aaye Muje Manzil Se Bahot Door.


Jindagi Dene Waale Marta Chhod Gaye,
Sath Dene Waale Tanhaa Chhod Gaye,

Jab Jrurat Padi Hme Apne Hamsafar Kii,
Vo Sath Chalne Waale Bhi Apna Rasta Mod Gaye.


दुनिया में तेरा हुस्न मेरी जां सलामत रहे
सदियों तलक जमीं पे तेरी कयामत रहे

और भी दुनिया में आएंगे आशिक कितने

उनकी आंखों में तुमको देखने की चाहत रहे

इश्क के तमाशे में हमेशा तेरे किरदार से

दर्द और खामोशी के अश्कों की शिकायत रहे

खुमारियों के चंद लम्हों का है तेरा सुरूर

उसमें डूबकर मरने से दिल को राहत रहे


Eh Khuda Bula Le Ab Toh Apne Paas Mujhe,
Kyu Mujhse Tu Aur Imtehaan Liye Jata Hai,

Ab Kisi Ko Jarurat Nahi Hai Jahan Mein Meri,
Ye Insaan Yahan Par Bematlab Jiye Jata Hai.


आज भीगी है पलके किसी की याद में
आकाश भी सिमट गया हैं अपने आप में
ओस की बूँद ऐसी गिरी है ज़मीन पर

मानो चाँद भी रोया हो उनकी याद में.…

Aaj Bhigi Hai Palke Kisi Ki Yaad Mein,
Aakash Bhi Simat Gaya Hai Apne Aap Mein,


Oas Ki Boonde Aisi Giri Hai Jameen Per,
Maano Chand Bhi Roya Ho Uski Yaad Mein.


Jinhe Hum Pyar Karte Hain,
Unko Bata Bhi Nahi Sakte,

Dekhiye Majboori Sagar Ki,
Unhe Hum Paa Bhi Nahi Sakte,

Jo Pal Gujare Saath Unke,
Woh Pal Bahut Yaad Aate Hain,

Jab Bhi Hum Tanha Hote Hain,
Yeh Humko Bahut Rulate Hain.


Na Samajh Paya Main Aaj Tak Teri Duniya Ko,
Mujhko Zindagi Teri Na Kabhi Raash Aayi,

Jis Kisi Cheej Ko Bhi Kabhi Samjha Apna,
Bhule Se Bhi Kabhi Woh Na Mere Paas Aayi.


Tanhai Se Dar Nahi Lagta Mujhe,
Mahfil Se Ghabra Jata Hun Main,

Koshish Karta Hun Yaadein Dafnane Ki,
Magar Tujhko Bhool Nahi Pata Hun Main.


Wo Raat Dard Aur Sitam Ki Raat Hogi
jis Raat Rukhsat Unki Baraat Hogi,

Uth Jaate Hain Yeh Soch Kar Neend Se

ki Kisi Gair K Bahon Me Hmari Sari Kaynaat Hogi.

वो रात दर्द और सितम की रात होगी,
जिस रात रुखसत उनकी बारात होगी,


उठ जाता हूँ मैं ये सोचकर नींद से अक्सर,
कि एक गैर की बाहों में मेरी सारी कायनात होगी।


Har Basti Hai Meri,
Yeh Nagar Mera Hai,
Yeh Baat Alag Rahne Ko Na Ghar Mera Hai,


Hai Toh Sisha Ise Pathar Se Bhi Takrata Hun,
Chot Khakar Bhi Na Tuta Aisa Jigar Mera Hai,


Mujhe Har Sakal Mein Woh Sakal Najar Aati Hai,
Manzile Khuda Kahte Jise Bih Dagar Mera Hai,


Mubarak Ho Tujhe Aab E Hayat Ke Jharne,
Pi Gaya Sukraat Jise Aisa Zahar Mera Hai.


Ho Chuki Mulakaat Abhi Salaam Baaki Hai,
Tumhare Naam Ki Do Ghoont Sharaab Baki Hai,


Tumko Mubarak Ho Khushiyoon Ka Shamyaana,
Mere Naseeb Me Abhi Do Gaz Zameen Baki Hai.


Barsat Ki Bheegi Raaton Mein Fir Koi Suhani Yaad Aayi,
Kuchh Apna Jamana Yaad Aaya Kuchh Unki Jawani Yaad Aayi,


Hum Bhool Chuke The Jisne Hamein Duniya Mein Akela Chhor Diya,
Jab Gaur Kiya To Ek Surat Jaani Pehchani Yaad Aayi.


Is Zamane Ki Baat Mat Karna Humse,
Is Zamane Ke Saath Toh Hum Chal Nahi Sakte,

Yeh Toh Badlata Hai Rang Girgit Ki Tarah,
Magar Hum Iski Tarah Rang Badal Nahi Sakte.


Tera Khayal Teri Baat Sath Chalti Hai,
Yeh Kaaynat Mere Sath Sath Chalti Hai,

Tamaam Umar Ka Milna Koi Bhula Bhi De,
Magar Woh Pehli Mulaqaat Sath Chalti Hai,

Bichadne Lagta Hai Jab Akhri Musafir Bhi,
To Ek Mauj-E-Khayalat Sath Chalti Hai,

Yeh Kaisi Raah Pe Dala Hai Waqt Ne Mujhko,
Na Koi Din Na Koi Raat Sath Chalti Hai,

Bohat Aziz Hai Ankhon Ko Aansuon Ki Jhadi,
Koi Bhi Rut Ho Yeh Barsaat Saath Chalti Hai.


Phool Bantata Hai Jaisesabko Hi Khusboo,
Aise Hi Tu Sab Ko Khusiyan Deta Ja,


Yeh Na Soch Koun Tera Apna Koun Begana,
Bas Sab Ke Hi Diye Gham Chup Chap Leta Ja.


Yeh Zindagi Toh Ghamon Ka
Dariya Banti Jaa Rahi Hai,

Mujhko Yaaro Kahin Bhi
Iska Kinara Najar Nahi Aata,

Jidhar Bhi Dekhta Hun
Kabhi Najar Uthakar Main Sagar,

Mujhko Kahin Par Bhi
Kisi Ka Sahara Najar Nahin Aata.


Jis Ke Liye Sab Kuch Luta Diya Humne,
Wo Kehte Hai Unko Bhula Diya Humne,

Gaye The Hum Unke Aansu Pochne,
Ilzam De Diya Ki Unko Rula Diya Humne.


रोते रहे तुम भी,
रोते रहे हम भी,
कहते रहे तुम भी और कहते रहे हम भी,


ना जाने इस ज़माने को हमारे इश्क़ से क्या नाराज़गी थी,
बस समझाते रहे तुम भी और समझाते रहे हम भी।


ना मिलता गम तो बर्बादी के अफसाने कहाँ जाते,
दुनिया अगर होती चमन तो वीराने कहाँ जाते,


चलो अच्छा हुआ अपनों में कोई ग़ैर तो निकला,
सभी अगर अपने होते तो बेगाने कहाँ जाते।

Na Milataa Gam To Barabaadi Ke Afasaane Kahaan Jaate,
Agar Duniyaa Hoti Chaman To Viraane Kahaan Jaate,


Chalo Achchhaa Huaa Apano Me Koi Gair To Nikalaa,
Sabhi Agar Apane Hote To Begaane Kahaan Jaate!


गुजारिश हमारी वह मान न सके,
मज़बूरी हमारी वह जान न सके,


कहते हैं मरने के बाद भी याद रखेंगे,
जीते जी जो हमें पहचान न सके.

Gujarish Hamari Woh Maan Na Sake,
Majburi Hamari Woh Jaan Na Sake,


Kehte Hain Marne Ke Baad Bhi Yaad Rakhenge,
Jeete Ji Jo Hame Pehchan Na Sake.


Yu To Hame Lakhon Mile The Apne,
Jo Milkar Chale Gaye,


Kuch Tere Jaise Bhi Mile,

Jo Vada Kar K Mukar Gaye,

Magar Hamari Majburi Hai,
Nibhyenge Ye Dosti Umar Bhar,


Kyoki Galati Se Tujh Se Dosti Ke,
Chand Vaade Jo Kar Gaye!


Yaad Aisi Ke Yeh Bhule Se,
Bhulane Se Rahi,
Tu Nahi,
Khair Mere Saath Tera Gham Hi Sahi,

Ek Tum The Jo Najar Humse Milane Se Rahe,
Eh Tasveer Tumhari Yeh Jhukane Se Rahi,

Tere Aan Eki Bhanak Na Kabhi Kisi Ko Huyi,
Tere Jaane Ki Khabar Saare Zamane Ne Kahi,

Un Sawalon Ke Jawab Aaj Bhi Dhunde Humne,
Jawab Woh Jo Uthate Hain Sawalat Wohi,

Tera Daamn Toh Kab Ka Chhod Diya Tha Humne,
Rang Taja The Magar Meri Hatheli Par Wahin.


Kitna Bebas Hain Insaan Kismat Ke Aage,
Har Sapna Tut Jata Hain Hakikat Ke Aage,


Jisne Kbhi Duniya Me Haarna Nahi Sikha,
Wo Bhi Haar Jata Hain Mohabbat Ke Aage.


Fir Nahi Baste Wo Dil,
Jo Ek Baar Toot Jate Hein,


Qabre Jitni Bhi Sanwaro,
Koi Zinda Nahi Hota..


कौन कहता है की दिल..
सिर्फ लफ्जों से दुखाया जाता है,


तेरी ख़ामोशी भी कभी कभी..
आँखें नाम कर देती है.

Kaun Kehta Hai Ki Dil

sirf Lafzo Se Dukhaya Jaata Hai

teri Khaamoshi Bhi Kabhi Kabhi..
Aankhein Nam Kar Deti Hai.


Baad Aapke Samjhata Hai Kon Mujhe,
Mera Dard Badhane Lage Hain Yeh Log,


Kiske Kandhe Rakhkar Sar Main Roun,
Har Pal Hi Rulane Lage Hain Yeh Log.


Jaate Jaate Vo Mujhe Achchhii Nishaani De Gaya,
Umr Bhar Doharaauunga Aisii Kahani De Gayaa,

Us Se Main Kuchh Paa Sakuun Aisii Kahaan Umeed Thi,
Gam Bhi Vo Shaayad Bara-E-Meharabanii De Gaya,

Sab Havayen Le Gayaa Mere Samandar Kii Koi,
Aur Mujh Ko Ek Karatii Badabanii De Gaya,

Khair Main Pyaasa Rahaa Par Us Ne Itana To Kiya,
Meri Palakon Ki Kataron Ko Vo Paanii De Gaya.


Aap Ab Aaye Ho Zindagi Mein Hamari,
Jab Hum Sabko Aajma Chuke Hain,


Aap Ab Kahte Hain Ki Pyar Karein,
Jab Hasino Se Dokha Kha Chuke Hain.


Aapko Bhi Apnakar Dekh Liya,
Aap Se Bhi Dhokha Khakar Dekh Liya,

Barbaad Bhi Hum Huye Jo,
Toh Kya,
Aapne Toh Dil Parcha Kar Dekh Liya.


Ek Tere Chale Jaane Ke Baada Hamein,
Kisi Ka Bhi Yahan Eitbaar Na Raha,

Aur Kisi Se Toh Kya Karenge Mohabbat,
Jab Apni Hi Zindagi Se Pyar Na Raha.


Is Dil Se Wo Dur Jate Bhi Nahi.
Hakeekat Me Wo Humhe Chahte Bhi Nahi.

Auro Ke Liye Wo Rote Rahte Hain Raat Bhar.

Hamare Liye To Woh Muskurate Bhi Nahi.


Main Jisko Apna Kahta Hun,
Woh Mujhse Juda Kyu Hota Hai,

Hai Kaisi Likhi Takdeer Meri,
Dil Kyu Hardam Rota Hai.


हर भूल तेरी माफ़ की..
हर खता को तेरी भुला दिया..


गम है कि,
मेरे प्यार का..
तूने बेवफा बनके सिला दिया|


उस मोड़ से शुरू करेंचलो फिर से जिंदगी
हर शय हो जहाँ नई सीऔर हम हो अज़नबी


Ab Agar Aaoo To Janey K Liye Mat Aana,
Sirf Ehsaan Jataney K Liye Mat Aana,


Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain,
Dil Par Umeed Ki Soo Rasmen Jala Rakhi Hain,


Ye Haseen Shamen Bujhaane K Liye Mat Aana,
Pyar Ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hain,
Chahne Walon Ki Takdeer Badal Sakti Hain.


Suna Hai Aaj
Uski Aankho Me Aansu Aa Gaye !

Wo Bachcho Ko Sikha Rahi Thi Ki
Mohabbat Ese Likhte Hain !

सुना है आज
उस की आँखों मे आसु आ गये.!

वो बच्चो को सिखा रही थी की
मोहब्बत ऐसे लिखते है..


Roti Hui Aankhon Mein Intzaar Hota Hai,
Na Chahte Hue Bhi Pyaar Hota Hai,


Kyon Dekhte Hain Hum Woh Sapne,
Jinke Tutne Par Bhi Unke Sach Hone Ka Intzaar Hota Hai.


Kyon Mere Dil Ko Diye Hain Jakham Aapne,
Kyon Mere Pyar Ko Aapne Aise Bhula Diya,

Wada Toh Kiya Tha Saath Nibhane Ka Magar,
Kyun Sagar Ko Fir Aise Hai Daga Diya.


Zindagi Yun Hui Basar Tanha
kaafila Saath Tha Aur Safar Tanha!

Apne Saaye Se Chaunk Jaate Hain

umra Gujri Hai Is Kadar Tanha!

Raat Bhar Bolte Hain Sannaate

raat Kaate Koi Kidhar Tanha!

Din Guzarta Nahi Hai Logon Mein

raat Hoti Nahi Basar Tanha!

Hamne Darwaaze Tak To Dekha Tha

phir Na Jaane Gaye Kidhar Tanha!


Jab Aayega Kabhi Mera Vakt Aakhiri,
Aap Ki Dua Bhi Kaam Nahi Aayegi,

Us Din Manaunga Main Eid Yaaro,
Meri Mahbooba Maut Jab Mujhe Le Jaayegi.


Pyar Par Hamare Kabhi Shaq Mat Karna,
Iske Ilawa Humne Kiya Kya Hai,

Mana Ke Gham Hi Gham Hain Paas Hamare,
Iske Ilava Tumne Diya Kya Hai.


जिनके दिल पे लगती है चोट..
वो आँखों से नही रोते,


जो अपनो के ना हुए..
किसी के नही होते,


मेरे हालातों ने मुझे ये सिखाया है..
की सपने टूट जाते हैं पर पूरे नही होते|


Na Jeene Ki Khushi Na Marne Ka Gham,
Unse Milne Ki Dua Bhi Nahin Karte Hum,


Jeete Hain Isliye Ke Shayad Woh Ek Din Aayenge,
Marte Isliye Nahin Ki Wo Akele Reh Jaayenge.


Tag:
Sad Shayari, Shayari, Sad Shayari Status, Sad Shayari Whatsapp Status, Love Shayari, Tik Tok Sad Shayari, Hindi Shayari, Sad Poetry, Sad Shayari In Hindi, Heart Touching Shayari, New Shayari, Tik Tok Shayari, Sad Shadi Shayari, Sad Shayari Urdu, Urdu Sad Shayari, 2 Line Sad Shayari, Shayari Status, Sad Shayari On Love, Sad Shayari To Line, Tiktok Sad Shayari, Nepali Sad Shayari, Gf Shadi Shayari, Shayari Sad, Hindi Shayri

Read More